10. Laal Ishq

231 34 17
                                    

PurVir, PD aur Bachche Ghar pahunch Gaye Mama Sarkaar ne Purvi ke Sahi salamat Laut ne ki khusi main Dhum dham se sab ka swagat Kiya
Aarti Ki Purvi ki aur Fir se Grih Pravesh kiya jaise Nayi Naweli Dulhan ka kiya jata hai...

Purvi - Mama Ji aap ne itna sab kuchh kyun kiya

MS - Kyun na Karta aakhir Humare Ghar ki Bahu, Humare Ghar ki Laxmi Jo Ghar pe Maut se ladkar wapis aayi hai...
Uska toh Aur bhi achhe se swagat karna chahiye tha

Purvi - Mama Ji Aapka Shukriya aur aap sabhi ke duaon ki wajah se hum thik hokar wapis aaye hain.
Aap sab ne Bhagwan Ji se Humari salamati ke liye dua maangi isiliye aap sabhi ko mera dhanyavad

PD - Chalo Sabka shukriya Dhanyawad hogaya hai toh andar chale aur Baith jaayein...
Main Toh Bahut Thak gayi aur haan Purvi ko bhi aaraam ki zaroorat hai...
Jaa Purvi beta jaa thoda aaraam kar le

Purvi - Nahin Maa ek hafte se hi toh aaraam kar rahe the ab hum Aaraam karte karte thak chuke hain...

Mukhi - Fir Bhi teri tabiyat puri tarah se thik nahin hui isiliye tu aaraam kar chal

MS - Haan Viren Le ja Purvi ko aur tu bhi thoda aaraam kar le kyunki tune bhi toh thik se aaraam na kiya ek hafte se

Purvi - Mukhi Ji aap Ne thik se aaraam nahin kiya aap ko pata hai agar aap thik se aaraam nahin karenge toh aapki tabiyat bigad sakti hai aur iss umar main...

Itne Main Mukhi ne rok diya

Mukhi - Iss Umar main kya? Matlab ke he Tera main Buddha hoon?

Purvi - Par Jawan bhi toh nahin ho na aap

Mukhi - Jawan nahin hoon main arre Hatta Katta Jawan hoon dekho

Aur itna Kehkar Mukhi Push-ups karne lagta hai aur Achanak se Mukhi ke kamar pe moch aa jaati hai aur woh gir jata hai

Mukhi - Aaah!!

Purvi - Kya hua? Jawan Mukhi ji

Mukhi Gusse main...

Purvi - Aap Bilkul humare Tau ji jaise hain...
Woh Bhi kabhi nahin maante the unki umar hogayi humesha sabse shart laga te the aur aise hi haar jaate the...

Mukhi - Main Tera Tau na hoon aur kya tu har waqt Tau Tau karti rehwe hain...
Ek baar bula tere Tau ko kis khet ki muli hai main dekhta hoon...

Purvi - Rehne dijiye koi Fayeda nahin hai...

Mukhi - Tere Tau ko main apni jawani dikhaunga...

Purvi - Bahut dekh ki aapki jawani ab chaliye aapke kamar main moch aayi hai thik nahin hui toh aur bhi mushkil hoga...
Chaliye...

Mukhi Uth kar Purvi ke saath kamre main chalta hai...
PD, MS aur bachche inki nok jhonk dekh kar haste hain....

Kamre Main Purvi Mukhi ko bed pe bitha deti hai...

Purvi - Mukhi Ji aap Pet ke bal let jaiye hum Balm laga dete hain

Mukhi  - Main Thik hoon koi zaroorat na hai...Ouch!!

Pyaar Ki Yeh Ek Kahani ( PurVir )Where stories live. Discover now