A Day Well Spent...

458 39 19
                                    

Haseena continues after the Flashback ends...

HM: Aur fir hum sabne apni saza poori kar li, unn seniors ko bhi saza mil gayi aur humne woh lawn bhi complete kar liya tha. Infact, hum sabhi ko HO sir ne maaf bhi kar diya, aur humari annual reports mein isske baare mein kuch nahi likha.

Badnaam: Madaammmmm! (In his usual style)
Hume yeh samajh nahi aaya ki aapko woh lawn banane kyun kaha tha Babita ji ne?

Iqbal: Mujhe bhi...

Billu: Me as well! (Flexing his English speaking style)

SS: Mujhe bhi

CC: Hum bhi Santu ji ke saath hain.

...

KS: Bhakkk, ek-ek karke sab bakri jaise main-main karne lage. (Mimicking goat's voice, Yukti's special talent! Hehe...)

HM: Isska javaab toh Madam hi dengi.

...

BS: (nods) Uske 2 kaaran hain.
Pehela yeh ki Haseena ko hum yeh samjhana chahte the ki humari Antarik Shakti (energy) se hum Shrijan (creation) aur Vinaash (destroy) dono kar sakte hain.
Haseena ko apna Mann shant rakhna chahiye, Aaveg (Impulsively) mein faisle lene se hume hi nuksaan hota hain.

Jab Mann yun adheer (restless) ho tab apni iss Antarik Shakti ko kisi aur acche kaam mein laga do.

...

HM: Aur yahi baat hume agle din madam ne samjhayi thi, jab humne unse yahi sawal kiya.
.
.

SS: Haan shayad issliye Haseena madam toh shant ho hi gayi hain lekin Karishma madam bhi boxing ya Shirshasan (head stand) karti hain.

KS: Sahi kaha tumne Santu. Singhade khaati raha karo. (Teasing her and Santu frowns adorably)

Iqbal: Aur dusra kaaran Babita ji?

BS: Yahi ki, campus ki buildings mein se yeh wali building ka pichla hissa khaali tha, issi bahane woh bhi hara-bhara ho gaya.

BJ: Wow how intelligent! Ek teer se do nishaan.

KS: Aur aapko pata hain Maddam Sir, yahi woh jagah hain jaha hum aksar apne training ke dino mein jaakar baith jaate the, jab bhi humara Mann ghabrata tha.

(Haseena Smiles)

KS: Dekha aap bhi toh aa hi gayi hume sambhalne, indirectly hi sahi. (Smiling with gratitude)

HM: Aree, aap bhi na. Aise bhi humari dosti hain hi itni khaas, anjaane mein bhi hum ek dusre ki madat kar dete hain. (With a warm smile)

Karishma nods with a wide smile.
.
.
.
CC: Madam, humara bhi ek sawal hain. Aap kahe toh pucche? (BS nods)
Warm-up toh hum samajh gaye ki ploughing jaise kathin (difficult) kaam se pehele maanspeshiyon (muscles) ko relax karne lekin shirshasan kyun madam?

BS: Cheetah Shirshasan se blood circulation accha hota hain aur dimag shaant hota hain. Yeh subah se bhaag-daud kar rahi thi na, toh Shirshasan se inka dimag bhi sthir (calm) hua aur ploughing se pehele blood circulation bhi badha.

Discovering the Bonds! Where stories live. Discover now