Haseena Malik and Karishma Singh reach Mumbai as a part of their current assigned mission.
KS - Maddam sir yaha to koi nahi dikhai de raha humko.
HM - Haan. Hume bola gaya tha ki koi recieve karne aa raha hai. Anyways we can't wait, hume seedha police station pahunchna chahiye.
KS - Ji Maddam sir magar kisi ko to aana chaiye tha na. Na ki matlab koi naya insaan inke sahar aa raha hai to unko receive karne aana to chahiye.
HM - Filhaal police station chalte hain, baaki sab wahan jaake dekte hain.
They both approached a taxi when a voice stopped them from doing so.
AV - Arre hum yahan aapko lene aaye hain aur aap hain ki mile bina hi jaa rahin hain.
They both turned toward the person and their faces clearly show shock.
HM - Mr. Amar Vidrohi aap?
AV - Ji. Kyu aap kisi aur ka intezar kar rahin thin kya?
KS saluted when AV looked at her.
KS - Jai hind sir.
AV - Jai hind
He then again looked at HM, waiting for her response.
HM - Ji. Hume bataya gaya tha ki Aarushi Jain yahan ki SHO hain.
AV - Ji Haseena ji Aarushi Jain hi yahan ki SHO hain. Wo Dadar Police Station ki aur hum Lalbaug thane ke. Pehle apko wo thana assign hua tha lekin kuch last minute changes kiye gaye hain aur ab aap humare thane se duty pe hain.
AV gives HM the official letter which concerns the changes.
HM - Arre ye...
KS - Par Maddam sir hume to aisa kuch nahi bola tha.
HM - Ji hum abhi pata karte hain.
HM calls the DSP where she found out about the changes. She again joins the conversation.
HM - Ji. Changes huye hain aur hume bhi letter post kiya gaya tha but thoda late. Hum tab tak nikal chuke the aur letter humara mahila police thane pahunch gaya.
AV - Ab aapne confirm kar liya ho to thane chale?
HM - Ji chaliye.
They all sat inside the car with AV and HM on the front side and KS on the back seat.
AV - Waise its good to see you again Haseena ji. Suna hai apka promotion hone waala hai. Congratulations.
HM - Thank you.
KS - Sir lekin aap kahe aaye lene.
AV - Karishma Singh purane doston aur dushmano ko kabhi nahi bhulna chahiye. Pehle Deewan ji hi aapko lene aane waale the phir hume pata chala ki aap dono aa rahe hain to hum hi chale aaye aapko lene.
HM - Waise aapse dobara milke kaafi acha laga. Aapki posting Mumbai kab huyi?
AV - ji bas Lucknow se aane ke baad hume Lalbaug ke thane ki zimidaari mil gayi.
HM - maaf kijiyega hum aapko thane se bahar bhejte waqt wahan maujood nahi the.
She looked at Amar with a smirk on her face, clearly showing her previous victory.
Amar looked at her for a second and focused on the road again with a sigh.
They reached Lalbaug Police station, where Amar's whole team were waiting outside to receive the officers. They saluted at the same time as Haseena and Karishma exited the car.
AV - Haseena ji ye hai humari team. Constable Yashwant Singh, Constable Vijay Sarkar, aur inhe to aap jaanti hi hain Deewan ji.
DJ - Head constable maddam.
HM - Ji Deewan ji. Koi S.I nahi hai yahan?
A voice approaches them from behind.
MS - Hum hain na S.I. S.I Malika Sharma on duty.
MS salute HM and welcome them with a garland.
HM - Aap late hain.
MS - Ji uske liye maafi chahenge par kya hai na main... matlab hum... hum aapke bahut bade fan hain aur aapka welcome aise khaali khaali to nahi kar sakte. Isliye haar laane gaye the.
AV - Malika Sharma ko aap dono ke under appoint kiya gaya hai. Ye aapko saare arrangements samjha dengi aur baaki sab hum dekh lenge.
HM - Ji. To case ka discussion karle?
KS - Maddam sir aap chaliye hum paperwork complete kar dete hain.
HM and AV enter the cabin to discuss the case.
AV - Hassena ji ye case Dadar police station ke area me hi aata hai lekin aapki safety and convineince ke liye ye thana appoint kiya gaya hai.
HM - Ji. Filhal kya updates hain case pe?
AV - Reports ye hain ki Dadar se koi naya drug operation shuru hua hai. Filhal kuch keh nahi sakte lekin recent patterns ki maane to ye Rani se milte hain.
HM - Hmmm isliye hume Lucknow se seedha Dadar bulaya hai so that hum isse ache se identify kar paayen. Pehle bhi do baar Rani se humara samna ho chuka hai. Hum uske patterns ko samjahte bhi hain aur unhe track karke use hara bhi chuke hain.
MS - Waah maddam aap to mast ho!
MS quickly changes her words when HM and AV look toward her.
MS - Matlab kaam mast karti ho..
AV - Anyways, aap jab bhi ready ho hum jaake ek baar Dadar station se case ki details le sakte hain.
KS enters the cabin
KS - Kahe sir waha se case file mangwa nahi sakte kya yahan?
MS - Aisi koi jagah nahi jahan se sirji file nahi mangwa sakte. Wo to maddam ne bola hai ki unko jaake hi laani hai file.
HM - Thike to phir Dadar chalte hain seedhe.
AV - Arre Haseena ji abhi to aayin hain aap abhi ap room pe chali jaaiye thoda aaram kar lijiye.
HM - Nahi Mr. Amar pehle duty phir aaram.
AV - Thike phir Malika Sharma aap aur Karishma Singh yahin rukiye, hum aur Haseena ji Dadar station hoke aate hain.
KS - Nahi aisa kaise kar sakte hain sir. Yahan hum aaye hain na maddam sir ke saath to Dadar bhi hum hi jaayenge.
MS - Haan sir aur mujhe to aapne Haseena maddam ke under appoint kiya hai to main kaise yahan ruk sakti hun.
HM - Ek second.. Ek case file ki jaankari lene itne saare log kahan jaayenge. Ek kaam kijiye Karishma Singh aap yahan rukiye Malika Sharma ke saath, hum aur Mr. Amar Dadar jaake aate hain.
KS - Magar maddam sir...
HM - Karishma Singh
KS - Jai Hind Maddam sir.
YOU ARE READING
New Beginning for Haseena Malik
FanfictionAnyone else is a fan of Haseena and Amar? I ship the boat!!!! Here's a fanfic regarding the new update of Haseena's promotion. * * * When the old acquaintances meet again, will the spark fly or will it remain as the old forgettable relations? (Who a...