🍁|~The Discussion~|🍁

1.5K 188 218
                                    

Continues from the previous part...

"Suniye...!" Haseena called her handsome husband sweetly.

Anubhav-kahiye...

Haseena-woh ghar aate time aapne jo challenge diya tha use abhi ke liye cancel kar sakte hai kya aur kal wala bhi....(she asked cutely).

He smiled and pecked her nose.

Anubhav-abhi ke liye kyu?

Haseena-woh subah subah kaafi embarassment jhel chuke hai aur aaj hi aapko sabke saamane kiss kar diya toh sabko shock se heart attack aane ka khatara bhi ho jayega aur baki kal karwa chauth hai toh hume fast rakhna hai isliye abhi rehne dete hai yeh wala challenge kabhi aur karenge par parso pakka....

Anubhav-karna aapko hai chahe aaj kare ya kal hume koi aaptti nhi hai...

Haseena-you mean aapko koi problem nhi hai?

Anubhav-ji hume koi problem nhi hai...(he said with a smile).

Haseena-thank you....(kissing his cheeks).

He smiled.

“Upar wale ka shukar hai ka Haseena ka dhyan dheere dheere bhatak raha hai...bas aise hi inka sara dhyan kisi na kisi cheej ki taraf lagana hoga taaki yeh us haadse ko dheere dheere puri tarah bhool jaye aur agar yaad bhi kare toh kisi tarah ka dar na rahe...”

Haseena-kya soch rahe hai aap...(she asked, wrapping her hands around his neck).

Anubhav-kuch nhi...

Haseena-hum kya soch rahe the ki.....

Anubhav-ki..?

Haseena-ki hamari shaadi ko ek saal hone ko hai toh ab hum apni family planning ke baare mein sochna chahiye.....(She said hesitantly because she knows he might get angry).

Anubhav-aapne jo pehle planning ki thi na woh bahot acchi hai isliye uske according hi chalenge...(he said with a smile).

Haseena-nhi na Anubhav..humse do saal wait nhi hoga, aur waise bhi kaun sa baby abhi aa jayega...baby ko aane ke liye kam se kam ek saal lag hi jayenge...

Anubhav-thik hai hum ready hai par yaad rahe hai bachhe ke hone ke baad agar hum dono ke beech kabhi jhagda hua ya humne aapko time nhi diya aur aapke paas nhi so paye toh hume dosh mat dena aap...kyunki pregnancy ke baad aurton ke mood swings bahot khatarnaak hote jate hai phir abhi hamari shaadi ko samay hi kitna hua hai aise mein hamare beech jhagde hone aam ho jayenge...(He tries to entrap Haseena in his words).

Haseena-yeh toh badi problem hai par kabhi na kabhi toh baby honge hi aur hume chahiye cute cute se babies....(she said innocently).

Anubhav-haan toh hum kaun sa mana kar rahe hai hum toh bas kah rahe hai ki abhi nhi aaram se plan karenge baby, tab tak hum dono ke beech ki understanding aur badh jayegi...(smilingly).

Haseena-hmm...baat toh aapki sahi hai....

Anubhav-toh ab yeh topic agle ek saal ke liye closed, samjhi aap....(smilingly).

Haseena-samjh gye magar (he arched his eyebrows) Murlidhar ne hamare planning par pani pher diya toh...(she asked innocently).

Anubhav-aisa kuch nhi hoga meri jaan...(he said kissing her forehead).

Haseena-aap itne confident ke saath ke kaise kah sakte hai?

Anubhav-tum ek number ki buddhu ho Butterfly.....(he slapped her forehead and then said).

Haseena-Murlidhar baad mein pehle Anubhav baniye aur bataiye aap itne vishwas ke saath kaise kah sakte hai ki aisa kuch nhi hoga....(she asked grumpily).

Agar Tum Saath Ho ✔Where stories live. Discover now