Chapter 4

769 57 29
                                    

Naina: tumari toh girlfriend pakka hogi hi.

Aalekh: yrr sabko ye galatfehmi kaise ho jaati hai ki meri koye girlfriend hai.

Naina: sabko mtlb???

Aalekh: jaise tumhe ye galatfhemi huyi waise hi meri Maa ko bhi huyi thi aur maine unhe bahut hi muskil se yakin dilaya ki meri koye girlfriend nhi hai.

Naina: far is galatfhemi ki koye wajah yoh hogi na.

Aalekh: ye baat sach hai ki meri gf nahi hai lekin bahut sari ladkiyon ne mujhe propose kiya tha lekin main unhe date par lejakar politely yeh samjha deta hoon ki main unme interested nahi hoon.

Naina: yeh kaunsa tarika hai ladkiyon ka proposal reject karne ka.

Aalekh: yeh mera unique tarika hai jo tujhe nhi samjh nahi aayega.

Naina: aur mujhe tera ye so called idea ke baare main jaana bhi nhi hai. Kyuki tere jaise hi tere ideas bhi na fatichar hai.

Aalekh: main tujhe kis angle se fatichar dekhta hu. Itne sweet, handsome, loving and caring ladke ko fatichar bol kaise sakti hai.

Naina: main bol sakti hu aur ye tujhe mujhse friendship karne se pehle sochna chahiye tha.

Aalekh: ja tujhe maaf kiya. Kuch der pehle toh slient mode on tha tumara aab bolti hi ja rahi ho.

Naina: main aisi hi hu koye dikkat.

Aalekh: tu toh aise bol rahi hai jaise koye dikkat hogi toh uska solution karegi. Tu dekhti bas innocent hai par koye innocent nhi hai tu.

Naina: ye toh sahi kaha tune.

Aalekh: ye sab baate toh chalti rahegi par tu mujhe apni life ke bare mein bata aab.

Naina: meri life mein batane layak kuch nahi hai kyunki bhaiya ke jane ke baad meri life mein kuch acha nahi bachha hai.

Aalekh ko sab pata hota hai uske bhaiya ke bare mein, par phir bhi uske dukh dard ko bahar nikalne keliye wo chup chap uski baat sun raha hota hai.

Aalekh: aisa kyun keh rahi hai, aur tere bhai kahan hai.

Naina: mere Bhaiya 3 saal pehle shaeed ho gaye aur unke jaane ke baad main  akeli ho gayi hu kyuki wo bas mere liye mere bhai nhi mere liye mere parents se badhkar the main jitni close apne bhaiya ke saath thi utni close aaj tak kisi ki nhi hu. Ek bhaiya hi the jo bina kuch bole hi meri baat samajh jaate the mujhe unke saamne kuch bolne ki jarurat pari hi nhi. Wo mujhe dekhte hi baata dete the ki mujhe kya feel kar rahi hu ya kya soch rahi hu. Bhaiya ke jaane ke baad koye mujhe samjhta hi nahi hai yaha tak ki meri Maa Baba mujhe nhi samjhte toh main kisi aur se kya hi umid karu.

Ye sab bolne ke baad Naina ek dum shant ho jati hai.

Aalekh: tera bhaiya shaeed hue hai toh tujhe dukhi hokar nahi balki fakar se unko yaad karna chahiye kyuki desh keliye apni jaan kurban karne ka naseeb har kisi ko nhi milta.

Naina: mujhe bhaiya par bahut proud hai par wo mujhe akela chodkar kyu chale gaye, ab koi mujhse pyaar nahi karta especially maa baba unhone toh mujhse aate waqt baat bhi nahi ki.

Aalekh: tere bhaiya tujhe chor kar kahi nhi gye hai Naina. Rajveer bhai hamesha  yahi kehte hai ki jo log shaeed ho jate hain na wo hamesha logon ki yaadon mein amar ho jate hain, aur duniya hamesha unhe apne ideal te taur par dekhti hai aur unke jaisa banna chahti hai... isliye tu bhi apne bhaiya ko yaad karne ki bajaye unhone jo kiya uspe proud feel kar, aur unhi ki tarah ek best officer banne ka try kar aur main ye pure viswas ke saath keh sakta hu ki tu ek din bahut achhi soldier banegi.

Meant to be YOursWhere stories live. Discover now