|~The Marriage Proposal~|

2.1K 236 288
                                    

"Don't you dare to say my daughter's name warna woh haal karenge tumhara ki jis paise aur power ki akad hume dikha rahe hai woh tumhare kisi kaam ki nhi rahega...!" A woman roared angrily.

"Shant ho jao Meera...!" Her husband tries to calm her.

"Aap inse kahiye ki mere ghar se yeh nikal jaye...!" She said angrily, glaring at the lady who tried to insult her daughter.

"Mujhe chup karane se kuch nhi hoga Mrs.Malik kyunki pura Mussoorie janata hai ki Haseena aapki beti nhi hai aur koi bhi acche aur bade khandaan ka ladka usse shaadi nhi karega, aakhir sabko ek khandani ladki hi chahiye...ab naam ke sath Malik laga lene se uske anath hone ki baat jhoothi toh nhi ho jayegi."

"Bilkul thik kaha aapne, naam se insaan ka character nhi pata chalta kyunki kuch log ke surname Adhikari hote huye bhi bewakoofon wali baatein karte hai, sahi kaha na Mr.Ranjan Adhikari....(she taunted with a smile).

The lady looked at her husband in anger.

" Ab aur bhi kuch rah gya hai, jo aap log yahan munh uthakar khade hai" Meera's husband said angrily.

"Mr.Malik! yeh accha nhi kiya hamari insult karke, bahut badi kimat chukaoge...!" Ranjan said angrily.

"Ghar se aap khud nikalenge ya hum guards ko bulayein...!" Mr.Malik said sarcastically.

Mr.& Mrs. Adhikari left the house in anger.

"Meera shant ho jaiye, aap janti hai jyada gussa aapke liye thik nhi hai."

"Keshav aap jante hai, humse bardast nhi hota ki koi hamari beti ke bare mein kuch bhi kahe..." Meera said, trying to calm herself

"Kaun kya kah kar gaya hamari Meethi ke bare mein?" A man aged thirty years old asked furiously.

"Koi nhi...Mohit." Mr.Malik said nervously.

"Papa aap jante hai aap jhooth nhi bol payenge phir kyu koshish kar rahe hai..!"

"Woh Mr &Mrs. Adhikari aaye the apne bete ke liye Haseena ka rishta lekar...."

"Unke bete se hum apni servants ki beti ki shaadi na hone de aur woh hamari Meethi ke liye Rishta lekar chale aaye..! " He said angrily.

"Unka khud ka beta ek number ka characterless hai aur jab humne rishte ke liye mana kiya toh hamari beti ke character par sawal uthane lage." Meera said with anger.

"Kya? unki itni himmat, abhi unhe batate hai ki Mohit Malik ki behan ke character par sawal uthane ka nateeja kya hota hai..!" Mohit said angrily.

"Sir Haseena madam aa gyi" A servent informed them.

Meera-Mohit shant rehna aur normal taki use pata na chale ki kya hua tha...

Keshav-aap bhi kyunki aap hi emotional hokar sari baat bol deti hai...(taunting tone).

Meera-aapko nhi lagta aap kuch jyada daring ho rahe hai...(glaring at him).

Keshav-nhi..nhi toh...(nervously).

Mohit-aap dono bhi na....(hopelessly).

"Kya baat hai aaj hamara pura parivaar ek sath woh bhi is time...!" Haseena said happily.

Meera-is time se yaad aaya tum aaj itni late kaise ho gayi...(suspiciously).

HM-voh maa....actually hum Nidhi ke sath the, uski ek party ki taiyari mein help kar rahe the....

Mohit-aur job ka kya hua?

HM-boss ne puchha woh kaise lag rahe hai aur humne sach bol diya...(she said innocently).

Agar Tum Saath Ho ✔Where stories live. Discover now