3. Kabhi Kabhi Ittefaq Se...

180 28 17
                                    

"Kuchh Rishtey Pyaari ki wajah se judte hain, kuchh Rishtey parivaar ki wajah se...
Par kuchh aise anokhe Rishtey hote hain jo judte hain ittefaq se....
Aur wo Rishtey ek mishaal kayam karte hain...
Kuchh aise hi ittefaq se judne jaa raha tha PurVir ka rishta
Kya yeh Rishta aagey toot jayega ya inka pyaar ek nayi Mishaal Banayega"

Mandir se nikalne ke baad Purvi apne ghar cycle se jaa rahi thi raaste main andhere ki wajah se Kanj Bhai naam ke ek aadmi se takra gayi...

Purvi - I am Sarry....wo humein andhere ki wajah se dikha nahin aur aapse takra gaye humein maaf kar dijiye Pleej....

Kanji Bhai Purvi ko Upar se neeche dekhte hue...

Kanji Bhai - Koi baat nahin hai beta, andhere ki wajah se mujhe bhi nahin dikha to galti sirf tumhari nahin hai meri hai mujhe maaf kar Dena...

Purvi - Arrey aap aisa kyun bol rahe ho, aap humse itne bade ho aap humse maafi mat maangiye koi baat nahin thik hai...

Kanji Bhai - Achha Beta tumhara naam kya hai aur tum Kahan rehti ho?

Purvi - Wo Humara naam Purvi hai hum yehi Shashwat Gaaon Ke rehne waale hain
Humare baba yahan Ek factory main kaam karte hain...achha hum abhi chalte hain raat hone wali hai aur ghar pe sab humara intezar kar rahe honge
Namaste....

Kanji Bhai - Thik hai beta

Itna Kehkar Purvi wahan se chali jaati hai aur Kanji Bhai Mann main sochta hai
"Ye Ladki Bahut Kaam Ki hai"
Aur ek evil smile dekar wahan se chala jata hai...

Purvi Ghar pe pahunchti hai...

Maa - Kahan thi Purvi tum itni der hogayi aur ye kya bheeg gayi ho....

Purvi - Wo Hum aaj Ek Billi ke bachche ko bachane keliye talab main kud gaye the isiliye bheeg gaye aur Der bhi ho gayi
Duddu Chalo hum padhai karte hain aur Priyu tum bhi chalo college main pareeksha hone wala hai na

Purvi, Priyu aur Duddu teeno padhne baith gaye...Tab hi Purvi ke baba factory se ghar aate hain

Baba - Purvi ki maa kuchh khane ko do
Maa - Haan abhi dete hain

Purvi ki maa Chai aur Nasta deti hai aur dono baatein kar rahe hote hain Teenon bachchon ko dur se dekh kar

Baba - Purvi humari kitni zimmedar hai itni chhoti si umar main sab sambhal deti hai apne bhai behen ki jaise maa ban gayi hai
Main chahta hoon purvi apni zindagi main bahut aagey badhe aur apne sab sapne saakar karein kyun purvi ki maa?

Maa - Haan aap sahi keh rahe ho...hum Purvi ko wo padhayenge jo wo padhna chahti hai..hum purvi ko aagey badhte hue dekhna chahte hai..

Dono mushkurate hue....

Kanji Bhai Purvi ko dekhne ke baad kisi ko phone karte hain aur kehte hain..

Kanji Bhai - Haan suno ek achhi ladki mili hai aur iss ladki ke to kaafi paise ho jayenge agar ek baar utne paise mil jaaye to humari puri life set....Main uss ka bandobast karta hoon tum ek achha client dhundho

Pyaar Ki Yeh Ek Kahani ( PurVir )Where stories live. Discover now