CHANGING EMOTIONS

1.1K 134 52
                                    

Month later
It has been a month since dadi's demise,things were changing maybe for better .All were back to their normal routine , trying to smile back...

SINGH MANSION

Haseenaa: ma mei chai lati hu sab keliye ,adrak wali

Ragini: anu nahi aya abhi tak ,varna toh Roz subah uthte hi office bhag jata tha ,aaj kal ajeeb nahi lag raha kuch

Pushpa: lagega hi na Ragini ,shadi jo ho  gaye hai abhi subah der se toh uthega hi na( ishh)

Karishma: woh rahe bhaiya ,yeh apki chai fikr maat kijiye Amma ne banaye hai bhabi ne nahi ( they all were aware that he dint want anything made my haseenaa)

Anubav: suprabhat,papa aap aaj office aah rahe hai nd ( sipping the tea) yeh chai( he closed his eyes to ease his aching temple ,it was refreshing, strong not his usual ,but a better one ...)

Karishma: amma bhaiya meri chai pee gaye ,yeh rahi apki( grumpyly) kahe kiya apne esa

Haseenaa: karishma pura kittle bani hai dusri le lo ,koi baat nahi

Karishma: aaj se pehle toh apko chai pasand nahi thi ,apni Hari  chai pite aab kyu pee meri chai ( stubbornly)

Anubav: meine kuch nahi suna( ignoring) aaj mera mood accha hai apni bato ke kharab maat Karo( teasing)

Santosh: hoga hi jiju didi special chai jo piye apne ( received a glare from haseenaa)

Anubav: mei chalte hu ( he said looking at haseenaa, making her shyly look down,this was something he did often last few days ,he would indirectly says things looking at her)

Afternoon
Mehek: didi aaj mere koi kaam nahi hai toh kya nei jaldi ghar ja sakti hu

Haseenaa: thik hai par ek baar ma se puch lena,vese anubav ke liye khana bana liya

Mehek: nahi bhabi ,bhaiya ne mana kiya hai,shayad bahar khayenge

Haseenaa: accha thik hai,kahi anubav ghar par toh nahi khane wala,par use hamare hath ka kuch bhi nahi pasand

Ragini: esa nahi hai beta ,aaj tere hath ki chai peekar ho sukoon uske chehre par jhalak raha tha dekha meine ,voh shayad tumse pehle nafrat karta tha par aab nahi , voh badal raha hai aur acche ke liye

Haseenaa: kash esa hi ho ma,vese unke pasand ka  kya khana hai( shyly) aaj vohi bana deti hu,par aap bhi kuch banana ma kya pata mere hath ka pasand na aye

Ragini: mei toh kuch nahi banane wali( giving a wink)

Dinner Time

All were seated for dinner , anubav entered scolding somebody on his phone,he went up to his room to change ,his mood wasn't good anybody would tell that.. haseenaa was worried now ,she dint want him to sleep empty stomach ..

Mahesh: kya hua anu  itne gussa mei kyu ho, tension ki koi baat hai kya

Anubav: nahi papa bas ek case ke silsile mei ,sab tarike aazmaliye ,sham dam par muh hi nahi khol raha,aur commisioner piche pade hai ( frustrated)

Pushpa:fikr maat kar anu koi rasta nikal jayega tu pehle khana kha

All started surving themselves, anubav looked at the dishes to see that they all were his favourite, chicken tikka , chicken kofta, chicken biryani and raita..He took a spoonful of biryani and chewed it,he was lost into the layers of flavours,he was already addicted to it,who made it ,it was one of the best biryanis he has ever had.Hasena was all the while playing with a spoon looking at him,to get a reaction but he continued to eat without saying anything to her dissapointment..Was he that hungry or maybe he dint want to say anything bad...

