part 1 : hummari pehli mulaqaat

2.4K 62 13
                                    

Hi, aapse milkar acha laga..... aapko lag rha hoga ki writter humse baat kyun kar rhi hai lekin yeh story meri life ke sach ke barre mein hai... aur iski narrator mei khud hunn... oh sorry khud ko introduce karna toh bhul hi gayi...  mei Bondita Das..... writter toh bas iss story ko aap tak pohuchane ka ek zariya hai... chaliye ab further time waste na karte hue mei aap sabko apni kahani sunati hunn...
Jab hummari zindagi mein andhera channe lagta hai toh humme yeh lagne lagta hai ki shayad bhagwaan humse ruth gaya hai.... lekin hum apni zindagi ko uss andhere mein itna uljha dete hai ki hum bhul jatte hai ki bhagwaan humse kabhi nhi ruthte.... woh sirf uss andhere ka darr hota hai jo humme yeh sochne ke liye majboor kardeta hai..... mei bhi yeh soch baithi thi ki meri bhi zindagi mein humesha ke liye darr ka andhera chaa gaya hai....
Bondita: toh yeh baat tab ki hai jab mei saints of mother mary college mein apni graduation complete karne ke liye aayi thi.... ab college life se aapko lagega pubs, parties , friends aur chill for casual , par meri life mein inn sab mein se ek bhi cheez nhi thi.....  mere paas bas ek cheez thi tanhayi aur mere ateet ka razz....... kabhi dost nhi banaye thhe meine kyunki jabhi dost banati woh kala saaya mujhse mere sarre dost cheen leta.... uske barre mein agar aaj bhi sochti hunn toh meri rooh kaamp jaati hai... par bolte hai na agar bhagwaan par vishwaas ho toh hummari life mein ek farishta bhej hi dete hai... unhone meri madat karne ke liye woh farishta bhej hi diya... ek dinn jab mei library se book issue karke college ke corridoor mein chal rhi thi tab mei pehli baar Anirudh se mili aur wahan se meri zindagi ne ek naya modd liya....
The scene,
Bondita was walking in the college corridoor..... suddenly a boy was coming running towards her he was in such a rush that they both bumped into... Bondita and her book fell on the floor but boy ran from there without saying anything...... Bondita picked her book up and stood up....
Bondita narrating: mei wahan se uthi aur chali gayi kyunki mei nhi chahti thi ki koi bhi mujhse baat karre....  college ke baad mei hostel ke room mein pohchi hi thi ki kisi ne mere darwazze par knock kiya..... 
The scene,
Bondita opens the door... and sees the same boy standing there with whom she bumped into......
Bondita: tum ! Tum yahan kya kar rahe ho?! Aur tumhe keise pata chala mein yahan rehti hunn.....
The boy : pehli ladki aisi dekhi hai jisne aaj tak mujhse baat bhi nhi ki aur mera introduction puchne ki bajaye yeh puch rhi hai ki mujhe uska adress keise mila quite interesting......
Bondita: meine jo pucha uska jawaab do!
The boy: mei jawaab dunga par first let me introduce myself to you...  hi mera naam Anirudh Roy Chaudhary hai.....
He moves his hand forward to shake hand.... but bondita ignores him....
Anirudh: thik hai lagta hai tum mujhse baat karne mein interested nhi ho.... mujhe nhi lagta koi tumhe yahan jaanta hai boht mushkil se tumhara address mila.... aur haan ek min yeh lo...
He takes out a locket from his pocket....
Anirudh: yeh locket tumhara hai na....
Bondita snatches the locket from his hand...
Anirudh: woh aaj hum library ke bahar takra gaye thhe.... mei tab jaldi mein tha isliye tumhe sorry nhi bol paaya.. par mujhe realise hua ki meine galat kiya jab tumse maafi maangne piche aaya toh tum wahan se jaa chuki thi..... wahi mujhe yeh locket mila.....
Bondita: thik hai ab jaao yahan se....
Anirudh: arre aisa kaun behave karta hai itni mushkil se tumhara address dhunda.... aur tum mujhe bina thanks bole jaa rhi ho!
Bondita: pehli baat , tum mujhse takaraye thhe toh sorry bolna tumhara farz tha aur dusri baat tumne mera locket mujhe lautaya toh shayad tum chor nhi ho toh mera locket lautana bhi tumhara farz tha agar tumhe thank you bola toh tumharre farz ka disrespect hoga.... toh ab jao yahan se!
She closed the door on his face....
Anirudh: yeh thoda rude tha......
He goes from there.....
Bondita narrating: mujhe pata tha ki meine anirudh ke saath rude behave kiya par mei majboor thi... aur mujhe jiss cheez ka darr tha wahi hua.... jab darwaza band karke mei apne kamre mein aayi toh woh kaala saaya mere saamne khada tha......
The scene,
The black shadow: tum achi tarah se jaanti ho ki agar tumne uss ladke se baat karne ki koshish ki toh uske saath kya hoga.......
He said in a spooky voice...
Bondita: uski koi galti nhi hai woh toh bass mera locket waapis dene aaya tha! Usse kuch mat karna.......
The black shadow : mei kisi ko kuch nhi karta par tum insaan itne bewkoof hote ho ki mujhe kuch karne ke liye majboor kardete ho.... yaad rakhna tumhari ek galti aur sab kuch khatam!
He laughs and disappears..
Bondita starts to cry......
Bondita: mujhe maaf kardena vani mei tumhe nhi bacha paayi... 😭😭😭😭 kash uss dinn meime woh galti nhi ki hoti toh shayad tum aaj mere saath hoti....
To be continued.....
Bondita narrating: meri kahani ko yahan tak padhne ke liye shukriya... kya aap janna chahte hai ki uss kale saaye ka meri zindagi se kya relation hai , aur Anirudh mere liye bhagwaan ka bheja hua ek farishta kyun hai..... to know keep reading khamoshiyan..... aapse milti hunn agle sunday....
Aur haan mujhe batayiyega comments mein ki meri ab tak ki kahani aap sabko  keisi lagi........

Khamoshiyan: Anidita's Mysterious Love StoryDove le storie prendono vita. Scoprilo ora