part:-17

1.2K 135 36
                                        

Raghav is still hugging pallavi n continues his talk..

Mai tumhare ko itna pyaar dega pallavi ki tum apna pichla sara pain bhul jayega. Aur ye society tumhare se jo kuch bhi chheena hai mai tumhare ko wo sab wapas karega. Tumhare ko phir se her ek wo cheez enjoy karne ka wajah dega jo tum saalo se nahi kar paya , tum jaisa chahe waisa apna life jeeye, apna merji ka jo kaam karna chahe wo kare ,mai her ek baat me tumhare ko support karega.

Abhi tum hi kaha na pallavi ki tumhare ko pata hai ke ma baap ka kya importance hota hai . To pallavi humara baby ko uska Amma aur appa dono ka pyar aur care paane ka pura hak hai . Tum es bachhe se uska appa ka aur Mishti se uska Amma ka hak nahi chheen ne ka . Tum hmesa se chahta hai na ki tumhara ek family hoye to phir mera sath mil ke wo family banane ka . Mai, tum , Mishti aur ye bachha hum chaaro milke apna ek happy family banayega . Aur mai hamesa apna family ko protect karega .

Pallavi mai ab aur akela nahi rehna chahta hai aur tumhare ko bhi mai akela nahi rehne dega . Mere ko tumhara pyaar chahiye kisi bhi keemat pe aur eska liye mera ko jo karna pade mai karega . Tum jo kahega mai wo karega . Aur ab to humara beech ka sab misunderstandings bhi clear ho gaya hai . Tumhare ko ab sab pata hai ki mai jo kuch bhi kiya wo kaiko kiya . To isiliye ek bar mera pe bharosa kar k dekhne . Mai tumhara liye ek achha husband aur humara babies ka achha appa ban k dikhayega ...

Pallavi:-mjhe koi jhuthi hope mat do

R:- mai koi jhutha hope nahi de raha hai..mai jo jo bola hai wo sab karega mai...

P:- mai ek vidwa hu to kya tum mjhse shadi karoge ..

R:- ofcourse pallavi ....Aur tum vidwa hai es baat se mera ko koi farak nahi padta hai . Mai tumhare ko pyaar karta hai aur tum jab kahe tab mai tumhara se shadi karne ko ready hai .
Tum bas ek bar mera pyaar ko aur mera ko accept kar lo nahi to mai tumhara ko hamesa ka liye yaha pe apna sath kidnap kar k rakh lega .

P:- snuggles more into his embrace n says ha tumko to sirf kidnap karna aur dhamki dena hi ata hai ... Hyderabad chhor diya lekin dongiri abhi bhi nahi gayi. Veda manus

R:- kitna dino baad apna tareef suna mai tumhara muh se ... Ek bar phir se bolne ka ...

P:- Veda manus

R:-pichhi ammaii...acha ab tum convince ho gaya ya mai aur bole

P:- nahi itni jaldi nahi convince hogi mai ...mjhe aur maanao ....n she rubs her nose in his sweater

R:- ye kya kar raha hai tum

P:- naak beh rahi hai to wahi poch rahi hun🤧🤧

R:- kya n he breaks the hug .. n says mera sweater tumhare ko rumaal lagta hai

P:- nodded her head in yes .

R:-smiles n then he kisses on her forehead...

P:- mai tumse abhi bhi naraj hu ...ye mat smjhna ki mai baat kar rahi hu to maan gayi ..

R:- acha to phir tumhare ko manane ka liye kya karna hoyega

P:- wo to tum socho ...

R:- acha thik hai sochta hai mai tab tak mai tumhare ko kuch comfortable pehne ko de deta hai jisko pehen k tum so sake phir manata hai tumko

P:- mai yaha kyu soungi .. mai to abhi wapas jaogi devyani k yaha

R:- gives a devishly smirk n says ab tumko mai jaane thode dega ... Itna bewkoof thode hai mai .. aur waise bhi itna raat ho gaya hai ...bahar baraf gir raha hai ....to aise me tumhara bahar jana baby ka liye aur tumhara liye safe nahi hai .

P:- ye sab bahane hai tumhare mjhe rokne ke ..

R:- ha bahana hi smjh lene ka lekin mai tumhare ko jaane nahi dega ...

raghvi os n short stories part 2Место, где живут истории. Откройте их для себя