2. Ek Ajnabi Haseena Se Yun Mulaqat Ho Gayi...

295 39 27
                                    

Purvi 19 saal ki ek pyaari, bholi, chanchal aur zimmedar ladki thi jo sirf padhai main hi nahin balki har kaam main maahir thi...
Padhai ke saath saath Ghar pe apni maa ka haath bataya karti thi, Baba ko Factory main madad kiya karti thi saath hi saath
Wo apne chhote bhai ki maa jaisi thi aur apni chhoti behen ki saheli jaisi.....
Itni Chhoti si umar main hin usne apne ghar ka bojh apne kandhe pe utha liya tha...
Kehne ko wo Sarvagun Samparn thi.
Uska sabse bada maqsad tha aagey padhna aur ek achhi si naukari karna jisse wo apne gharwalon ko ek achhi zindagi de sake....
Aur uske har sapne main uski har khushiyon main uska saath deta tha uska bachpan ka sabse achha dost Vipul.
Vipul Purvi ki khusi keliye sab kuchh kar sakta tha kyunki wo mann hi mann Purvi se pyaar karta tha.
Purvi bhi usse pasand karti thi toh apni saari pareshaniyan usse bataya karti thi aur wo Purvi ko humesha Haunshla deta tha...

Mukhi Virendra Pratap Singh, Umar 40 saal, Rewari Gaaon ke Mukhi aur Ek Zamindar the..
Ghar main unki Maa Prakashi Devi , Mama Sarkar, Do Chhote Bhai Yogi aur Vaibhav ke saath saath Anjali (Yogi ki patni) aur do chhote chhote bachche the Juhi aur Manas
Juhi 8 saal ki aur Manas 5 saal ka
Mukhi ka ghar bhara pura tha fir bhi ghar soona soona tha...
Kyunki Mukhi ki Patni, Rewari Gaaon ki Mukhyani, Pratap Singh Haveli ki Kulvadhu aur Juhi-Manas ki maa nahin thi
5 saal pehle car accident main Sakshi ki maut ho gayi thi aur iss dukh se Mukhi aaj bhi nikal nahin paa raha tha.
Sakshi ke baad jaano apne aap ko ek pinjare main qaid kar diya tha na kisi se milta tha na hin kisi se baat Kiya karta tha
Apne bachchon se bhi duri bana li thi
Sab kuchh tha Mukhi ke paas Naam, rutba, paisa, izzat, sohorat par nahin thi toh sirf uske jeevan main khusi uske bachchon ki maa, uska pehla pyaar, uski ardhangini, uski dost Sakshi.

"Wo Kehte hain na jo ek dusre keliye bane hain wo Jane anjaane yun hi takra jaate hain....unki mulaqat yun hi ho jaati hai
Aisi hi mulaqat hui PurVir ki...."

Purvi Har roz shaam ko apne gaaon ke ek Mandir Main Jaati thi aur har roz bhagwan se apne ghar parivaar ke bhale keliye Parathana kiya karti thi aur fir Mandir ke paas talab main ek diya jala diya karti thi

Mukhi bhi har roz ussi mandir ussi samay jaya karta tha aur bhagwan se prarthana karke talab ke paas kuchh samay baith kar apne purane din yaad karta tha

Mukhi - Kyun Tu Chali Gayi manne chhodkar Sakshi
Mere ghar parivaar humare bachchon ko kyun chhod kar chali gayi tu...
Yo zindagi tere bina kaise jee raha hoon yo bas manne hi pata se
Tere bina har din ek saza lagta hai
Kaash tu wapis aa sakti meri zindagi main Kaash humare bachchon ki zindagi main unki maa ki kami puri ho sakti fir se....kash hum ek khushaal parivaar ki tarah jee sakte...kaash.....

Purvi - Hey Kanhaji !!!
Humari bas ek hi dua hai aap se
Aap humein shakti de ki hum padh likh kar apne kandhon pe apne parivaar ka bojh utha sake aur itna kaabil bane ki hum humare maa baap ka naam roshan kar sakein

