nafrat

1.1K 70 6
                                    

(Gayab hone keliye sorry😖)

Next day
All were going to leave for delhi

Hq

As was talking and telling his team the plan once again

As: to aarohi(ar) aur aaryan(an) humare saath rahenge humare bhai- behen ban ke aur tab tak kshiteej(kt) aur samrat(sm) jaa ke us jagah ki tafteesh karenge aur waha pe jitne bhi gunde honge unhe uljha ke rakhenge samjhe?

All: yes sir!

kt: lekin sir agar kisi ko hum par shak ho gaya to?

As: to wo hum sambhal lenge

Sm: lekin sir aap kaise aap to mandap mei baithe honge na?

As: negotiation specialist hai hum. Earpiece ke zariye hum connected rahenge aur agar kisi ko shak hua to hum jaisa kehne ko kahenge wahi tum dono keh dena..ab chaliye aiport pohochne ke liye samay lagega

All: ji sir

They left
____________________________________

A dark room

A man stood up and started looking here and there. As it was all dark he couldn't see anything. The man was none other than anubhav. He started walking slowly.

As: koi hai..? Maa..? Behna..?

Suddenly he heard faint sobs from a distance. He looked in that direction and saw a feminine figure, facing the other direction with legs crossed near her chest and head bowed. He slowly started walking towards her. As he aproached her, the sobs got louder and he found the voice familiar to him.

As: kaun hai aap aur aise ro kyu rahi hai..?

He asked from a distance.

"Aapka pyar jise aap aadhe raste mei chhod gaye" said the figure.

He was completely shocked as the figure turned towards him.

"Haseena ji" was the only thing he could say

"Haa, wahi haseena ji jisse aapne pyaar kiya tha..wahi haseena ji jiska dil aapne do baar toda..wahi haseena ji jisne aap pe khud se zyada bharosa kiya....wahi haseena ji jisne aapse phir se ek baar pyaar karke galti ki" said haseena.

As: haseena ji( he gasped)

Hm: bhul jaiye apni haseena ji ko kyuki nafrat karti hai aapki haseena ji aapse...aur kare bhi kyu na aakhir yahi to aap chahte the ki hum aapse nafrat kare, aapko bhul jaye to yahi sahi...bhul gaye hai hum aapko, nafrat karte hai aapse.

"Nafrat karte hai hum aapse" kept echoing around him and haseena faded away.

"Nahi" he shouted and woke up with a jerk. He was sweating and panting.

An: kya hua sir kise nahi bol rahe the aap?

As: huh? Nahi kuch nahi hum bas..

An: khair achha hua aap uth gaye kyuki plane abhi land hone hi wala hai

As just nodded while drinking water.

The plane landed
Everyone got out of the plane and after all formalities they were waiting for their cab. On the other hand mpt was standing behind them but both the teams couldn't notice each other because of the crowd. Yes, they were travelling in the same plane but anubhav and his team were sitting in the front and mpt was sitting in the back. This was the moment when hm's eyes caught a familiar figure. She kept staring that man for nearly 5 mins.

Hm*in mind* ye aadmi hume anubhav sir jaisa kyu lag raha hai?

Her thoughts were broken by ks

Ks: maddam sir

Hm: j..ji ji?

Ks: kaa hua kise ghoor rahi hai aap?

Hm: nahi kuch nahi

Ks: wo sab chhodiye aur chaliye cab wait kar raha hai

Hm: ji

Before leaving her eyes travelled at the place where anubhav was standing but he was not there.

Haseena mallik

Yeh kya ho raha hai hume? Kyu hume bar bar anubhav ke khayal ate hai? Aur phir wo aadmi?? Nahi nahi shayad hum hi kuch zyada soch rahe hai..wo aadmi to pakka humara wehem tha anubhav yaha kaise ho sakte hai wo to sab kuch chhod ke chale gaye the na. Phir se anubhav ke khayal! Ya allah! Kya kare kaise nikale ye khayal apne dimag se. Are lekin khayal nikalne hi kyu hai? Hum zindagi bhar aise khoye khoye rehne se achha hai ki hum unke sabse acchi yaado mei apni zindagi guzare..*smiling* aaj wo humare paas nahi hai par unki haseen yaade hai hai humare saath..

Anubhav singh

He bhagwan! Ye kaisa bhayanak sapna dekha humne..wo cheez jo humne aaj tak kabhi sochi bhi nahi thi wo aaj humare sapne mei aa gayi..haseena ji ro rahi thi humari wajah se, sapne mei bhi aur asliyat mei bhi. Kitni zyada taqleef ho rahi hogi unhe lekin hum aur kare bhi kya? Unke paas gaye to unhe aur taqleef hogi aur door gaye tab bhi. Hume kuch samajh mei nahi aa raha hai...humesha humare saath hi aisa kyu hota hai? Haseena ji nafrat karti hogi humse..kaise sahenge wo hum? Lekin tum bhi to yahi chahte the na anubhav ki haseena ji tumhe bhool jaye, tumse nafrat kare to lo karti hai wo tumse nafrat bhool jayengi tumhe aur zindagi ki haste- muskurate hue karengi apni zindagi ki ek nahi shuruvat khush rahengi..kisi aur ke saath...khair agar wo khush hai to hum bhi khush aur hume sahara dene ke liye hai na unki khoobsurat yaade..wahi humari taqat hai ab..
He smiled remembering his love's calming smile.
___________________________

They reached the hotel, checked in and went to their respective rooms to keep their luggage and after them mpt came, checked in and went to their rooms. Anubhav and aaryan were sharing rooms and aarohi and kshiteej were in seprate rooms on the other hand haseetosh were sharing rooms, karishpa were in one room and cheetah-billu in another room.

----------
Anubhav's room
He went to bathroom and firstly he splashed water on his face

As*in mind* hume aisa kyu lag raha hai kuch accha hone wala hai? Aisa lag raha hai jaise kuch aisa milne wala hai jo hum sabse zyada chahte hai..par kya?
Suddenly a voice disturbed his thoughts

An: sir khana khane chale?

As: haa bas aa rahe hai

To be continued
__________________________________

Dekhna mat bhuliye maddam sir monday-saturday 7:30 p.m and 10:30 p.m only on sony SAB.
.
.
.
Do vote if you like this chapter
Drop your suggestions in the comment box
Thankyou
________________________________

Koi Anjaan Apna Sa💕💕जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें