Chapter 2

819 54 22
                                    

Rajveer: mom sun liya aapki select ki hui ladki ke bare mein, isliye kehta hoon main aapse ki aap mere liye ladki mat select Kiya Karo... meri shaadi jab honi hogi toh ladki apne aap mil jayegi, toh please ab mere picha chod dijiye... mujhe headquarters mein kaam hai isliye ja raha hoon.

Sakshi: Veer nasta toh karke ja.

Par rajveer uski baat nahi sunta, aur wahan se chala jata hai... yeh dekhkar uski maa dukhi ho jati hai, toh sab usse samjhane ki koshish karte hain.

Arjun: maine kaha tha na ki itni jaldi mat karo rajveer ki shadi ki wo abhi in sabke liye ready nahi hai, par aapne meri ek nahi suni... dekh liya ab aapne apni zid ka nateeza, wo bina apna nashta finish kare chala gaya yahan se.

Sakshi: zid na karu toh aur kya karu, mere bache toh khush dekhne ka bas ek yahi rasta nazar aa raha hai mujhe... wo hum mein se kisi ke sath apni feelings share nahi karta aur bas akela sa rehta hai, toh socha ki uski life mein koi ladki aayegi toh rajveer usse apni feelings share karega, uske sath apni life khul kar enjoy karega na ki bas aise hi hamesha duty duty.

Arjun:main tumhari fikar samajh raha hoon Sakshi, lekin tum bhi toh usse samjho... wo abhi in sabke liye ready nahi hai aur jis din tum uski pasand ki ladki dhundogi tab wo turant shaadi keliye haan kar dega, tum dekh lena.

Sakshi: Rajveer ko kaisi ladki pasand hai yeh toh kabhi usne hame bataya nahi, toh ab kya karein.

Neil:  Mom agar veer bata bhi deta toh aapko waisi ladki milti hi nahi kyuki apni life partner ko lekar rajveer ki expectations bahut high hain.

Aalekh: Jiju aapko pata hai ki bhai ko kaisi ladki chahiye hain.

Neil: Veer ko ek aisi ladki apni life partner ke taur par chahiye jo uske looks or financial status se nahi balki usse pyaar kare... usse apne desh aur bachon se bahut pyaar hona chahiye or last and most important one ki veer uski life mein uska pehla pyaar hona chahiye.

Avni:  aisi ladki toh Milne se rahi, mom hame bahut mehnat karni padegi bhai keliye ladki dhundne mein.

Arjun kehta hai ki uski koi zarurat nahi hai abhi, kya pata normal posting ke iss ek saal mein wo khud apne liye ladki dhund le.

Avni: aisa toh hone se raha.

Aalekh: (apne dad ki baat ko support karta hai) ek saal keliye bhai OTA mein hain, aur agar wahan koi achi ladki mili toh wo pakka uski setting karwa duga bhai se.

Neil: Aalu tu magarmuch muh haath dalne ki baat kar raha aur pakre jaane ke consequences tu mujhe bhi achhe se janta. Agar usse pata chala toh wo teri laash ko OTA ke jungalo main hi dafna dega aur kisi ko kano kan kabar bhi nhi hogi.

Aalekh: Jiju main janta hu ki aap bas majak kar rahe ho par plz majak bhi itne seriously mat kiya kyuki meri hawa tight ho jati hai ye sab soch ke. Main pehle hi kaam dara hua nhi hu aur ek aap ho jo aur dara rahe hi bachhe ki jaan loge kya Jiju dara dara ke.

Neil: at a serious note, tum kuch bhi karo wo secretly karna, warna agar Veer ko pata chal gaya toh sab kuch barbaad ho jayega.

Aalekh: kehta hai ki aap tension na lo Jiju, aakir kar chota bhai hi hu unka itni aasani se pakara jau. Ab bhai ko sab kuch tab hi pata nahi chalega jab wo already kisi ladki ke pyaar mein pad chuke honge phir wo mujhe daatenge bhi nahi.

Arjun: bas yeh yaad rakhna ki ladki veer ki pasand ki hi honi chahiye... kahin aisa na ho ki tum bhi apni mom ki tarah aisi ladki select kar lo jo usse bilkul pasand na aaye.

Meant to be YOursWhere stories live. Discover now