14. Kesariya Tera Ishq hai Piya...

183 32 15
                                    

PurVir ek dusre ko betaabi se dekh rahe hote hain ki...
PD PurVir ke kamre ke andar aa jaati hai...

PD - Arre Purvi tu kab aayi...

PurVir apne position se hat te hain....

Purvi - Maa woh hum bas abhi abhi aaye hain...

PD - Achha woh Vipul laya ke jo maine usse kaha tha...

Purvi - Wo Ghutno ke dard ki dawaai na

PD - Haan...

Purvi - Ji Yeh lijiye...
Par aapne humein yeh dawaai laane ko kyun nahin kaha...kya hum yeh dawaai khud nahin laa sakte the....

PD - Arre tu toh kitne saare saamaan lene gayi thi Bachchon ke ghar ke upar se holi keliye bhi...
Pata hai Virender Yeh Purvi sach main Bawari hai...
Itne saare saamaan laane khud akeli chal ke jaa rahi thi...
Yeh bhi koi baat hai arre Mukhyani ho tum aur upar se ghar main achha driver bhi hai jo ki achha dost hai uske saath na jaake akeli jaa rahi thi baazaar....
Woh toh maine zidd kiya tab jaake maani Vipul ke saath jaane ko...

Mukhi Purvi ko Achanak Shock se dekhne lagta hai...

PD - Aur Haan Woh tu nahin tha na isiliye Vipul ko kaha warna tere saath hi bhejti...
Sunn Virender Ab se jab bhi Purvi ko baazaar jana ho tu apna saara kaam chhod ke aajana....
Main na chahti wo kisi ke saath jaaye...
Arre teri gharwali hai tera toh adhikaar hai aur zimmedari bhi....
Samajh raha hai na tu...

Mukhi - Haan...Haan

PD - Purvi tu chal mere saath tere saath kuchh baat karni hai

Purvi - Ji Maa Chaliye....

PD aur Purvi kamre se chale jaate hain...

Mukhi - Yo ke kar raha tha Mukhi...
Bawari Vipul ke saath apni marzi se na majboori se gayi thi aur main yahan uspe Shaq kar raha tha...
Mukhi tera kuchh na ho sake...
Par eib aur der na karni manne jald se jald Bawari se Apne pyaar ka izhaar karna padega....

PD - Kal Holika dahan hai aur parso Holi...
Saara saamaan aa chuka hai aur baaki Jo bach gaya tha woh tu le aayi...
Kal subah Kapde waala ayega...
Tu Virender Aur apne liye kuchh khareed lena aur haan Bachchon keliye bhi kyunki woh Teri pasand ka hi pehenenge....

Purvi - Ji Maa

PD - Aur Haan kal ek puja hai uske baad Holika Dahan toh Puja keliye taiyaar rehna....

Mukhi yeh sunta hai

Mukhi (Mann Main) - Main Khud Bawari keliye khareed lunga...
Aur Narazgi bhi dur kar dunga...

Subah hoti hai sab apne apne kaam main vyast...
Tab hi Kapde wala aata hai...
Sab Dress dekhne main busy ho jaate hain...
Mukhi chupke se ek baadami rang ka Ghaghra Choli dekhta hai aur usse khareed leta hai....
Purvi bhi same colour ka kurta jacket aur dhoti khareed leti hai Mukhi keliye aur Bachchon ki pasand ka bhi khareed leti hai...

Pyaar Ki Yeh Ek Kahani ( PurVir )Where stories live. Discover now