Chapter - 4

543 43 1
                                    

**

in the previous chapter

KS and MS discussed the case.

KS - Ye jitne bhi area hain inme kuch common?

MS - Nahi waise to kuch common nahi hai par haan mujhe ek cheez ajeeb lagi.

KS - Ka?

MS - Jitne bhi gharon me choriyan huyi hain unki condition itni achi nahi hai. Wo saari families bpl (Below poverty line) main aati hain.

KS - Aur aise ghar se chori kya hua hai?

MS - Kuch cash, jwellery ya jo bhi expensive item dikha wo sab.

KS - Lekin aise gharon me itna kuch nahi milega.

MS - Exactly. Chor us jagah chori karega hi kyun jahan par paisa ya gehne milne ke chances kam hain?

**


In Lalbaug Station

HM - Jahan par chori huyi hai waha kon gaya hai?

MS - Mam mai gayi thi. Do gharon me

HM - Acha aur baaki jagah?

AV - Abhi tak investigation Dadar thane ke paas thi par Aarushi Jain ke involvement ke baad se yaha shift huyi hai. Case ki files me saare records hain par agar aap dobara jaana chaen to chal sakti hain.

KS - Hume ka lagta hai madam sir ki pehle baaki cheeze dekh lete hai phir jaroorat hogi to chale jaayenge. Matlab aise kitne saare ghar hain kaha kaha jaayenge.

HM - Thik kaha Karishma Singh. Aur koi nayi baat pata chali?

KS - Ji maddam sir wo–

MS - Mam wo jitne bhi ghar hain sab BPL me aate hain.

AV - haan ye humme bhi thoda off laga.

HM - Inn parivaron me koi connection?

MS - Abhi tak to koi solid connection nahi pata chal hai mam. Haan par jyada areas se koi na koi complaints aati rehti hain.

KS - Nahi hum kuch samjhe nahi. Matlab ye jagahon pe pehle bhi chori ho chuki hain.

AV - Chori nahi Karishma Singh par haan ye saare areas police radar par aksar rehte hain.

MS - Crimes jaise kidnapping, drug dealing, ye inmese most areas ke liye aam baat hai. Yahan aksar goliyan bhi chalti hain.

HM - To yahan pe chori hona aam baat hai?

AV - nahi haseena ji. aisi jagah jo khud crimes ke liye famous hai waha koi aur crime kar raha hai. Common to nahi hai ye. 

MS - Pehle jab cases aana shuru huye the tab inpe kisi ne jyada dhyan nahi diya tha.

KS - To sir agar cases Mumbai ke kisi bhi ilake se aa rahe hain to Dadar station me saare case kyu register hain. Baaki jagah bhi to hone chahiye.

AV - Sahi kaha actually--

MS - Actually pehla case Dadar station me aaya tha to ---

MS stopped short as Av was glaring at her.

MS - Sorry sir.

AV - Ji pehle kuch cases Dadar area se hi aaye the isliye waha register the phir jab baaki jagah se bhi same cases aane lage tab unhe bhi wahi shift kar diya taki ache se solve ho sake.

HM - Aur in saare case me Aarushi Jain pehle se involve thi?

AV & MS both speak at the same time. AV gestures toward MS to continue.

New Beginning for Haseena MalikWhere stories live. Discover now