ch - 1

619 45 51
                                    

District magistrate office (South Delhi)

Every single person working in that office was on their toes, trying to do everything perfectly as their senior was quite strict regarding work... exactly at 9:00 am rajveer comes there, seeing him the staff starts wishing "good morning" to which he just nodded his head and goes to his cabin... then his PA came & tells him about his schedule, after which rajveer dismissed him and gets busy with his work

He gets so engrossed in his work that he didn't even feel like having lunch, but gets interrupted by a call on his personal cellphone

Rajveer (attending the call) : good afternoon mom, how are you ?

Aaradhya : I'm fine beta ji... aap kaise ho, aur aapne lunch kiya ?

Rajveer : main bhi thik hoon mom, aur bas abhi lunch karne hi ja raha tha

Aaradhya : mom se juth... direct yeh nahi bol sakte the ki kaam mein busy tha, isliye lunch karna bhul gaya

Rajveer : aapne mere cabin mein spy cameras lagwa rakhe hain kya mom, kyuki main jab bhi juth bolta hu aap mujhe pakad leti hain... sorry, main aapko pareshan nahi karna chahta tha isliye juth bola... khair aap bataiye aaj kaise yaad kiya, koi zaruri kaam tha kya ?

Aaradhya : kyun, main sirf zaruri kaam ho tabhi apne bete ko call kar sakti hoon kya

Rajveer : aisa nahi hai mom... wo toh bas aap hamesha raat ko call karte ho, aur aaj din mein call kiya isliye pucha... waise aaj aap itni free kaise hain, aur aapke wo chipku husband kahan hain ?

Aaradhya : chup kar badmash, koi apne dad ke bare mein aise baat karta hai kya

Rajveer : isme meri kya galti hai... wo hi aapko ek pal keliye nahi chodte, toh sabhi yahin kahenge na... waise I was wondering ki main aapki ek lauti aulad kaise hoon mom, kyuki dad 24 * 7 aapse chipke rehte hain... toh aapne ab tak mujhe siblings kyu nahi diye ?

Aaradhya (warningly) : rajveer

Rajveer : ok fine, nahi tease karta aapko... but seriously, dad kahan hain ?

Aaradhya : wo kisi kaam se bahar gaye hain, actually hum sab Delhi aaye hain... teri chachi ke bhatije ki shaadi keliye

Rajveer : oh! tabhi main sochun aapne mujhe din mein call kaise kar liya... lekin ab samajh aaya, ki aap chahti hain ki main bhi shaadi mein aaun

Aaradhya : arey wah! kitna samajhdar beta hai mera... aisa kar, jaldi se ready hokar aa ja... sab tera wait kar rahe hain especially Vihu aur yaha ki kunwari ladkiyan... tujhe pata hai yahan pe handsome ladkon ki thodi kami si hai

Rajveer : mom, main nahi aa paunga... mujhe bahut kaam hai, aur ek bribe ke case ki investigation bhi karni hai... aap log function attend kar lijiye, uske baad mere bungalow aa jaiyega

Aaradhya (sadly) : ok fine, par tu apni maa ke liye ek try toh karke dekh

Rajveer : mom, sad mat hoiye please... agar possible hota toh main zarur aata

Aaradhya (tauntingly) : haan jaise pichle family function khatam hone ke 10 minute pehle aaye the, thik waise na... beta ji aapke yeh dialogues bahut purane ho gaye hain, toh inhe zara thoda upgrade kar lijiye... aur haan, aage se koi bahana nahi chalega... abhi toh main aapko isliye jane de rahi hoon kyuki aapki chachi mujhe bula rahi hain, warna main aapki ache se class leti

Rajveer : ok mom, par main last wale function mein 10 minutes pehle nahi balki 15 minutes pehle aaya tha bye... see you at the night

Saying this rajveer hurriedly disconnects the call, so that he didn't get scolded by his mom... after that he goes out to investigate the bribery case, in which the officer on whom the case was going turns out to be innocent... so Rajveer presents all the proofs that he had collected in front of the committee, after seeing those proofs committee declares that officer innocent and he's asked to resume his duty again

Married to you ❤️Where stories live. Discover now