❤️ Father's pain ❤️

319 79 4
                                    

Bondita was in her room......she was thinking about anirudh's letter.......

Bon : rudh ne keh toh diya ki woh aayega par kaise......hey dugga maa yeh rudh bhi na ek din bhi sabar nahi hota isse kisi ne dekh liya toh...... agar thakuma ne dekh liya toh bawaal khada ho jayega.......

She was in her thoughts when she heard some loud voices from downstairs......she went down......she saw her father yelling on everybody......she was totally shocked...... because her father is a calm type of person that does not get angry easily......and if he is getting angry this much there would be a strong reason behind it.......she went to him......

Arvind : jaldi karo ek kaam nahi hota acche se......

Bon : baba shant ho jaiye......sab kar toh rahe hai acche se......

Sumati : dekh na Bondita subah se aise hi sab par chilla rahe hai......har kaam mein koi na koi khaami nikal rahe hai...... mujhe teen baar daat chuke hai......ab tu hi samjha......

Thakuma : aur nahi toh kya..... mujhe tak nahi choda apni maa ko.....jaise isse hi saari chinta hai......

Bondita understood everything.......

Bon : Baba aap mere saath chaliye.....

Arvind : par Bondita bohot saara kaam baaki hai.....

Bon : baba maa aur thakuma hai na sab kar lenge......aap chaliye.....

Sumati : jaldi le jaa.....taaki hum shaanti se kaam toh kar sake......

He glared her......she took him to her room......

Bon : kya baat hai baba......

Arvind : kuch nahi bass thik se kaam hi nahi karta koi isiliye thoda gussa aa gaya......

Bon : baba main aapki beti hu aur aapki dost bhi......jitna maa bhi aapko nahi jaanti utna main jaanti hu.....jo insaan jo khud sabse kehte hai ki gussa sehat ke liye haanikarak hai jo khud badi se badi mushkile bhi shaant dimaag se sambhalte hai agar woh iss tarah se gussa kar rahe hai toh uske peeche kaaran bohot bada hota hai......aakhri baar maine aapko aise gussa karte hue tab dekha tha jab main 16 saal ki thi aur aapke kisi sahkaari ne mere saath batemizzi ki thi......ab bataiye kya hua aur jhooth nahi.......

Arvind : kuch nahi hua hai baccha bass woh kal shaadi hai aur sab acche se hona chahiye na bass isiliye......

Bon : kyu chupa rahe hai aap baba........samajh toh gayi thi main par aapke muh se sunna chahti thi......aapki mann ki baat padh sakti hu main.......kal main chali jaungi isiliye yeh bewajah sab pe gussa nikala jaa raha hai na......

He looked down....... Bondita hugged him tightly and started crying.......he couldn't control anymore he too hugged her and started crying........

Bon : mujhe nahi jaana baba aapse durr......

Arvind : kon baap apne jigar ke tukde ko khud se durr karna chahega baccha par samaj ki yehi reet hai jo hume bhi nibhani hai......tu toh mera dil hai isiliye tujhe khud se durr karne ke liye kadam hi nahi uth rahe......

She broke the hug and wiped his tears.......

Bon : baba agar aap aise royenge toh main kaise khush rahungi.....main jaa hi nahi paaungi....... aaiye bethiye......

She made him sit on bed and gave him water...... she sat beside him......

Bon : baba.....Mujhe aapse ek wada chahiye.....

Arvind : bol teri har khwahish Puri karunga......

Bon : meri bidaai ke waqt aap bilkul nahi royenge......aapko rota hua dekhungi toh mere kadam hi nahi badhenge...... waada kijiye........

Arvind : waada hai mera........aur haa zindagi mein kabhi bhi koi bhi mushkil aaye mujhe pata hai jab tak tum aur anirudh saath ho koi mushkil tum dono ko hara nahi paayegi par jo agar kabhi koi mushkil aaye toh humesha yaad rakhna main humesha tere sath hu.......

Bon : hmmm.....

Both hugged each other.......

Sumati was standing outside the room and cried....... somewhere she also knew the reason of her husband's anger........she went away without disturbing them.......

Arvind : ab main chalta hu bohot saara kaam baaki hai......

Bon : thik hai par pehle ki tarah sab pe gussa nahi karenge......

Arvind : arey haa meri dugga maa......tu aaram kar......

He went kissing her forehead.......

PRECAP : SECRET MEETING......

ANIDITA : CHILDHOOD LOVE 💕Where stories live. Discover now