Chapter 9

626 61 20
                                    

Aise hi lagbhag 5 mahine beet jate hai jiske dauran sabhi cadetsapni training mein busy hote hain,kyuki day by day unki training bahut hi difficult hoti ja rahi thi... trainers cadets ko is dauran full support kar rahe the

wahin personal life mein Naina aur Aalekh ek dusre ke best buddies ban gaye the, aur ek dusre ke bare mein sab kuch jan gaye the... wahin dusri taraf Rajveer ki naina keliye feelings badhti ja rahi thi, jo usse khud samjh nahi aa rahi thi ki wo hain kya isliye Rajveer jitna ho sake apni feelings ko ignore karke cadets ko best training dene mein busy tha

Training ground

Aaj cadets ka mid term break (i.e half training complete which is of 23 weeks) se pehle last day hota hai... sab bahut excited hote hain, kyunki unhe apne ghar jane keliye 3 weeks ki holidays milne wali hoti hain lekin usse pehle unka last BPET (battlefield physical efficiency test) hota hai, jiske liye wo sab ground mein ikatha hote hain... sabhi faculty members bhi cadets ki performance dekhne keliye ground mein aate hain ki tabhi colonel rai wahan aate hain aur unhe dekhkar sabhi cadets seedhe khade ho jate hain

All cadets: good morning sir

Col. rai : good morning cadets, I know aap soch rahe honge ki aaj toh sunday hai phir yeh drill kyun... right?

All cadets: yes sir

Col. rai : actually aaj koi drill nahi balki aapki performance evaluate karne keliye ek test conduct kiya jayega, jisse army ki bhasha mein BPET kehte hain... isme aapko five task karne honge, aur wo bhi pure battle order ke sath

Random cadet : sir, battle order mean?

Col. rai : generally battle order mein soldier ki necessities hoti hain, lekin test ke life aapko 7kg weight or insas rifle di jaiyegi... any more questions?

Another cadet: yes sir, what about tasks... aur unme koi specified time limit hogi kya?

Col. rai : pehle do tasks mein time limit hai lekin baki teen tasks sirf qualifying hain... so tasks are :-
* 5 km run in less then 28 minutes
* 60 meter sprint in less then 15 sec.
* 9 meters transverse horizontal rope
* climb 4 meters vertical rope
* 9 foot ditch

Col. rai : so are you ready cadets?

All cadets : yes sir

Col. rai : good (to orderlies) jaldi se sabhi cadets ko 7 kg weight & unki rifle dijiye

Orderlies: yes sir

Phir orderlies sabhi cadets ko jaldi jaldi 7 kg weight ka backpack, aur insas rifle dete hain

Col. rai (commands) : cadets, in your mark... get set (starts the stopwatch) go !

Sabhi cadets bhagna start karte hain, Naina aur Aalekh starting mein slow pace se bhagte hain, lekin phir baad mein apni speed badha lete hai jisse wo dono sabse aage nikal jate hain

Other side

Gunny, Shalini aur Rajveer side mein khade sab notice kar rahe hote hain, ki tabhi Shalini dono se puchti hai

Shalini: kya lagta hai aapko Gunny & Major, ki yeh test kaun jeetega

Rajveer: I think, cadet Naina

Gunny: aur mere khayal se Aalekh jeetega kyuki gudiya physical tests mein thodi si weak hai

Rajveer: BPET ka physical strength se koi lena dena nahi hai Gunny... aaj ke tasks ka winner wahi hoga joki sabse jayda active aur fast hai.... aur yahan present sab jante hain ki Aalekh aur naina mein se, naina jayda active or fast hain toh wahi jeetengi... tu dekh lena

Meant to be YOursOnde histórias criam vida. Descubra agora