Part 7

66 12 3
                                    

P - mumma ke jaane k baad papa ne meri taraf dekha bhi nahi... Bhai toha bohot puchte the...mumma ne mujhe har cheez sikhayi... Par akela kaise rha jata hai ye kabhi nhi sikhaya... Tum bohot lucky ho Samrat... Tumhare maa baap tumhare saath hai... Tumari halat mujh jaisi toh nhi hai kam se kam...


Samrat felt really bad listening to her story but her next line made him angry.


P -(shouting) aur ye akelapan mujhe Devyani ne diya hai!! Mai nahi chhodungi use!!

S - chup! Bilkul chup! Ek Shabd aur nhi... Tumhari mumma ke saath jo kuch bhi hua uske liye I am sorry... Par vo accident Devi ne nhi kiya tha... Use fasaya gya tha... Accident ke kuch der pehle toh maine Devi se phone par baat ki thi... Usne ye sab nhi kiya... Mera vishwas karo

P - accha? Use fasaya gya tha? Toh ye bhi batado ki kisne fasaya tha..

S - pata nhi... Vhi toh pata lagana hai...

P- vo car Devyani ki hi thi Samrat! Number plate toh dekha hoga na tumne?

S - car Devi ki thi par accident uski vajah se nhi hua

P - bas karo Samrat plss... Mujhse aur nhi hoga ab

S - ( again angry ) thike... Mujhe aage kuch nhi bolna ab... Ye papers lo aur sign kro

P- kaise papers?

S - marriage

P - mujhe tumse shaadi nhi karni!

S - Pakhi pls mujhe gussa mat dilao ab... Chup chap inn papers par sign karo aur ha... Ek aur baat... Devi ko nirdosh sabit mai karke rahunga... Aur ek baar Devu jail se chhut gyi... Ki tum iss so called rishte se azad

P - (thinking)

S - soch kya rhi ho? Jaldi karo... Varna tumhara bhai😏

P - (scared) nahi.. Unhe kuch mat krna... Mai karti hu sign..mai ek aur insaan ko nhi kho sakti


She took the papers and signed it.

S - very good... Well... Kuch baate clear kar deta hu... Vaise mai ye badle vadle ke chakkar mai tumhari vajah se pada hu... Mai aisa insaan kabhi nhi tha... Mai ladkiyo ki izzat karta hu... Tumhe chhuna toh dur tumhare paas bhi nhi aaunga kabhi... Ur self respect is urs only.... Bas mujhe apni behen ki khushi chahiye... Aur tumhari jo ye galatfehmi hai vo mai dur krke hi rahunga... I promise... Tumhe mere ghar mai koi takleef nhi hogi... Tum normally college jaa sakti ho koi tumhe nhi rokega... Aur mere maa papa acche hai.. Tumhe bohot pyaar karenge... Ab ghar chalo

------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

#Samrakhiwedding ✌😍

' Forcefully entangled 'Where stories live. Discover now