10 days later......
RR Mansion....
Condolence prayer ceremony for The Raghav Rao....
Amma n Kirti come there ...
Farhad:- ab aap log yaha kya karne aaye hai
Jaya:-ye sab kab hua...kaisa hua .....
F:- aapko usse kya matlab...
Jab anna jinda the tab to aap logo ko koi farak nahi pada to ab kyu puch rahe hai unke baare meJ:- ye tu kya bol raha hai aur mere ko kuch bataya kaiko nahi ...wo to aaj mere ko Harish ghar pe batane ko aya ki Raghav.....n she stops in the middle n tears started flowing down from her eyes
F:- ha nahi rahe hai anna ab es duniya me .... Pata hai marte dum Tak anna sirf Amma Amma kar rahe the ...pure ek hafte tak anna hospital me ek jinda laash ki tarah pade rahe aur do din pehle unhone apni akhiri saas le li ....
J:- tu mere ko kuch kyu nahi bataya Farhad ....
F:- kyu batata mai...aur kya kar leti aap jaan kar ... Pichle 10 saalo me kabhi janne ki kosis ki anna kaise hai ...aur aap hi ne kaha tha na ki unhe mar jana chahiye to lijiye chale gaye wo ye duniya chhor kar ab to aapko khushi mil gayi hogi na Amma ...aur ha aapko aur kirti ko koi hak nahi aaj ki shokh shabha me aane ka ... Jis tarah se aap logo ne anna ko kabhi unke appa aur chhote bhai k shraad me shamil hone ka hak nahi diya ..Mai bhi aap logo ko unki atma ki shanti k liye rakhi gayi puja me shamil nahi hone duga ..to nikal jayiye yaha se warna mjhe gaurd se keh k aap logo nikalwana padega ...
Jaya & Kirti leave the mansion with guilt and pain of not being able to see Raghav one last time , not being able to attend his last rites ..
Only some of Raghav's close people were invited to the prayer ... Even the news of Raghav's death didn't make any breaking news in Hyderabad..
After the prayer meeting...
Farhad again opens the note which raghav had left for him and reads it for the 100th time .....
Tere ko jab ye letter milega tab tak mai es duniya se ja chuka hoga . Mere ko pata hai ki tere ko bahut gussa aa raha hoga mera pe ki mai aise hi tera ko chhor k chala gaya . Uska liye sorry ..Dekh the Raghav Rao kisi ko sorry nahi bolta hai per tere ko bol raha hai . Acha sun tu chahta tha na ki mai custom duty pay kar k pura business chalaiye sahi tareeka se to ab to ye business tere ko hi handle karne ka hai to tu jaisa chahe waisa chalane ka . Aur ha mai chala gaya to kya hua lekin Jayati Jweles ko no 1 jwellery brand banane ka responsibility tera hai .
Mai tere ko aaj tak kabhi bataya nahi lekin mai hmesa se tera ko apna chhota bhai smjha hai . Jab se tu mera life me aaya mera liye Arjun ka jaane ka gam kam ho gaya . Mere ko aaj bhi wo din yaad jab mai tera ko pehla bar dekha tha ..kaisa bondhu ka jaisa dikh raha tha tu ..Mera sath reh k tu bhi the Raghav Rao style se rehne lag gaya . Achha sun mera jaane ka baad ye rone wone ka natak nahi karne ka . Mast mera bar se limited edition ka bottle nikalne ka aur peene ka aur mast Telugu gaana chalane ka aur dance karne ka . Ha pata hai tere ko dance nahi ata lekin phir bhi mera liye thoda kamar hila lene ka .
Aur ha apna khayal rakhne ka . Aur kabhi kabhi Amma aur kirti ko bhi dekh lene ka . Aur wo gorilla uska bhi dhyan dene ka ..usko thoda sahi se kaam seekhane ka ..
Achha kabhi kabhi wo saree ka dukan k yaha bhi jhaak lene ka ..aur agar wo dukan ka EMI dene me delay kare to usko kuch nhi bolne ka. Bhale hi uska dil me es Ghamandi Rao ka liye koi feeling nahi hai per mai to uska liye kuch to feel karta hi hai .. to isiliye us pichhi ammai ka bhi dhyan dene ka .
Aur sab staff ka bhi achha se khayal rakhne ka .. wo Rama ka, Reddy ka , Rajan ka, Archana ka ...sabka
Tu bhi soch raha hoga ki anna jate jate bhi itna sara tere ko kaam de kar k ja raha hai . Lekin mai bhi kya kare tere alwa mere ko kisi aur pe bharosa bhi to nahi hai na .. To apna anna ka baat manne ka ..

YOU ARE READING
raghvi os n short stories part 2
Fanfictionraghav n pallavi.....this book is continuation of my previous book with the same story title name......