HEARTBROKEN

1.3K 147 57
                                    

SINGH MANSION

Past two days anubav and family took full care of haseena , anubav would be with her all the time , Santosh and karishma would try to make her laugh with all their weird banters ,mom's would make her all healthy food and shower her with motherly warmth . Mahesh was her abbu who's embrace would give her protection.. cheetah and Veyom made sure Rahul was behind bars...

Anubav: aur kya saboot chahiye tumhe ,hamari wife ki halat humse yaha dekhi nahi jati aur apko saboot chahiye ( angryly)

Haseenaa: ( anubav kitna badal gaya hai,itni fikr karta hai,in dino mei hamara kitna dyan rakha ,hume khilaya,hamare ansu poche ,hume sahara diya....Par hume toh sath chahiye tha (painfully)abb inhe bharosa hai hum par tab kaha gaya humne sab bataya tha( lost)

Anubav: haseenaa kaha kho gaye ,kuch chahiye tumhe

Haseenaa: ek sawal ka jawab anubav ,kya jo hua uske baad ( swollowing the lump) apko lagta hai ki hum apavitr ya apko humse gin( painful)

Anubav: apko lagta hai hum ese hai( hurt) in ghatiya mardo mei se nahi hu jo apni patni ke bare  mei esa soch rakhe ya kisi bhi stri ke bare mei..tumhari koi galti nahi thi haseenaa ( cupping her face) uske hath Todd kar rakh dunga ( angryly) kabhi bhi apne pavitr tha par ya izzat par dag laga esa sochna bhi maat ,Hamari nazro se dekho( lovingly)

Haseenaa: itni hamdardi kyu anubav...Itni parvah kyu kar rahe ho...Nafrat karte the na humse ....app humpar bharosa bhi nahi karte fir kyu anubav ( teary eyes) hume apka Sahara nahi chahiye ( looking away)

Anubav: haseenaa app patni hai hamari ,hum apka sath de rahe hai Sahara nahi...Aur rahi baat bharose ki toh hume appar pura vishwas hai ,nafrat hum karna chahte the par shayad kar na sake ( looking into her eyes)

Haseenaa: toh tab kaha gaya apka bharosa jab humne apko sab bata diya tha...kaha tha humne Rahul ke irade thik nahi hai voh hume galat tarike se chuta hai tab kaha gaya apka bharosa ( crying)  tab toh apko sabut dikhane pade ,hamari badnaseebi thi ki voh hamare pass nahi tha par abb hai ...kya pata apko abhi lagta ho ki hamari koi chal hai sabki hamdardi lene ki ( hurt) sabot kaha hai,voh kadpe ( running to the washroom)

Anubav: haseenaa, kaha ja Rahi ho,apko Aram ki jarurat hai ( worried) gir jaogi ...

Haseenaa: yeh raha ( removing a chip from her shoe) .Isme Rahul ne jo jo kaha sab recorded aur captured hai yeh mei usdin pehen kar rhi, shukr hai allah ka ki jesi hi hume Shak hua humne chip laga di....aap ek bar yeh sabut dekh lijiye taki apko bhi tasalli ho aur fir court mei de dijiye ( wipping her tears)

Anubav: haseenaa hume saboot nahi chahiye ( guiltyly) hume aap par pura vishwas hai..hum jante hai hume uss vakt apka yakeen karna chahiye tha par Rahul ke vishwas ki pati itni gehri thi ki hum( looking away)

Haseenaa:  dost ki vishwas ki pati( bitter chuckle) ek patni par vishwas jo hona chahiye uska kya anubav,patni chodiye koi bhi aurat ese hi bolegi ki kisi ki Nazar unhe thik nahi lag rahi,kisi ki gandi chuwan ki pehchane mei kabhi kisi stri ko galat femi nahi ho sakti ( painfully) shayad hamari kismat kharab hai ,koi aur hota toh shayad aap maan bhi lete par hamare liye apki Nafrat Bohut jyada hai ,apki galti nahi hai hum usi layak hai ( emotionlessly)

Anubav: haseenaa yeh app( horrified)

