Chapter - 8

389 35 4
                                    

*Lalbaug station*

KS - Kuch pata laga?

MS - Abhi nahi. Search kar rahi hun jaise hi pata lagega batati hu.

KS - Thike. Yahin hain hum.

MS - Waise Karishma ji jaisa maine aapke baare me suna tha aap waise hain nahi.

KS - Ka matlab?

MS - Matlab mujhe laga tha aap bahut fast, ekdum instant kaam karne waali officer hain. par aisa hai nahi.

KS - Na matlab aisa kahe lagta hai tumko?

MS - Matlab humare paas lagbhag proof hai ki ye jo bhi hai iske peeche Rani hai. Aur ye bhi ki Rani Haseena madam ko frame karne ki koshish kar rahi hogi. To phir aap use pakad kyu nahi rahi. Jaisa maine suna hai, aap criminals ko pakdke, unhe maar ke tab crime ka confession leti hain.

KS - Aisa nahi hai. Sirf theory hai ye ki Rani maddam sir ke peeche hai baaki abhi kuch proof thodi hua hai. Aur kon hai ye topa insaan jo aisi baatein faila raha hai. Aise hi nahi marte hum. Pehle pura case samajhte hain dekhte hain phir jab madam sir order detin hain tab thane leke aate hain mujrimo ko.

MS - Sach me? Phir to maine bahut galat suna hai aapke baare me.

KS - haan. ka suna hai waise?

MS - Yahi ki kitni dabang type officer hain aap. Criminals to aapka naam sun kar hi bhag jaate hain. Aur aapke mukke ka bhaukal to sayad sabhi thano me mashoor hai.

KS - haan to galat ka suna hai isme. hain bhai hum aise.

MS - Par appne hi to kaha ki jab Haseena madam aapko order deti hain tabhi aap kuch karti hain.

KS - Madam sir ko humse jyada tajorba hai. Wo sahi decisions leti hain. Aur humara na thoda fitting kharab hai hum kuch bhi galat dekhte hain to pehle hume logo ko marne ka man karta hai. Aur jo tumne suna hai wo bhi sahi hai par hum pehle aise the.

MS - Phir kya hua?

KS - Phir humko maddam sir mil gayin aur unhone humko ye gusse pe kaabo rakhna sikhaya.

MS - Waah madam waah. Sahi hai. To ab aap Haseena madam ke bina kuch nahi karti hain.

KS - Nahi aisa baat nahi hai. Hum bhi case solve karte hain. Par maddam sir ke raste pe chalke solve karte hain.

MS - Waise bhi Haseena madam aapki senior hain to wo jo bolengi aapko to usme haan karni hi padegi.

KS - Topa ho ka. Hum isliye nahi karte aisa kyuki maddam sir aisa karne ko kehti hain. Isliye karte hain kyuki humko acha lagta hai. Maddam sir ki respect karte hain hum.

MS - Oh acha. Waise main bhi khud se yahi kehti hu jab Amar sir koi kaam karne ko kehte hain aur wo mujhe acha nahi lagta. 

KS - Amma kya insaan ho yaar tum. Tum apne kaam pe dhyan do kuch mile to batana.

*KS left and MS smirked and went back to the computer.*

*As KS was leaving, she heard HM and AV talking.*

AV - Haseena ji aisa kuch nahi hoga.

HM - Nahi. Karishma Singh akeli nahi jaayengi hum unke saath jaayenge.

AV - Dekhiye me Malika Sharma ya team ke kisi aur member ko bhi bhej sakta hu. Aapko jaane ki jaroorat nahi hai. Aur wo itna dangerous ilaka nahi hai ki do logo ko jaana pade. Sirf baat hi to karke aani hai.

HM - Haan lekin aapne hi to kaha ki us college ka principle thoda khadus hai. Agar kuch kaha suni ho gayi aur Karishma Singh ne use mara pita to? Nahi saath me hum honge to dekh lenge. Hum aur Karishma Singh jaake baat karte hain wahan.

*KS left the scene*

AV - Agar aapko thik lage to. Malika Sharma abhi purani case files check kar rahi hain jaise hi kuch milega hum aapko inform karte hain.

HM - Ji.

AV - Hum aap dono ko college tak chod dete hain.

HM - Nahi Mr. Amar aap DSP sir ke office jaa rahe hain app waha jaiye. Hum aur Karishma SIngh chale jaayenge.

AV - Please Haseena ji hume acha nahi lagega.

HM - Dekhiye

AV - Please I insist. Itna to main kar hi sakta hun. 

Hm - Thike.

*As HM was about to leave AV spoke again*

AV - Haseena ji.

HM - Ji

AV - Lucknow me hum ek dusre ke competitor the. Lekin yaha Mumbai me hum ek team me hain aur humari post bhi same hai. App mujhe sirf Amar keh sakti hain. Mujhe acha lagega.

*For a moment none of them speak anything as Haseena looked in Amar's eyes*

*MS enters the scene*

MS - Sir!

AV - Ji Malika Sharma boliye.

MS - Sir Aarushi Mam ke Mumbai posting ke baad to Rani ke saath koi case nahi hai.

HM - Aur usse pehle?

MS - Madam Aarushi Mam ki posting temporary kaafi jagahon pe rahi hai par mostly wo Mumbai me hi rahi hain.

AV - Ek kaam kejiye baaki jagah ki postings ko bhi ek baar check karlijiye. Agar kahi koi bhi clue hoga to usse help ho jaayegi.

MS - Ji sir. Jai Hind.

*MS left the scene*

AV - Chale Haseena ji?

HM - Ji chaliye Amar.


New Beginning for Haseena MalikWhere stories live. Discover now