11. Aankhon Ki Gustakhiyaan...

210 32 9
                                    

PurVir ek dusre main khoye hue the aur radio main gana baj raha tha ki achanak pichhe se awaz aayi....

Haathi Baba Haathi Baba

Aur PurVir ko hosh aya....
Dono pichhe mudkar dekhne lage toh dekhein ki unke do Jungle prani wahan they
Juhi aur Manas....

Juhi Manas - Haathi Baba aap taiyaar hogaye toh chale kya Mandir sab aapka intezar kar rahe hain

PurVir - Haan...Haan... chalo chalo

Jungle Family ek saath nikal jaate hain Sab Gaadi main baith rahe hote hain....

PD, MS, Anjali, Yogi ek gaadi main nikalte hain....
PurVir aur bachche dusre gaadi se nikalte hain...

Mukhi Driver ke paas wali seat pe baith ta hai.....
Purvi aur bachche Gaadi ke pichhe wali seat pe baith te hain....
Gaadi mandir ki ore nikalta hai....
Nikal ne se pehle PD Mukhi ke paas aati hai aur Puchhti hai....

PD - Arrey Virender tune khana khaya ki na..
Tere liye Khana rakh kar aayi thi....

Mukhi Thoda Hadbada ke bolta hai

Mukhi - Haan...Haan Maa Kha liya bilkul kha liye bhuka kyun rahunga ....
Main thode hi kisi Keliye vrat rakh raha hoon...

PD - Tanne kisine puchha kya ki tune vrat rakha hai ki na toh bol kyun Raha hai...

Mukhi - Woh main toh aise hi....

Purvi ko thoda sa doubt hota hai ki aakhir Mukhi ne aisa kyun kaha aur kyun hadbadaya par woh usse nazarandaz kar deti hai fir sab Mandir ki ore nikal padte hain....

Juhi Manas - Baba FM lagao na gana sun na hai....

Mukhi - Na abhi nahin....

Juhi Manas - Driver Uncle aap laga do na ....

Driver - Mukhi ji laga deta hoon bachchon ka mann behel jayega....

Mukhi - Thik se...

FM Laga deta hai driver....
Isi darmiyan Mukhi Rearview Mirror se Purvi ko aur Purvi Mukhi ko dekhte hain.....

Gana Bajta hai...

"Aankhon ki...
Gustakhiyan.. maaf ho
O aankhon ki....
Gustakhiyan.. maaf ho
Ek tuk tumhein dekhti hain
Jo baat kehna chaahe zubaan
Tumse vo ye kehti hain"

Dono Aankhon aankhon main baat kar rahe hote hain aur achanak Purvi sharma ke nazar jhuka deti hai ....

"Aankhon ki...
Sharmohaya...maaf ho
Tumhein dekhke jhukti hain
Uthi aankhein jo baat na keh sakeen
Jhuki aankhein wo... Kehti hain
Aankhon ki....
Aankhon ki...
Gustakhiyan...maaf hoon"

Bas itne main achanak Se Gana Change karne ki zidd Juhi Manas karte hain aur Driver song change karta hai....

Mukhi aur Purvi apne apne khwabon ki duniya se bahar aake thoda thoda sharmate hain aur muskurate hain....
Itne main Sab Mandir pahunch jaate hain aur wahan Pratap Singh parivaar ka swagat kiya jata hai.....

Pyaar Ki Yeh Ek Kahani ( PurVir )Where stories live. Discover now