MOTHER'S REQUEST

877 110 39
                                    

Anubav's pov
Ma ese kese kar sakti haimere sath( punching) voh hume blackmail kar chuke aur mei Maan bhi gaya,unke ankho mei ansu jo nahi dekh sakta ,bhale hi mei khud khun ke ansu ro raha hu( punching)itne salo se iss shadi naam ki fansi ko thal rakha tha par uss bar shayad nahi ,hamesha mission ke chalte mei bahar reh leta par abb meine desk job ke liye hai ( punching) ..mujhe laga meine apne iss dil ko kabka mar diya par yeh apno ke samne kamzoor paad hi jata hai ( helpless) ek galat ladki mere pure parivar ko Todd degi usi ka dar hai mujhe ,mere hasta  parivar bikhar jayega ( worried) ..yeh shadi sirf apne parivaar ke liye kar raha hu ,apni ma ke Khushi ke liye ,uss ladki se mujhe koi matlab nahi ,uska koi kusur nahi ki voh Bina pyar ke shadi mei faas rahi hai par meine kya kiya,konsi galti humse ho gaye Prabhu ( crying) shadi ke din hi mei use keh dunga ,voh iss parivar ki bahu hai par meri patni nahi sirf kagzad par usse jyada humse umeed na rakhe ,mei apne raste aur voh apne raste( deciding)...

SINGH MANSION

Pushpa : yeh kya Ragini tumhe use blackmail kiya ,uski kamzori par vaar liya ,yeh sahi nahi tha ,dil tood diya bache ka( crying)

Ragini: aur kya karu mei,apne bache ki khushiyon ke liye agar bura bana pade toh bhi manzoor hai mujhe( weeping) apne bete ki yeh halat nahi dekhi jati mujhse,are toote ko koi kya tode ,mera beta bikhra hua hai agar vakt se nahi sambhala gaya toh sab barbad ho o jayega Pushpa ( crying) salo ho gaye uss hadse ko aur use guzare bhi ,fir bhi mera anu usi gam mei jee Raha hai ,pyar ki jarurat hai use jo sare jhakmo ko bhar sake ,apni zindagi kaat raha hai jee nahi raha ,kya dosh tha mere bache ka ki voh galat insan se pyar kar beitha ( weeping) abb aur nahi ,agar uski khushiyon ke liye mujhe bura bana pade toh bhi mei ban jaongi

Mahesh: haseenaa ko kya kahogi , anubav maan toh gaya par use yeh nahi pata ki voh ladki haseenaa hai,use pata chal gaya toh voh kabhi shadi nahi karega ( worried)

Pushpa: batana toh hoga bhaisahab ,hum unke sath unki zindagi ke sath nahi khel sakte ,hume koi hakk nahi unki zindagi barbad karne ka,yeh rishta nafrat aur galatfehmi se shuru hua kuch nahi layega sivay tabahi ke ,hum sab thik karna chahte hai kahi jo hai voh bhi na bhikar jaye,doh Zindagiyon ka sawal hai( tensed)

Dadi: pehle haseenaa se puch toh lo uski Marzi hai bhi ya nahi ,zaha tak mei samjhi hu lagta hai voh mana kar degi ,vohi kyu koi bhi ladki mana kar degi, jis tarah anu ne uske sath bartav kiya hai jahis si baat hai, haseenaa uski jesi nahi hai ,pari hai voh ,vohi hai jo mere anu ke dil par marham laga sakti hai,uske jhakmo ko bhar sakti hai ,par voh manegi kese

Ragini:mei baat karungi use, manaungi ,hath jodungi ,jo karna pade karungi ( hopeful)

HAPPY HEART ORPHANAGE

Santosh : di apka Jo bhi fesla hai ,mei apke sath hu,ek baar soch lena,jis tarah voh apse baat kar rahe the mujhe bilkul pasand nahi aya ,voh sab bohut ache log hai janti hu par fir bhi ek bar soch lijiye..

Haseenaa: soch liya hum mana kar denge ,hum nahi kar sakte ,yeh log bohut ache hai,mei unke sath nahi khel sakti ,mujhe khud nahi pata mei unke bete ko pehle jese bana payoungi bhi ya nahi,mei use janti tak nahi hu aur voh meri shakal se tak nafrat karta hai ,voh insan mujhse Shadi karega namumkin hai

Santosh: di aunty aye hai apse milne

Haseenaa: aunty voh( guiltyly)

