ShivEena!

482 45 38
                                    

Apologies for updating late.

Happy Reading!

•••

Central Jail
Lucknow

Haseena reached Shivani's jail and found her reading books.
She smiled.

HM: Kya baat hain!
Haath mein hathiyaar aur aankhon mein chingari si chamak leke chalne wali Shivani, aaj law book ko itni shant nazaron se padh rahi hain.
(Grabbing Shivani's attention)

...

Shivani immediately looked at Haseena, closed her book and kept it in the corner with pile of other books.

She came near Haseena.
.
.
.
Shivani: Kyunki iss baar teri mulaqat Shivani Pawar se ho rahi hain Jazbaaton wali bai! (Smiled)

Haseena nodded with a proud smile.

She glanced at the Constable standing near the cell. He immediately opened the cell and left after saluting HM.

...

Haseena entered and kept staring Shivani for few minutes.
Here, Shivani maintained the eye contact as well, trying to read Haseena's eyes.

After 1 minute.
.
.
Shivani: Kya re Jazbaaton wali bai! Tu toh bilkul bhi nahi badli. Teri aankhon mein aaj bhi vahi therav nazar aata hain mujhe. Bata kis kaam se aayi hain yaha?

HM: Apna wada poora karne. (Confidently)

Shivani: Ajay? (Curiously)

HM: Ek hi baar mein samajh gayi?

Shivani: Usse peethkar sukoon mila tha mujhe, par kanoon ke insaaf ka intezaar toh main kab se kar rahi hoon.

Haseena nods.

Shivani: Pehele baith idhar. (Offering her the only chair she was provided in the jail)

Haseena sat on it and Shivani sat opposite to her, on bed.
.
.
.
Shivani: Aab bata kya baat hain. London se arrest kiya kya usse?

HM: Nahi. Voh khud yaha aa gaya. Infact 20 dino se India mein hi hain, aur filhaal Lucknow mein chhupa hain.

Shivani: Toh mere se kya chahti hain tu?

HM: Kuch details.
Lekin usse pehele yeh batao, kaisi ho tum? (Smiles)

Shivani: Tere ko dekh liya aab accha lag raha hain. (Winked)

Haseena chuckled.
.
.
HM: Bas dedh (1.5) mahine ki baat aur. Fir tum yaha se azad ho.

Shivani: Jaanti hoon. Par itni jaldhi kaise hua?

HM: Aab kya kare. Shivani Tai jo thi na, voh saare kaam pakke karti thi. Usse saza milni thi illegal kaamo ke liye, lekin ussne koi saboot hi nahi chhoda, jo police case bana paaye. (Raising her eyebrows)

Shivani: Toh tu aur tere thane wale bana lete, nikaal lete Chingari gang ki history aur mere khilaaf saboot.
Tum sab toh maahir ho na inn kaamon mein. (Folding her hands)

HM: Tajurba keheta hain humara,
"Jab galti par pachtava ho jaaye, toh galti sabak ban jaati hain!"
Tumhe tumhari galti ka ehsaas ho gaya, toh kyun gade murde ukhadna.

Shivani: Issiliye mujhe sirf Tai (Saira bi) ko accidently maarne ke ilzaam mein 3 mahine ki jail hui.

...

Note:
IPC section 304 A - Causing death by negligence.

Whoever causes the death of any person by doing any rash or negligent act not amounting to culpable homicide shall be punished with imprisonment of either description for a term which may extend to two years, or with fine, or with both.
...

Discovering the Bonds! Where stories live. Discover now