Chapter 18

704 52 23
                                    

Uske baad bari aati hai dinner prepare karne ki jo cadets ko khud karna hota hai, lekin wo kisi ko nahi aata toh Aalekh and Naina sabka dinner prepare karne ki zimmedari lete hai kyuki sirf wo dono hi the jinhe thoda bahut khana banana aata tha... Aalekh aur Naina simple khana banakar sabko serve karte hain, lekin sabzi mein namak thoda zayda ho jata hai toh sab unki taraf dekhte hain

Naina : kya hua... aap sab hame aise kyun dekh rahe hain ?

Aalekh : haan, koi problem hai kya ?

Random cadet : haan, yeh kya bekar khana banaya hai tum dono ne

Another cadet : haan, isme namak hi namak hai... tum dono ko khana banana nahi aata toh jimedari kyun li ?

Rajveer : cadets, behave yourself... yeh kaise baat kar rahe hain aap sab, ek toh unhone hum sabke liye khana banaya... aap unhe thanks bolne ki bajaye aise behave kar rahe hain

Gunny : exactly, Aalekh & Naina koi chef nahi hain jo wo perfect khana hi banayenge... ho agyi unse galti, lekin iska matlab yeh nahi hai ki aap aise react karenge

Ritu : par Captain Randhawa agar in dono khana banana aata hi nahi tha, toh phir kyun li in dono ne responsibility... aur koi khana bana leta

Gunny : oh really Dr. Mishra... yahan khade kisi bhi shakhs ko khana banana aata hai, jo aap sab unke banaye khane mein nuks nikal rahe hain

Nair : par Captain, in dono ki wajah se ab sab bhukhe rahenge

Rajveer : bhukhe kyun rahenge Major Nair... sab aaj yahi khana khayenge, taki sabhi ko yeh realize ho ki collective responsibility agar kis ek ki zimmedari lagayi jaye toh uska anjam yahi hoga... sab aaj yahi khana khaiye, & it's an order

Nair : Major, aap mujhe order nahi de sakte... main aapka senior hoon

Rajveer : jahan tak mujhe yaad hai, hum dono same rank par hain toh kaise senior... waise bhi aapko dinner karna hai toh kariye, warna bhukhe rahiye... it's all up to you (to cadets) and cadets, yeh aap sab par bhi apply hota hai... aur haan, kal Aalekh & Naina aap sabka khana nahi banayenge... so you all better prepare your own food tomorrow... am I clear ?

All : yes sir

Rajveer : good, now dismissed

Uske baad sabhi wahi khana bina tantrums ke khakar apne apne tents mein sone chale jate hain... Aalekh, Naina, Gunny & Rajveer thodi der bonfire ke paas baithte hain, lekin in sabme Gunny shant sa hota hai

Rajveer : tujhe kya hua... doctor ko miss kar raha hai kya ?

Gunny : nahi, Shalu se toh abhi baat hui hai aur wo thik hai

Rajveer : toh aaj itna sad kyun hai ?

Gunny : wo actually aaj wala incident dekhkar Naveen ki yaad aa gayi thi... jab hum cadet the aur hamari yeh exercise thi, tab Navu ne bhi  sabko aisa hi namak wala khana khilaya tha... aur phir sabne kya dhulayi ki thi uski, wo toh Colonel Rai waqt par aa gaye the warna next day wo hospital mein admit hota

Aalekh : toh yeh khane mein extra namak dalna yeh tumhare genes mein hi hai Naina ?

Rajveer (warningly) : Chote

Aalekh : kya bhai, aap hamesha mujhe hi kyu chup karwate ho ?

Naina : wo tujhe isliye chup karwa rahe hain Aalekh kyuki unhe dar hai, ki kahin main teri ya Gunny bhai ki baat sunkar main bhaiya ko yaad karke sad na ho jaun... right sir ?

Meant to be YOursWhere stories live. Discover now