Rudraksh's Gift

314 15 28
                                    

Next day Preesha came to the college

And she saw Rudraksh was talking to Dev. She thought of Pranking him.

She calls Rudraksh.

Rudraksh:Hello Preesha

Preesha: Rudra main aaj college nahi ayungi.

Rudraksh became sad and nervous.

Rudraksh: kyu? Tum thik ho na kuch hua hai kya?

Preesha starts coughing.

Rudraksh:Preesha...tumhari tabyat kharab hai kya?

Pata tha mujhe tabyat kharab ho jayegi isliye bola tha barish mein mein mat jao par tumhe to meri baat sunni nahi hai bas apne man ki karni hai.

Preesha started sneezing.

Rudraksh:lagta hai bohot tabyat kharab hai...tumne koi dawai li? Tum bolo to main vaha aau?

Preesha was giggling.

Maya : Preesha class mein chal kise baat kar rahi hai tabse?

Rudraksh heard her voice through call

Rudraksh:Preesha...tum mazak kar rahi thi ...tum college aai ho? Kaha ho tum?

Preesha:tumhare peeche.

He turns and finds her.

Preesha: kya buddhu banaya na maine

Rudraksh: Preesha tumko aisa nahi karna chahiye tha...yeh mazak funny nahi hai.

Preesha:sorry mai to bas aise hi..

Rudraksh: baki sab mazak thik hai par apni health ko leke koi mazak mat karna age se.

He went to the class in anger.

Preesha followed him.

She went and sat beside him.

Preesha: Rudra...sorry na maine bas ese hi kiya mai tumhe upset nahi karna chahti thi...please maaf kardo I am sorry.

Rudraksh looked at her.

Preesha made a puppy face.

Rudraksh: it's ok maaf kiya

Preesha: itni jaldi?

Rudraksh: aur nahi to kya

Zyada der gussa rahunga to tum mujhe chod ke nahi chali jaogi?

Mai yeh risk nahi le sakta.

They both laughed.

Rudraksh: acha Preesha...maine tumhare liye ek gift kharida tha jo mai kal dena bhool gaya tha...tum mujhe college ke baad milna tab mai tumhe dunga.

Preesha:wow! Gift dena hai to tum mujhe abhi bhi de sakte ho....

Rudraksh: nahi tumne mazak kiya na merese isiliye gift ke liye wait karna padega..yeh hi punishment hai.

Preesha: Rudra please do na

Rudraksh: no college ke baad hi milega..tab tak tum socho kya gift hoga.

Preesha: sochna kya hai...dress hogi ya koi jwellery ya perfume ya chocolate types kuch. Ladke log ese hi gifts dete hai.

Rudra: sorry but inme se kuch bhi nahi hai.

Preesha got confused and kept thinking about the gift.

After college she goes to Rudraksh

Preesha: Rudra mai soch soch ke pagal ho gai kya gift hai ab dikha bhi do.

Rudraksh hand her a box.

Preesha opens it gets surprised.

Preesha: ghungroo...par kyu?

Rudraksh: taki tumhe apni kala aur in ghungroo se fir se Pyar ho jaye.

Preesha: par tum...

Rudraksh: batata hu..

Ek din jab hum aur maya aur dev sath mein lunch kar rahe the tab tum ek baar washroom gai thi..tab maine maya se pucha tha ki tum school mein kaise thi? Aur tumhe kya pasand tha?

Tab maya ne bataya ki tum ek trained classical dancer ho aur tumne school mein bohot perform bhi kiya hai par class 11 se yeh sab chod diya. Padhai ke pressure se...

Tab maine decide kiya ki mai tumhe sabse pehla gift yeh hi dunga...mai bas sahi mauke ka wait kar raha tha.

Preesha: par Rudra do saal ho gaye maine dance karna chod diya hai.

Rudra: to fir shuru kar do...yeh tumhara talent hai Preesha tumhe ise utilise karna chahiye iski kadar karni chahiye...main kaun sa tumhe padhai chodne keh raha hu tum bas ise apni khusi ke liye karo...apne talent ko waste na karna to tumne hi sikhaya hai mujhe.

Preesha's eyes filled with happy tears.

Preesha: Thank you Rudra mere liye itna sochne ke liye...meri khushi ke bare mein sochne ke liye...yeh ghungroo bohot special hai mere liye aur use bhi zyada tum special ho.

Rudra: tumhe yeh pasand hai?

Preesha: bohot...par Rudra mujhe fir se dance karne ke liye training lene padegi uske liye koi teacher khojna padega.

Rudraksh:uski tension mat lo maine already ek dance class mein baat kar rakhi hai. Parso se dance class hai shaam mein.

Preesha:teacher kaun hai

Rudraksh:koi Akshit sir hai

Preesha: are vo to bohot ache hai main bhi unse sikhna chahti thi par fees high hone ki vajah se nahi seekh pai.

Rudraksh: to ab seekho..parso mai chalunga tumhe chodne.

Will Akshit bring new twist to their story?

Genuine question: are you guys liking flashback or is it becoming boring? Should I skip it?

Please do answer in comments.

Vote if you liked this part.

Follow me to get updated at the earliest.

Love you all : ) 

Always for youOù les histoires vivent. Découvrez maintenant