Chapter - 32

287 23 7
                                    

[MS knocked softly and entered the storage area with KS.]

AV - Malika Sharma kuch pata chala?

MS - Yes sir!

HM - Ek second, ek second. Kis cheez ke baare me kya pata chala? Hume koi kuch batayega?

AV - Haseena ji hum iss case me jitna aage chal rahe hain utna jyada bikhra bikhra lag raha hai ye case to maine socha ki kyu na purana clues ko pehle iss case me fit karke dekha jaaye.

HM - Konse purane clues exactly?

AV - The one jiski wajah se aapko yahan bulaya gaya tha.

HM - Rani?

AV - Ji, Rani.

KS - Lekin sir humne pata karwaya tha naa. Wo Rani to pehle hi mar chuki hai. Na matlab ab uska bhoot aake to kuch karega nahi.

HM - Haan exactly humne khud saari details nikal wayi thin.

AV - You are right. Rani mar chuki hai. Lekin as you said, uske saath humesha koi ek aur uske plans me invlove rehta tha aur iss case me Rani ke cases se mili juli cheeze hain lekin exact ye Rani ka style nahi hai.

HM - Haan kyuki Rani akele kaam karna pasand karti hai aur agar usee aur logo ki jrurat ho to wo ek baar unhe hire karke dusri baad same logo hire nahi karti.

KS - Lekin yahan to jo students aur log pehle se is case me the ab bhi wahi hai.

AV - Exactly my point. To koi kyu Rani ka style show karna chata hai.

HM - Rani se connection dikhane ke liye.

AV - Itna bada risk leke do police officers ko directly involve karke of course uska motive bada hai. Personal hai.

HM - Of course personal hai Amar. Aarushi Jain ki vardi ka istemal sirf unhe neecha dikhane ke liye kiya jaa raha tha. Isse jyada personal koi kya hi karega.

AV - Exactly! To aisa ho sakta hai ki Rani ka koi relative, mostly bahut close, ya koi friend ye sab kar raha ho.

HM - Ek second, even if aapki theory bahut achi hai isse narrow karne me to bahut time lag jaayega.

AV - Ji haan. Lekin wo tab jab hum doosra aspect nahi dekhen.

KS - Na sir matlab jab aap Malika Sharma se keh ke saari details pehle hi manga chuke hain to phir aap hi bata dijiye na.

AV - Bilkul. Lekin I am sure Haseena ji ne figure out kar liya hai. Hai na?

[AV asked HM who was smiling]

HM - Aarushi Jain ko koi bahut ache se aur kareeb se jaanta hai isliye ye choti si detail use itne ache se pata hai ki unka reaction kya hoga agar unka naam kisi robbery case me involve ho.

AV - Exactly!

HM - To yaani koi aisa jo Rani se related ho aur kabhi na kabhi Aarushi Jain se bhi mila ho.

KS - Lekin madam sir aisa bhi to ho skata hai ki aarushi Jain ka hi connection Rani se ho. Na matlab aapka bhi connection to Rani ke saath hi tha.

MS - Madam ne pehle hi Aarushi Jain aur Rani ke beech possible connections ko pata lagane ki koshish ki thi lekin aisa ek bhi case nahi hai jahan ye dono mile bhi hon.

AV - Aur isliye ab ye figure out karna aasan hai ki kon iss category me aata hai.

HM - Aur Malika Sharma ye already jaan chuki hain?

MS- Ji madam.

[MS put her laptop on a center table for everyone to see.]

[SHe showed a picture of a girl]

MS - Ye hai Tanvi, Rani ki cousin sister.

KS - Ye file photo hai matlab iska criminal record hai?

MS - Ji. aur sabse shocking baat ki ye police academy me bhi reh chuki hain.

HM - Kya? Police academy me rehne ke baad criminal record? Waise Rani se expect bhi kya kar sakte hain.

AV - I am sensing ki police academy me hi ye Aarushi Jain se mili hongi.

MS - Ji sir. Iske aur Aarushi madam ke police joining ki dates same batch ki hain.

KS - Saurabh ne apni boss ka naam bhi T bataya tha.

HM - Acha inke aur Aarushi Jain ke beech kya hua kuch pata chala?

MS - No mam uski information to kahin nahi mili lekin haan Tanvi ke criminal record Rani se kaafi alag hain.

AV - Acha Tanvi Rani se kabhi jail me milne gayi thi? Koi record hai uske?

MS - Sir, jab Rani jail me thi tab ye bhi jail me thi. Central jail me Rani ka transfer hone ke 1 hafte baad Tanvi ki saja khatam ho gayi aur wo jail se chut gayi thi. Uske baad wo Rani se milne nahi gayi.

HM - Agar Tanvi Rani ki jail se bhagne me madad kar rahi thi to 1 hafta bahut tha unki planning ke liye.

KS - 1 hafte me chutne waali hai ye baat to Tanvi ko pehle hi pata hogi. Aur agar wo pehle se jail me thi to bhagne ke raaste bhi usne pehle se soch rakhe honge.

MS - Madam Tanvi ka police force chodne ka koi clear cut explanation isme nahi hai. Na koi date aur na koi additional information.

AV - Criminal records me kya hai?

MS - Keval itna ki isne pehle police academy join ki thi aur phir wahan se nikal diya gaya tha. Baaki ye choti moti choriyon me involve rahti hai.

KS - Haan lekin choti choriyon ke liye central jail me kahe daalenge?

MS - Central jail me ye isliye thi kyuki issne char baar warning overlook ki thi. Matlab isse char baar local police stations me pakda tha aur har baar chutne ke turnat baad hi isne chori karna shuru kar diya tha.

HM - Lekin jo insan choti choriyan karne me hi itni baar pakda jaa chuka ho wo itne bade plan ko kaise execute kar sakta hai?

[Everyone thought about this question for a moment when another theory passed KS's mind]

KS - Aisa ho sakta hai ki iske academy se nikalne ki wajah Aarushi Madam hon.

 HM - Ab ye to Aarushi Jain hi batayengi.

AV - Nahi.

[Everyone turned toward AV]

AV - Hum unpe bharosa nahi kar sakte. They are not a part of this case anymore.

HM - Aap unhe turn in kar rahe hain?

AV - Main kuch bhi karu usse koi farak nahi padta kyuki ultimately hum unki batayi huyi baaton pe puri tarah bharosa nahi kar sakte.

HM - Haan hume pata hai lekin unke aalawa hume koi aur ye sab explain nahi kar sakta.

AV - Unke kuch bhi batane ka kya fayda? Jyadatar cheeze to humne khud hi figure out ki hain. Wo saurabh bhi itne din se hume ghuma raha hai sirf wo baatein bata kar jo hume pehle se pata thin.

HM - Haan baat to sahi hai lekin...

[AV cut her off]

AV - Lekin nahi Haseena ji. Main iss case me Aarushi Jain ka involvement to pehle se hi nahi chahta tha lekin ab.... Ab to bilkul nahi.

[AV turned to leave the room, then took a pause and turned to look at HM]

AV - Chinta mat kijiye unhe abhi turn in karne ka koi plan nahi hai mera.

[With that, he left the room, leaving HM, KS, and MS behind.]

*****

Kya lagta hai kya hua hoga Aarushi Jain aur Tanvi ke beech?

Any theories?

New Beginning for Haseena MalikWhere stories live. Discover now