Purvir dono kuchh der talab ke paas baithe aur Fir jab purvi uth kar jaa hi rahi thi usne ek chhota sa billi ka bachcha Paani main dubte hue dekha aur usse bacha ne keliye wo talab main kud gayi...Mukhi Purvi ko Talab main kudte hue dekha to socha
"Yo Ladki pagal se ke, talab main kud kar aatmahatya kar rahi hai"
Itna soch kar wo Purvi ko bachane talab main kud gaya
Purvi wahan Billi ko bacha rahi thi aur mukhi Purvi ko....Purvi Billi ke bachche ko bacha kar jab kinare pe chhod kar talab se nikal rahi thi uska pair fir se fisla aur wo fir se Talab main ....
Udhar Mukhi purvi ko paani ke andar dhund raha tha aur jab usne kisi ko dekha andar pani main wo usse pakad ne gaya aur uske kandhe ko aur Kamar ko pakad kar uthane ki koshish ki
Purvi khud uth rahi thi ki achanak se kisi ke sparsh ko mehsoos kiya aur mann main sochne lagi...
"Hey Kanhaji ye aadmi kaun hai aur humein kyun aise pakad rakha hai? kahin koi badmash to nahin hai na?"
Itna sochte hi Purvir dono pani ke upar aa gaye
Dono ek dusre se dur hi ho rahe the tab hi Purvi ka nacklace Mukhi ke chain main fas gaya aur wo dono usse nikal ne ki koshish karne lage....
Jab wo dono uss uljhi hui dor ko alag kar rahe the tab achanak Mukhi ki nazar purvi ke chehre par padi jo diyon ki jagmagati roshni se aur bhi chamak rahi thi, pani ki boond uss chamak main aur nikhar le aa rahi thi.....Ek pal keliye Mukhi Virendra Pratap Singh uss chehre main kho sa gaya ek pal keliye wo sab kuchh bhul sa gaya....ek pal keliye wo jaise Purvi ke sundarta aur saralta ke aagey Vashibhut hogaya.....
Sakshi ke baad pehli baar Mukhi Virendra Pratap Singh kisi ajnabi ladki ko aise dekh raha tha... Sakshi ke baad sayad pehli baar usne ek ajnabi keliye kuchh mehsoos kiya...
Ab yeh jo usne mehsoos kiya wo kya tha wo aagey chal kar pata chalega....

Mukhi jab Purvi ki sundarta main kho sa gaya tha tab hi pichhe se kisi ne awaz di..
"Arrey Arrey, Mukhi Ji Talab main gir gaye hain koi unhe bachchao"
Aur Mukhi tab hosh main aya aur uss uljhi hui dori ko fir se nikalne main lag pada
Mukhi ji sunkar Purvi ne Mukhi ki taraf dekha aur dekhte hi wo sehem gayi aur socha "Ye to Mukhi ji hain aur hum inhe badmash samajh rahe the, humein maaf kardena Kanha ji"
Kuchh der ki mashakkat ke baad wo uljhan sulajh gayi aur Mukhi talab se nikalne hi wala tha ki Purvi ko dekh kar kehne laga

Mukhi - Chhori tu Bawari hai ke? Aatmahatya karne jaa rahi thi aur wo bhi iss umar main...aisa kaunsa pahad toot pada ki zindgi se hi haar maan liya aur marne jaa rahi thi? Bol arrey Bol

Purvi - Aap bolne doge tab hi bolungi na Mukhi ji
Aur hum marne nahin jaa rahe the wo ek billi ka bachcha pani main dub raha tha usse bachane hum talab main kud gaye aur usse kinare main chhod kar talab se nikalne hi wale the ki hum talab main gir gaye aur haan hum koi kayar nahin hain jo zindagi se haar kar aatmahatya karenge....
Par aap humein bacha ne aaye iske liye aapko bahut dhanyawad

Itna keh kar Purvi Ne Mukhi ke saamne haath jod kar namaste kiya
Mukhi ye sab sun ne ke baad kuchh der chup raha aur fir talab se nikal aya aur purvi Mukhi ke pichhe pichhe talab se nikal aayi
Gaaon wale Mukhi keliye jab tauliya lekar aaye tab Mukhi ne ishara karke kaha pehle uss Ladki ko do usse zyada zaroorat hai
Aise hi dono ko Gaaon walon ne madad ki aur wo dono Mandir se nikal rahe the
Mukhi Apne car ki taraf badh hi raha tha ki usne pichhe mud kar Purvi ko dekha aur thoda Mushkura ke kaha "Bawari Kahin ki"
Waise hi Purvi Mukhi ko dekhne pichhe mudi aur muhn bana ke kaha "Insaan bade hi ajeeb hai par achhe hain par humesha sada hua chehra bana ke kyun rakhte hain aur aise baat ki jaise abhi ke abhi mujhe kala pani ki saza denge, par dil ke achhe hain
Par hai toh woh "Kroor Singh hin"
Purvi Apne Cycle pe baithi aur wahan se chali gayi aur Mukhi ne ye sab Car ke andar baith te hue dekha aur Driver ko gaadi nikalne ko bola
Wahan se nikalte nikalte Gaadi main Driver ne Radio on kiya aur ek gana baja
"Ek ajnabi haseena se
Yun mulakaat ho gayi
Phir kya hua yeh na poocho
Kuchh aisi baat ho gayi

Woh achanak aa gayi
Yun nazar ke saamne
Jaise nikal aaya ghata se chaand
Chehre pe jhulfein bhikri hui thi...."

Mukhi ki pehli mulaqaat purvi se kuchh aisi hi thi
Ab ye Purvi aur Virendra se kaise PurVir banenge uske liye intezaar karte rahiye....

Pyaar Ki Yeh Ek Kahani ( PurVir )Where stories live. Discover now