Raghav:- kya matlab hai tumhara ki mauka nahi mila
Pallavi:- Meri shadi ke kuch ghanto baad hi mai vidwa ho gayi thi
R:- kya .....kya hua tha tumhara husband ko
P:- unka accident ho gaya tha
R:- kaisa
P:- shadi ki rasame khatam hone ke baad hum sab log marriage hall se ghar aa gaye. Aai ne mera greh pravesh kiya. Phir mjhe mere pati Mandar ke room me le jaaya gaya . Kuch der wait kiya phir wo kamre me aaye lekin jaise hi wo aaye unhe ek ph aa gaya. Saree ki delivery se related ek order tha jisme kuch problem aa gayi thi usi ke liye unhe urgently jana pada . Mai puri raat bhar unka wait karti reh gayi lekin wo laut ke nahi aaye . Ek hafte tak unka intzaar kiya maine per wo nahi aaye. Ek hafte baad aayi bhi to unki maut ki khabar. Unka shadi ki raat hi accident ho gaya tha aur usi raat unki maut ho gayi thi.
Shadi ke pehle humari sirf do baar hi mulaqat huyi thi, ek jab wo aai baba ke sath mjhe dekhne ke liye pehli baar kolhapur aaye the aur ek tab jab humari sagai huyi thi. Jab meri aur Mandaar ki shadi tay hui thi us wakt mai college ke final year me thi aur shadi ke kuch din pehle hi mere final exams khatam huye the. Isiliye jo shadi ke pehle ka samay tha humare paas, hum wo bhi theek se nahi use kar paaye . Mai wahan kolhapur me thi aur apni college ki padhai me busy thi aur Mandar yahan Hyderabad me apni saree shop ke kaam me busy the. Humari ph per hi thodi bahut general topics ke baare me baat hua karti thi. Aur phir uske baad shadi ho gayi. Maine socha tha ki shadi ke baad mere aur Mandar ke paas samay hoga ek dusre ko achhe se janne ka samjhne ka aur sayad janne samjhne ke baad hume ek dusre se pyaar bhi ho jata . Lekin shadi ke baad aisa kuch nahi hua kyuki mauka hi nahi mila Raghav.
R:- is shocked by her story n one thing is bothering him that why she is again n again saying Mandar's saree shop n he asks her tum kis saree shop ka baat kar raha tha abhi . Aur tum Kolhapur me kab se reh raha tha .
P:- Deshmukh Saree Emporium ki baat kar rahi thi mai jisko ki ab mai dekhti hu Mandar ke jaane ke baad . Unka sapna tha DSE ko aage badhane ka ,usko mass level pe le jaane ka sirf Hyderabad me hi nahi balki India ke her seher tak DSE ko pahuchane ka . Unki maut ke baad jab baba ko heart attack aaya to baba ne us dukan ki jimmedari mjhe saup di. Ab Mandar ke adhure kaam ko pura karne ki responsibility mere kandho per hai .
Aur mai to kolhapur me bachpan se hi rehti hu . Mai wahin pe paida huyi thi. Aur 22 tak wahin rahi hu.
R:- to eska matlab hai ki wo Deshmukh family tumhara in- laws hai
P:- haan
R:- to phir tumhara family kahan pe hai , tumhara aai baba
P:- mai anath hu Raghav
R:-kya
P:- mai sirf 4 saal ki thi jab mere aai baba gujar gaye the. Uske baad se meri aaji aur mere bade bhai ne hi meri parvarish kari. Teen saal pehle aaji bhi gujar gayi. Aur phir uske baad dada aur vahini ne meri shadi karwa di. Aur jab shadi ke baad yahan aayi to phir yahin reh gayi. Mandar to chale gaye the lekin mjhe ek pariwar mil gaya jo mujhse pyar karta hai aur meri parwah karta hai .
R:- acha agar itna hi parwaah karta hai to tumhara dusra shaadi kaiko nahi karwaya
P:- aai baba ne bahut kosis ki meri dusri shaadi karwane ki per kisi ladke ko mai pasand nahi aayi
R:- kaiko n then he looks at her from top to bottom n says thik thak to dikhta hai tum aur waise bhi tum wo bahut hi ideal beti banta hai phir kaiko kisi ko pasand nahi aaya tum.
P:- ha meri shakal surat dekh ke to Kai ladko ke rishte aaye lekin jaise hi wo ladke mjhe dekhne aaye unhone rishta karne se mana kar diya
R:- tum kahin unko apna photoshop kiya hua pic to nahi bhejta tha . Jisme ki tum khud ko extra beautiful bana deta hoyega aur jab reality me ladka ka family tumhare ko dekhne aata hoga to wo log sochta hoga ki unka sath to dhokha hua hai. Photo me koi aur ladki aur samne koi dusra ladki hai

YOU ARE READING
raghvi os n short stories part 2
Fanfictionraghav n pallavi.....this book is continuation of my previous book with the same story title name......