11.The truth

958 86 72
                                    

*unedited*

Starting from previous part,

Study room,

Ani-.......nahi bondita nahi main sirf tumse pyaar karta hu...sirf tumse...mera pehela aur akhri pyaar tum ho mishti sirf tum...

Abir-agr itna hi pyaar karte hain toh sach kyu nahi bata dete usse!?

Ani turned and shocked........

Ani(wiping his eyes)-abir tum!!tum yanh kya kar rahe ho!?aur kya bol rahe ho!? mujhe kuch samajh nahi arahain..( behaving like nothing happened)

Abir-ani dada agr ap itna hi pyaar karte hain bondu yani ki apki mishti se toh bol kyu nahi dete usse!?kyu bol nahi dete ki uski narazgi apko inta dukh pohochata hain..apko itna takleef horaha hain usse dur hokar kyu nahi bata dete usse ki yeh baas ek jhuti shadi tha manorama ji apke koi man bhayi patni nahi hain...kyu nahi kahe dete ki baas ek muhim k liye woh apke saath hain muhim khatam hojayega toh woh bhi chala jayega... bataiye ani dada kyu kasht pohocha raha hain ap usse aur khud ko bhi!?kyu ani dada!?

ab toh bohot ho gaya na ab toh bata dijiye sabko yeh dusri shadi ka karan...nahi toh apko toh pata hi hain...jitna woh tadap rahi hain apke pyaar main ap usse kayi guna tadap rahe ho...

jitna usse apne dukh pohochaye hain apne usse jada dukh apko pohocha hain...kyu haar waqt apne bhavnao ko daba k rakha hain apne..dard hota hain na jab woh apko ignore karti hain...apko apna nahi manti tab ...phir kyu ani dada!?

Ani-abir tumhe toh pata hain na!!agr phirse woh samajh k dawab main aake apni sapne ko piche chod de toh!!hamara sapna abir joh sapna maine aur bondita ne milkar dekhe the...woh pura nahi hopayega nah!?

Abir-ab ko kuch samajh bhi arahain ani dada!?ya ap waise hi bol rahe ho!?abko abhi bhi lagta hain ki agr yeh sach bondu ko pata chalega toh woh phirse samajh k dawab pe aake apse patni ka hak mange ge!?are ab agr pata chala toh phir bhi woh apko shama karne ki koshish kar sakte hain padh ab agr usse nahi pata chala na toh phir ap kabhi apne purane wale mishti se mil nahi payenge..kabhi nahi..

Ani-padh abir agr woh yeh sab jaane k baad mujhse aur nafraat karne lagi toh!?toh main jee paunga kya!?

A voice interrupted,

waise bhi anirudh itne sab k baad tumhe jeene ka koi haq nahi hain..

Ani-kaka!!

Kaka-haan main anirudh...tune yeh kya kardiya anirudh kya kardiya tune!?main itne baar bolta raha padh tune nahi suna yeh kya kardiya tune!?tu joh chahata tha woh gaalat hain yeh nahi bol raha main padh anirudh sab kuch ka ek tarika hota hain beta...tune toh uski bhala chahate huye uss Komal si bachhi ko pathar ki murti bana diya...

tune dusri shadi karliya aur toh aur uss manorama ko apni maan bhayi patni bhi maan liya...kya kaha tha tune shadi k dusre din pyaar karta hain tu usse..aur bahu k hone ya na hone se tujhe farak nahi padhta..woh agyaan hogaya tha uss waqt tune sirf khade khade tamasha dekha tha anirudh..haar waqt haar jagah usse nicha dikhaya tune...aur toh aur yeh sab toh thik tha bahu k samne tune usse manorama se pyaar ka izhaar bhi kiya...uss bachhi ko dobara todh diya tha usdin tune...

tu hi kaheta tha na anirudh ki bachhe gile mitti ki tarah hote hain ap jaise chacho jis rup main chaho usse pirho sakte ho!!padh tune kya kiya anirudh ek hasti khilkhati bachhi ko samajh k pairo taale kuchalne diya...

anirudh tu kyu nahi samajh paya ki tu joh uske bhalai k liye karna chaha raha hain woh uss bachhi ko todh k rakh dega...tu us bachhi ki jameen,asmaan dono tha anirudh tune toh usse uski sab kuch chin liya beta.....

aur ab jab sab sach samne aahi gaya hain tu hamlogo ko sach batane se rok raha hain...kya chahata hain tu anirudh ki bahu tujhse aur dur hojaye!?inta dur ki tu chahakar bhi uske maan main apne liye jagah na bana paye!?

rudhita her broken heartWhere stories live. Discover now