Ragini: Teri khamoshi ne sab bata diya mujhe ki teri na hai

Haseenaa: aunty app sab bohut acche hai ,mere ammi saman hai app ,mei mei bohut izzat bhi karti hu apki par humse yeh nahi hoga,app kisi bhi acchi ladki ko chun lijiye ,mei iske layak nahi ,mei khuskismat hu jo apne mujhe apni Ghar ki Bahu banane ke layak samjha par humse nahi hoga,shadi bohut badi jimmedari hoti hai, jindagi bhar ka fesla hota hai,kahi rishte aur Zindagiya zudi hoti hai aur hum kisi ka dil nahi todna chahte ,kisike dukh kar Karan nahi bana chahte ( holding her hands )

Ragini: mei janti hu beta ,samajhti bhi hu par ek bar meri baat sun ,tere alawa koi bhi yeh nahi kar sakta ,mere bache ko tumhari madat ki zarurat hai ,beta manja ,Teri har shart hamare liye hukum hoga ( requesting)

Haseenaa: aunty agar mei maan bhi gaye toh kya hoga , anubav humse nafrat karta hai app samajhti hai ,voh hamari shakal tak nahi dekhna chahta shadi toh namumkin hai

Ragini: anubav maan gaya hai ,use koi apati nahi hai,bas tu maanja, anu bas itna chahta hai Shadi mandir mei hi ho aur koi shor sharaba nahi

Haseenaa: aunty aap samaj nahi rahi,santu ka kya ,hamare abbu ke sapne ka kya ,hamare umeedo aur sapno ka kya( teary eyes)

Ragini: hume koi dikkat nahi hai beta ,tum beti ho hamare liye,tumhare sapne hamare hai,tum jo marzi kar sakti ho ,hum bas apne bacho ko khush dekhna chahte hai ( crying) mei hath jod kar vinti karti hu,mana mat karna mere bache ki Zindagi ka sawal hai ( joining hands) mei janti hu mei swarti baan rahi hu par majboor hu ,maaf kar de mujhe( weeping) iss ma ki vinti sun le mere bete ki khushiyan de do mujhe ( joining Hands)

Haseenaa: aunty aap plz esa maat kijiye hum( crying)hum kya hi kahe,humse nahi hoga hum,aap plz hath mat jodiye ( crying) hum tayar hai,agar aap yehi chahti hai toh thik hai,apne ammi jesa pyar Diya ,voh saman de yeh hamara farz hai ,hum shadi karenge par sirf apke liye,hume nahi pata ki hum safal honge ,apke anu ko pehle jesa bana lenge nahi pata par Puri koshish karenge sirf apni ma ke liye( weeping in her embrace)par hamari ek shart hai

Ragini: jo bologi hume manzoor hai bas tum Maan Gaye yeh bohut hai ( kissing her forehead) *maaf karna beta hum tum dono ko dokha de rahe hai , anubhav  ko nahi pata ki tum dulhan ho ,shayad hume kabhi tum maaf na karo aur bhagwan bhi*

Haseena's POV
Abbu ammi ,hume nahi pata hum yeh sab kese kar payenge ( crying) kya humne sahi fesla liye,kume kuch nahi samaj aah Raha( weeping) kash aap yaha hote toh( sobbing)agar hum unki umeed par khade nahi utre toh ,agar uss ma ka dil Todd diya toh ,hum uss ma ke ansuo ka Karan nahi bana chahte ( weeping)ma ki kimat hum jante hai isiliye maan gaye,jab hume jarurat thi unhone hume pyar Diya sath diya ,aaj jab unhe hamari jarurat hai toh hum piche kese hatt sakte hai boliye na abbu( sobbing)kya hum naye safar ke liye tayar hai,itni Zindagiya judegi ,kya humse hoga ,hum apne abbu ka sapna pura karna chahte the par shayad Allah ko kuch aur hi manzur tha ( sobs)hume vaha koi dikkat nahi hogi sab hume pyar karte hai ,par anubav ka kya ,kya hume apnayega,kya voh hume kabhi pyar( choking)kya voh hume saman dega ,unke ankho mei apne liye nafrat dekhi hai kese rahenge hum unke sath ,Ya ALLAH !!! ( Sobbing)hum kya kare( fell on the ground)

Precap: cliff hanger😈

                                               R.M.G❤️

Guys ,here is your next part, eagarly waiting for your responses ..Here is the thing guys I had a week holiday after my semester and I have written this whole story except the last part, unlike Taqdeer I never had written material direct typing work without hard copy that led to lot of delay, this story is all written just have to type it ...Ill try my best to post As often but it depends on how you guys like my work and respond to it ,all my readers this story is full of twists and turns  trust me on this😏....If the response is good next part will be out before you think about it I promise 😉

*Guess the next part and what do you think is haseenas condition( shart) ???*

     Like ✳️ comment 👇 Follow 🙌

Love Heals ( anuseena)✔️जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें