part:-8

863 114 38
                                        

D House ....

Vijay:- humare samne tu ye dikhati rahi ki tu aur raghav jaani dushman hai aur peeth peeche uske sath tu chheee....mjhe to bolte huye bhi sharam aa rahi hai aur tujhe karte wakt sharam nahi aayi .. Arey raghav pasand tha tujhe to bata deti ...itna natak karne ki kya jarurat thi tujhe .

Pallavi:- baba sach me mai raghav ko pasand nahi karti ... Wo to pichle ek mahine se mjhe pareshan kar raha tha ...dhamki deta tha dukan pe tala lagwane ki ..mjhe jaan se marne ki bhi kosis ki thi usne

V:- acha aur phir bhi tu mere mana karne k bawjood usse milti rahi aur uske sath majje leti rehti ..

P:- baba mera yakeen kijiye mjhse jo kuch bhi hua anjaane me hua ... Ek pal k liye mai thoda kamjor pad gayi thi aur mere kadam behek gaye ....lekin wo sirf ek bar hua ...aur aage se kabhi nhi hoga jindagi me ...

V:- bas pallavi mjhe aur kuch nahi sunna hai aur ye ek bar wali to baat tu na hi kar ..pata nahi raghav k pehle bhi tu aur kitne aadmiyo k sath raat gujar chuki hogi ...ek aur wo aadmi abhi aaya tha na kuch der pehle jisne bola ki wo tera customer hai ....tune to jismfaroshi ka dhandha karna  shuru kar diya .
..paiso k liye tu itna gir jayegi ye to maine kabhi socha bhi nahi tha ..maine to socha tha ki teri phir se shadi karwaunga . Teri jindagi ki phir se ek naye sire se shuruwat hogi ... Lekin jo tune kiya hai wo baat janne k bad to koi bhi acha pariwar tujhe apne ghar ki bahu nahi banayega ...
Tu ek no ki jhuthi aur makkar ladki hai ... Do saal se dukan k baare me jhuth bolti aa rahi hai ....arey agar nahi sambhal rahi thi tujhse dukan to mjhe batati ...mai phir se kaam shuru kar deta .. itna bhi buddha aur kamjor nahi hua hu mai ki kaam na sambhal saku ... Pata nahi aur kitne jhuth bole hoge tune humse aaj tak ... Tu to bharose k layak hi nahi hai ..

P to Sharda:- aai aap to meri baat ka yakeen karo .....

S:- kya yakeen karu mai pallu .. Tune to aaj meri parvarish pe hi sawal khade kar diye ... Arey Vijay ji ko sach nahi bataya to kam se kam mjhe hi bata deti ... Maine tujhe Raghav k sath kaam karne se kabhi nahi roka kyuki mjhe tujhpe bharosa tha lekin mjhe nahi pata tha ki tu hume aise dhokha degi ..

P:- aai baba maine Jaanbujh k kuch nahi kiya

V:- angrily bas ab aur nahi sunni hai teri bakwas .... Maine galati kar di jo ki apni vidwa bahu ko beti bana k rakha . Aaj afsos ho raha hai mjhe es baat ka ki teri jaisi ghatiya aur giri hui ladki ko maine apni beti mana ...abhi k abhi es ghar se nikal ja .. teri es ghar me ab koi jagah nahi hai ..

Milind:- dada ye aap kya keh rahe hai .. pallavi ko es ghar se kyu nikal rahe hai ..

Vijay:- tu chup kar milind... Ye mera ghar hai aur mai tay karuga ki es ghar me kaun rahega aur kaun nahi ..

Pallavi:- comes on her knees n she holds Vijay's leg n says baba plz mjhe maaf kar dijiye ... Mjhe ek mauka dijiye apni galti ko sudharne ka ... Mai aapko dubara shikayat ka mauka nahi dugi ... Mjhe es ghar se jaane ko mat kahiyeye . Mai aap logo k bina nahi jee paungi ... Aap sabke alwa mera es duniya me kaun hai baba ..

V:- jerked his leg due to which pallavi's hands  grip become loose n she stumbled back on the floor....n he says mat keh mjhe baba apni juban se . Mai tera baba nahi hu ...aur es ghar k logo se ab tera koi rishta nahi hai ...n then he goes inside her room packed her stuff in a suitcase n comes downstairs ....n then first he throws the bag outside the house n then he holds pallavi's both hands n dragged her out of the house .....

P:- folded her hands in front of him ..plz baba mjhe mat nikaliye es ghar se ..

V:- aaj se ghar k darwaze tere liye hamesa hamesa k liye band ho gaye n he closes the door in front of her face ....

N then he warns every members of the house aaj k baad agar kisi ne bhi es ladki se koi rishta rakha to wo mera mara hua muh dekhega ...

P:- keeps on banging the door n shouts aai , baba plz darwaja kholo..

raghvi os n short stories part 2Место, где живут истории. Откройте их для себя