Haseenaa: galti hamari hai ,hume laga ki iss shadi se kamse kam hume dosti ,izzat ,sath aur Vishwas milega..Hum mante hai hamari shuruwat thik nahi thi par hume laga itne samay mei hamare bich chize badalne lagi hai...Hum galat the bewakoof the hum( tears streaming) Har rishte ki neev bharosa hota hai hamare rishte mei vohi nahi hai toh bacha kya anubav ( painfully) ..Apke liye koi rishta na ho par hamare liye hai anubav,hume in jazbato ka matalab nahi pata par hum appar pura bharosa karte hai , apki fikr karte hai hum apse( stopped) khair insab bato ka koi matlab nahi,apke ghav bharne aye the par hum na kamyab rahe ,badle mei kya hua ( crying) hum toot chuke hai anubhav hume chot lag chuki hai jo dikti na par dard bohut hota hai( sobbing) abb hum apko aur pareshan nahi karna chahte aap bohut seh chuke hai par aab nahi ( wipping her tears)

Anubav: haseenaa hum jante hai sari galti hamari hai ,par yeh maat kahiye ki hume apki fikr nahi,hume apki bohut parwah hai,aap par pura bharosa hai ,hum apke ankho mei ansu nahi dekh sakte haseenaa hume dard hota hai ( almost crying)

Haseenaa: iss bare mei abb baat nahi karte hai anubhav , khane ka vakt ho gaya hai neche chale

Anubav: hum madat kar dete hai( helping )

Haseenaa: Iski koi jarurat nahi hai Mr.Singh ,hum samaj gaye hai hume khud ke liye khud ladna hai,abb apko takleef lene ki koi jarurat nahi( sad smile)

Anubav: haseenaa ( broken) app hume galat samaj Rahi hai

Dinner Time

Ragini: haseenaa beta khane mei dikkat hogi ,yaha ajao mei khilati hu( lovingly)

Anubav:ma ,aap khaye mei khila deta hu( hopefully)

Haseenaa:hume bhook nahi hai hum juice pee lenge

Anubav: haseenaa apko dawa Leni hai please ( pleading) app khud kha lijiye

Ragini: thik hai fir hum bhi nahi khayenge ,hum juice hi pee lenge

Haseenaa: ma apko dawa Leni hai ,juice se kya hoga( bit her tounge) accha thik hai hum khate hai ,samaj gaye( small smile)

Room

Anubav: haseenaa app sofe par kyu soo Rahi hai ,app gir sakti hai ,apko chot lagi toh..

Haseenaa: hum bache nahi  hai,Hume apko uncomfortable ya pareshan nahi karna ,app hamari fikr na kare

Anubav: app kesi bate kar rahi hai( angryly) jab dekho apni hi Karti hai ,hamari bhi sun liya kijiye

Haseenaa: wahi toh kar rahe hai ,jo kabka hona chahiye tha( sorrowfully) apko iss anchahi shadi se mukt,fikr na kare koi apse kuch nahi kahega hum bahana bana denge ( laying down)

Anubav pov
Haseenaa kya chal raha hai apke dimaag mei,kya ho gaya hai apko( worried) hum apko kabhi kuch nahi hone denge nahi khud se dur Jane denge..Humne khud se wada kiya hai apko izzat aur hamara sath dene ka voh hum nibhayenge ...kal ek naye shurwat hogi...

Haseenaa pov
Hume apse dur Jana hoga anubav,apka sath dene ka khudse  kiya wadha todna hoga....Hum dono ke behtari issi mei hai...Hum apko aur dukh nahi de sakte ,apki Khushi hamare liye bohut mayne rakhti hai anubhav ...Hamara fesla atal hai...kal ek naye shurwat hogi...

Precap: SC

                                            R.M.G❤️

Hope all are doing well ..Here is the next part..Do let me know how it is and all your assumptions about the future parts...Your opinions are most welcome ...Thank you all for the support ..Guess the precap..

Haseenaa is broken by the incident and lack of Anubav's trust in her..What will be the future of their relationship?? Is this the end?? Will they part ways??...Is haseena over reacting or its normal for anyone to feel this??! The person who was holding the relationship is ready to break apart how will it survive??

Like ✳️ comment 👇 Follow 🙌

Love Heals ( anuseena)✔️जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें