the mystery unfolded

554 44 8
                                    

The diary entery of Bondita's past...
Dear diary,
Aaj mei tumhe meri zindagi ka ek aisa raaz batane jaa rhi hunn jo mei kisi bhi apne ko nhi bata sakti.. yeh cheez sabse pehle tab shuru hue thi jab mei 5 saal ki thi.. mei apni nani ke sath rehti thi mere mummy papa ka divorce ho chuka tha aur unn dono ki maut bhi hogayi meri daadi ko meri custady lena manzoor nhi tha isliye meri nani mujhe sambhalti thi , ek dinn achanak unki maut hogayi ,meri nani ko guzre hue sirf ek hafta hua tha , tabhi raat ko sote hue meine apni nani ko dekha.. woh mujhe apne saath chalne ke liye keh rhi thi.. mei choti thi isliye unhe dekhkar boht khush hue aur unke piche piche chalne lagi... ekdum se mei ek riverside pohch gayi aur wahan meri nani gayab hogayi... mei royi chillati rhi par nani nhi aayi , meine ussi nadi ke kinare ek chota sa storeroom dekha aur uske andar chali gayi... storeroom boht ajeeb tha uski teen wajahein thi
1. Woh storeroom bahar se boht chota dikhta tha par andar se kisi bangale se kam nhi tha...
2. Storeroom mein har jagah sirf laal rang ki lights , laal rang ki deewarre sabkuch laal tha...
3. Aur mujhe kisi bache ke hasne ki aawaze aa rhi thi....
Mei darr gayi.. par phir bhi mei aage badhi aur dekh ki ek ladki boht darawni shakal waali mere paas aa rhi thi mei darr rhi thi aur woh mere dheere dheere kareeb aa rhi thi.. , tabhi udhar se ek bacha haste haste daur rha tha.. meine zorr se nani ko pukara.... aur achanak meri nani ne mujhe dhaka dekar storeroom se bahar nikal diya.. aur jate jate bola bhaag jao yahan se aur yahan phir kabhi mat aana.... mei darr gayi aur phir behosh hogayi.. subah jab meri Aankh khuli toh meine apne gharwaalon ko yeh baat batayi lekin mujhe believe karne waala mere ghar mein koyi nhi tha sabne uss cheez ko ek imagination maankar chod diya.. mei badi hue aur yeh saari yadein mei bhul chuki thi , meri 12th complete honne ke baad mei aur mere panch dost ek trip par gaye par uun pancho mein se ek dost meri bestie thi jiska naam vani tha uss jagah ka naam tha Damyaan pur(its an imaginary place for story) woh jagah boht sundar thi humne 1 week tak boht mazze kiye wahan par.. jab trip ke last dinn hum river rafting ke liye gaye hum ussi riverside par khade thhe jahan mei pehle bhi aa chuki thi jab mei 5 saal ki thi... waha woh same storeroom tha.. out of curiocity mei phir uss storeroom mein gayi aur
Jo sab uss waqt mere saath hua tha wahi sab issbar bhi hua.. aur iss baar bhi meri story par kisine vishwaas nhi kiya vani ko chodkar... woh bhi aatmaon mein maanti thi... jab hum waapas ghar janne waale thhe mujhse raha nhi gaya aur mei , vani wahi rukk gaye aur humare baaki ke chaar friends chale gaye.. mei aur vani phir ussi jagah gaye aur uss storeroom ki chaan bin ki ab woh storeroom na hi laal tha na hi darawna.. humme laga hi tha wahan aisa kuch nhi hai ki humme kisi ladki ronne ki aawaz aayi.. hum jab uss ladki ke paas gaye toh meine dekh woh ladki wahi ladki thi jisse meine apne kareeb aate hue dekha tha... hum darr gaye thhe.. par thodi derr baad humme realise hua ki uss ladki ki aatma humme darra nhi rhi thi balki hummari madat maang rhi thi... uss aatma ne humme bataya ki usse uss jagah kaid karke rakha hua tha... ek shaitaan ne jo apni shaktiyon ko badhana chahta tha... par wahan sirf uss ek ladki aatma nhi thi waha total 9 aatmaye thi jinn mein se ek meri nani ki aatma bhi thi... uss aatma ne humme bataya ki uss shaitaan ko 12 aatmaye chahiye thi jo kisi ki help karti thi aur unn aatmao ko collect karne ki ek procedure thi.. uss shaitaan ko ek inssan ko curse karna padta tha aur uske ek kisi apne ki jaan leni padti thi , jo insaan cursed hota tha agar woh apne ateet ka raaz kisi ko bhi batadeta toh uski Jaan chali jaati aur unn aatmao ko yeh shaitaan kaid kar leta... aur meri nani ko bhi kisi ka ateet ka raaz pata chal gaya tha isliye unhe yahan Kaid karliya gaya tha..., jab humne uss aatma se pucha uss shaitaan ko keise haraya jaa sakta hai toh usne humme bataya ki uss shaitaan ko yeh boon mila tha ki woh jiss bhi insaan ko curse karega uss insaan ko jo sacha pyaar karega aur haste haste apni jaan uske liye de dega jab uss lover ki jaan jaegi tabhi woh shaitaan marega, par yeh kabhi possible tha hi nhi kyunki agar woh cursed insaan kisi ko bhi apna sach batata yaa pyaar karta woh shaitaan tabhi uski aatama ko kaid karleta tha, uss aatma ne mujhe yeh bhi bataya ki shayad god ne mujhe chuna tha unn saari aatmaon ko azaad karne ke liye.. aur isliye woh mujhe itne hints de rha tha.. mei unki madat karne ke liye taiyaar hogayi aur mei aur vani wahan gaye jahan woh shaitaan tha " nark ke kue mein" hum dono uss shaitaan ke paas gaye usne humme apne sawaalo mei uuljhaya hummare saath ek deal ki ,ki agar humne uske sawaalon ke jawaab sahi diye toh woh unn aatmao ko chod dega par agar nhi toh mujhe aur vani mein se kisi ek ko apni jaan deni padegi.. humne yeh risk le liya uss shaitaan ne humare saath dhoka kiya aur hum haar gaye kyunki jawaab meine galat diya tha mei marne ke liye taiyaar thi par jeise hi uss shaitaan mujhpe humla kiya toh vani mere saamne aagayi aur uski maut hogayi... mei reason thi apni best friend ki jaan janne ka aur isliye mujhe bhi woh curse lag gaya jo unn insano ko lagta tha jo uss shaitaan ko aatma lakar dete thhe.... aur woh shaitaan mera saaya bankar humesha mere saath rehne laga..
Diary entery over...

Bondita narrating: janne anjane mein ab uss shaitaan ko 11 souls mil chuki thi ek vani ki aur ek miss rosy ki ab usse sirf ek hi soul chahiye thi apna ritual complete karne ke liye... isliye woh mujhe humesha majboor karta tha ki mei usse woh ek soul de dunn par yeh mere paas aakhri mauka tha mei khud ko maar bhi nhi sakti thi kyunki agar khud ko maar deti toh meri soul bhi uss shaitaan ko mil jaati aur uska ritual purra hojata...

Agle dinn mei phir college gayi par Anirudh nhi aaya tha pata nhi kyun....

To be continued....
Why didnt anirudh came to the college? Will bondita ever able to break her curse??
To know keep reading..

Plz ignore my mistakes....

Khamoshiyan: Anidita's Mysterious Love StoryWhere stories live. Discover now