Mysterious Lady!?

405 41 43
                                    

Shopkeeper- SK
Mohan- M

•••

1:00 AM

Lucknow Bus Stand.

Karishma reached the depo, face covered with a scarf to hide her identity and was keenly observing everything around.
.
.
KS: Picchli baar dopahar ko aaye the, shayad issiliye kuch khaas pata nahi chala.
Raat ka mahool alag hota hain.

She went to a local shop.

KS: Bhaiyaa 1 cup chai dena. (Changing her voice)

Shopkeeper: Ji.

While he was preparing tea.

SK: Waise behen ji ek baat kahe?

KS: Ji kahiya. (Feebly)

SK: Aap akeli aayi hain?

Karishma glares him.

SK: Galat mat samajhiye. Main toh bas aapke bhale ke liye bol raha hoon.

KS: Hum kuch samjhe nahi bhaiya.

SK: Aaj hi ek police officer aayi thi, voh bata rahi thi yaha se kisi ladki ka apharan ho gaya.

Karishma understood he was taking about her, as she met him in afternoon.

KS: Haayee Daiyaa! (Dramatically)
Kya kare bhaiya, humare patidev ko time hi nahi milta ke hume lene aaye.
Opper bus late ho gayi aur ab hume shehar jaana hain. (In a tensed voice)

SK: Chinta mat kijiye. Aise toh yeh jagah surakshit hi rahi hain. Aap chai lijiye. (Giving her the cup)

KS: Dhanyawad.

She took the cup, sat on a chair nearby and enquired about few more things from him.
.
.
KS: Iss par koi sandeh nahi hain ab hume. Jo bhi issne humse dopahar mein kaha, vahi abhi keh raha hain. Aur kaun ho sakta hain... (sipping tea)

After few minutes

KS: Uss auto wale ka pata lagana hoga. (She thinks and finishes her tea quickly)

KS: Thank you bhaiya. (Giving him the empty cup)
Vaise yaha se Aliganj ke liye auto kaha milega?

SK: Yeh toh bohot dur hain. Aur yaha sirf 2 hi log hain jo raat ke samay iss jagah jaate hain.
Nitesh aur Mohan...

KS: (thinks) Bhakkk! Janvi ko kis auto wale ne chhoda tha, kaise pata kare? (Scratching her forehead gently)

KS: Hume toh bas ek hi auto chahiye. Aap hi bata dijiye kaha se auto le.

SK: Nitesh 10 din se chhuti par hain.
Aur Mohan ka auto vaha khada hain. (Pointing towards a tree where auto was standing)
Naya hain.

KS: Kya matlab?

SK: 10 din hue isse Lucknow aaye. Aksar humari tapri par aata reheta hain.

KS: (thinks) Mil gaya! (Takes a sigh of relief)

KS: Aap bohot acche hain bhaiya, warna hum toh dar hi gaye the.

SK: Mohan accha ladka hain.
Thodi baatein zayada karta hain, lekin Dil ka saaf hain.
Keval, Raat ko auto chalata hain.

KS: Sirf Raat ko? (Raised her eyebrows)

SK: Haan. Din mein majduri aur raat ko auto. Fir raat mein paise bhi zayada milte hain na. Auto wale 100, 200 rupay zayada lete hain.

KS: Ji sahi kaha aapne. Main chalti hoon. Aapka bohot bohot dhanyawad.

She went quickly.

...

Discovering the Bonds! Where stories live. Discover now