Ragini: beta khana bohut lajawab bana hai

Mahesh: dil khush kar diya,peit bhar gaya par Maan nahi

Karishma: bhabi kisi hai,santu hame bhi sikhna chahiye

Santosh: fir di nahi banayegi ,mujhe di ke hath ka hi pasand hai

Haseenaa: ammi-abbu dekhiye aaj mera pura parivar ek sath khush hai apna ashirwad banaye rakhna , dhanyawad Allah ( she whispered in tears)

Anubav: kese haseenaa ne mere parivar ko fir se hasta- khilkhilata bana diya ( admiring) bas apki hi kami hai dadi

Room
Anubav: kya matlab usne kuch nahi bataya , Kasam khaye hai kya bakwas kar rahe ho ,commissioner sir ko kya jawab du ,voh toh mera gala pakdege na ,ek kaam nahi kar sakte tum log(angryly) KNOCK... KNOCK..kon hai

Haseenaa: voh ( stuttered) green tea Dene aye thi

Anubav: sorry voh phone par ( messaging his temple)

Haseenaa: koi baat nahi ,apko inti tension nahi Leni chahiye,vese ek baay kahe agar uss insan ne Kasam khaye hai matlab voh jhoot nahi bol raha

Anubav: par uski ma duniya mei nahi hai toh unki jhooti Kasam khana mushkil nahi

Haseenaa: agar ma saman koi samne ho ya koi esi chiz jise ma ka abhas ho ,jese aap unke ma ke bare mei pata lagaye,unke naam se chitti likhte yeh dhoka hoga par unke acche ke liye.. maar peit se voh fir bhi shayad sab ugal de par kya pata bhavishya mei fir se vahi dohraye.. unke andar parivartan karvana hai ,unhe dil se pachtava hoga tabhi voh sach bolenge ,paschatap Karenge Aur badal bhi jayenge..

Anubav: uttam ( schoked/ surprised)yeh hamare dimag mei kyu nahi aya, vese toh mei negotiation specialist hu ,kya baat hai haseenaa ( impressed)

Haseenaa: khair aab yeh bataye humne apko green tea kyu di,chai ya coffee kyu nahi..kyuki chai iss vakt peena thik nahi, coffee se nend udd jayegi , green tea se apki thakan jayegi aur thodi susti Ane lagegi

Anubav: manna padega haseenaa *app mei kuch toh baat hai * ,khana bohut accha tha apka shukriya hamare pasand ka sab banane ke liye( to which she gave a pleasant smile)

Haseena's ( pov)
hume yeh anubav pasand hai ,jo humse baat karta ho,thoda hi sahi par yeh badlav accha hai ,yeh Jo bhi jazbaat hai hume Khushi dete hai ,unki hamari tariff karna sukoon deta hai( smilling she closed her eyes)

Anubav's pov
Yeh kya ho raha hai,kuch alag sa mehsus ho raha hai,hum aab haseenaa se nafrat nahi karte.Balki tumhare sath mera vakt bohut accha jata hai,sochta hu ki apni jeed ke age tumhare hath ka lajawab khana Miss Kiya meine par aab nahi ..Tumhe jo izzat milni chahiye voh mei dunga haseenaa.Pata chala tumhare aabu Shahid hue hai aur kaam Umar mei tumne sab sambhal liya apni ammi ko apne aap ko,tum sachme bohut bahadur aur needar ho ...Mei shayad tumhe pyar na de saku par izzat,parvah aur sath dunga yeh hamara vadha hai..tum din aur din mujhe galat sabit kar rahi ho apne bare hai aur mujhe koi afsos nahi...Uss din jab mei tumhare samne roya apne aap ko kamzor padne diya mujhe laga tumse aur nafrat karunga par nahi kar paya ,mujhe laga tum mujpar hasogi uski tarah par nahi tumne Mera dukh samjha ,use banta..Mera dard kam kiya ,mujhe samjha ,mujhe samjhaya .Kash tum pehle mili hoti haseenaa toh aaj hamari paristiti kuch aur hoti ( looking at her sleeping figure)

Precap: Weird Feelings

                                           R.M.G❤️

Here is the next part ,hope it's good enough...Me being constant touchwood🧿🤭 Let me know in  the comments how it is...Im greatful for the response that's the reason I'm trying my best to update atleast one part par day....I know all parts are so much connected and all you guys want to eagarly know how their relationship buildsup  but Rukho Zara sabr Karo, Suspense toh banta hai🤭😏😏...

Finally Anubav is changing...He has started accepting his relationship with haseenaa....What does the future hold...Will it be a smooth journey from now on?? What does the precap mean ??

Like ✳️ comment 👇 Follow 🙌

Love Heals ( anuseena)✔️जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें