FRESH START

1.2K 138 120
                                    

Anubav's pov
Kya mujhe  haseena se pyar ho gaya ,naha pata nahi Jo bhi yeh ehsaas hai bohut khubsurat hai ..itna khush shayad mei kabhi tha hi nahi .Meri jeene ki vajah ho tum haseenaa,meri muskurahat ki wajah ban gaye ho ..tumhe khone ke bare mei soch bhi nahi sakta....Tumhara dil toda meine,tumhara bharosa toda ,tumhare mafi pane ke liye jo ban padega voh mei karunga ...Hu mei issi layak sab manzur hai bas tum vapas aah jao haseenaa...pyar hai ya nahi pata nahi par tumhe pasand karta hu...tumhe chahne laga hu....har jagah tum dikhti ho aur tumhari muskan....Apne aap ko iss rishte ko ek mauka dena chahta hu...tumhare khayalo mei pagal sa ban Gaya hu,tumhari ankho mei  kho jata hu ,tumhari muskan se mere hriday ki gati baad jati hai..ek mauka haseenaa bas ek mauka ,jaha se sab bigda tha vahi se sab shruru hoga

Haseenaa pov

Hum apko pasand toh bohut pehle se karte hai anubhav,apki bato ne hamara dil toda hamara bharosa Todd diya ,hume apki bato se bohut farak padta hai kyuki hum apko pasand karte hai....pyar kehna itni jaldi shayad thik nahi...apke saaf dil se,jis tarah app sab ki izzat karte hai..jiss tarah aap apne parivaar se pyar karte hai...dadi ke maut ke baad apko ese dekh hamara dil mei khanzar marne ke saman dard hota tha....Apki muskan ,apki Khushi hamare liye bohut mayne rakhti hai...hum nahi jante apke dil mei kya hai... Kya hua hai jisne apke dil ko iss kadar tak todd diya hai usse jhakmi kiya hai  par hum un zakamo par marham lagane ki puri koshish karenge ..App dil ke saaf hai yeh apki ankhe jata deti hai,jinme dard bhi chupa hai ,gussa toh sirf apka bachav hai taki koi uss dard ko na dekhe...Hum apka vishwas jitenge ,taki ek din app khud hume sab bata de...hum iss rishte ko ek moka denge ,Allah kud moka deta hai toh hum Puri koshish karenge...ma kehti thi anubav pehle bohut khush rehte the,shant the aur masti khor bhi,kya hum anubav ko kabhi vapas se esa Bana sakenge...kya hum ma ki umeed par khade honge ...Koshis hum jarur karenge

SINGH MANSION

Haseenaa entered back and collided with someone before she could fall ,she was caught by strong hands around her waist..

Anubav: haseenaa dyan se( holding her) app thik hai

Haseenaa: Sorry voh ( moving back)

Anubav: apse bhut avashak baat karni hai

Haseenaa: karte hai anubhav,andar toh chale yeh sab saman jagah par rakhna hai ,usse pehle aap hath chodiye hamara ,koi dekh lega

Anubav: Dekhne doh apni patni ka hath pakda hai,aur yeh hath kabhi nahi chutega

Haseenaa: anubav app( shocked) apko yeh sab jabardasti ( he shooed her by placing his finger on her lips)

Anubav: hum nahi jante kaha se shuru kare aur kya kahe ,accha sabse pehle aap apni ankhe band kijiye aur hamara hath pakad lijiye apko kuch dikhana hai ( leading her)

Haseenaa: anubav aur kitni der( impatiently)

Anubav: bas poch Gaye ,abb  ankhe kholiye ( they were in front of the garage that was now clean ,it had a nice wooden door,side lamps ,two benches on each side,Concrete path in between surrounded by grass and some flower pots..)

Haseenaa: hum yaha kyu hai( panicked) vapas chalte hai anubhav ( clutching his hand)

Anubav: nahi haseenaa,mei chahta hu jaha galat hua tha vahi se sudar ho...Tumne mere zhakmo ko apne pyar se bhara hai haseena abb mujhe karne doh,accha aab yeh darwaza kholo...

Haseenaa: yeh sab( gasped) the whole place was painted green,it wasn't  an empty ,damp or dirty lifeless place...It was a medical care house,it had benches to sit,a checkup and restroom...A small cabin kind of with desk and chair for her ... Numerous medicinal plants were kept on shelves and hung around..there was a a store platform with tools like okhli to powder her medicinal herbs...the walls had a calendar,A clock,Some scenic pictures,a small temple and a chart with her shayris....yeh sab hamare liye( teary eyes)

Anubav: hum chahte hai jab bhi app iss jagah ko yaad kare tab apke andar aur atam vishwas aye,himat aur kuch karne ki chah...nahi dard aur dukh( wipping her tears)

Haseenaa: shukriya anubav ( Hugging him) humne kabhi esa kuch socha bhi nahi tha,Hamare chote se sapne ko apne naam de Diya

Anubav: hum jante hai haseena,humne apka Dil toda ,apka vishwas toda ,apse kitna kuch esa kaha jo kabhi nahi kehna chahiye tha ,aur uske liye mafi nahi ..Hum Roz praschatap karenge ( holding her hands) hum jante hai hamari shuruwat acchi nahi thi par hum ek aur mauka dena chahte hai,iss rishte ko ,hum dono ko apne aap ko...Apne hume fir se muskurana sikhaya ,Hamari Andheri zindagi mei app tara baan kar aye hai, koi bewakoof hoga jo apko Jane de...Hum hamesha apko sambhal kar rakhna chahte hai,apka sath de a chahte hai..Kya app zindagi iss lambhe safar par kya app hamari dost banogi ( extending his hand) hum nahi jante age kya hoga par hum dosti se shuru karenge..ek doosre ko janege ,kuch pal sath batayenge aur bohut si yade banayenge...

Haseenaa: dost( shaking hands) apko pata hai ,hum yaha se ja chuke the,hum bohut hurt the anubav...Par Puri galti apki bhi nahi thi paristiti hi esi thi ki humne sab app par thop diya..Aur hamare bich fasle baad gaye..Hum itne asani se apne rishte se har mane wale the ,hamare Abu ne hame ladna sikhaya hai ...hum hamare iss rishte ke liye ladna chahte hai...Isse majboot banana chahte hai..isse khubsurat baanana chahte hai jese ma- papa aur ammi abbu ka ...Hum jante hai apke atit ke bohut ghav hai jo apko rishton par bharosa karne se rokte hai par hum intazar karenge uss din ka  jab app hume sab khud bata de...hum koshis karenge apke in sare ghavo ko bhar sake ,Nishan jarur rahenge par dard kaam ho..Hum apka sath hamesha Dena chahte hai jese apne hamara diya ....Un dino mei aap hamesha hamare sath rahe,hamari fikr ki humari parvah ki..hum adhi chize toh piche chod chuke aur baki bhi dhere kar chut jayegi...hum apke shukr guzar hai..

Anubav: hum apke shukr guzar hai jo apne hume ek mauka diya...Par fir bhi app jo bolengi voh hamara paschatap hoga..

Haseenaa: accha thik hai( playfully) yeh konsa podha hai jara bataye janab

Anubav: Tulsi nahi neem are nahi konsa( grumpyly)

Haseenaa: ashwagandha ( laughing) abb chale,shaam ho gaye hai..

Anubav: ( he pulled her back in his embrace and pecked her forehead as the sun was sinking in its horizon it reflected their hugging figures soaking each other's warmth...)

Precap: L....N

                                                  R.M.G❤️

Here is the very next part..Let me know how it is..I'm eagerly waiting for your responses...Guess the precap 😜.. comment down your favourite holiday destination.... Romance and cute moments on their way🤭..

Anubav and haseenaa have given themselves another chance...Both have decided to start as friends..Will they fall in love?? Will their life be happy after this?? Or are there more obstacles on their way??

Like ✳️ comment 👇 Follow 🙌

Love Heals ( anuseena)✔️जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें