ch - 11

520 52 106
                                    

NEXT MORNING

Shower lene ke baad, rajveer breakfast karne keliye dining table pe aata hai... wo aakar elders ke pair chuta hai

Rajveer : good morning uncle/ aunty

Elders : good morning beta... aaiye, hamare sath breakfast kijiye

Rajveer : ji (saying this, he occupied the seat next to naveen)

Naveen : rajveer, tumhari yeh bandages kaise geeli ho gayi ?

Rajveer : wo maine shower liya tha na isliye geeli ho gayi hongi

Naina (kitchen se ek breakfast tray lekar bahar aati hai) : what... aapko shower lene keliye kisne kaha tha, wounds mein infection ho gaya toh... aur jahan tak mujhe yaad hai, meri instrustions mein yeh kahin mentioned nahi tha

Meera : naina, awaaz neeche... yeh kisi tone mein baat kar rahi hai tu rajveer se

Rajveer (doesn't like someone scolding naina because of him) : it's ok aunty, unhone kuch galat nahi kaha... aur naina, maine shower isliye liya kyuki I was smelling like medicines

Naina : toh fauran bandage change karwa lete, ya aap wounds mein infection hone ka wait kar rahe the... sach mein, laparwahi ki bhi had hoti hai

Naveen : bas gudiya, ab usse daant ti hi rahegi ya aakar bandage bhi change karegi

Naina (grumpily) : hmm, kar rahi hoon (to rajveer) aap mere sath aaiye

Wo rajveer ko living room mein lekar jati hai aur carefully uske forehead & hand ki bandage change karti hai, wahin rajveer us dauran usse admire kar raha hota hai

Rajveer : naina, aap naraz hain mujhse ?

Naina (while avoiding looking at him) : nahi toh

Rajveer : toh aap meri taraf dekh kyu nahi rahi hain ?

Naina (about to leave from there) : ho gaya... ab aap breakfast karne chal sakte hain

Rajveer (holds her hand) : hmm... thank you for the bandage, par aapne mere sawal ka jawab nahi diya

Naina : kya jawab doon main, aapko mujhe dekhkar samajh nahi aa raha ki main aapse naraz hoon... aur laparwahi ki bhi had hoti hai, kehne ko toh aap 6 saal bade hain mujhse par aapki harkatein mujhse bhi gayi guzari hain... apne bare mein toh kabhi aapko galti se bhi nahi sochna... aur kya zarurat thi aapko kal bina security ke bahar ghumne ki, jabki aap jante hain ki aapka profession hi aisa hai jahan aapke dost se jayda dushman hain phir bhi aap bina security ke aaye... aur aaj bhi kya zarurat thi aapko shower lene ki, agar aapke wounds mein infection ho jata toh ?

Rajveer (holding her hands in a consoling way) : I know aapko meri fikar hai, par kal main aapke sath akele time spend karna chahta tha that too without any disturbance... isliye maine security ko sath aane se mana kiya, par aage se aisa nahi hoga... I promise but please aise naraz mat raha kijiye mujhse, kyuki main aapki narazgi nahi seh sakta

Naina : hmm sorry, maine bhi aapko kuch jayda hi bol diya na

Rajveer : nahi, aapne kuch galat nahi kaha... infact aapka yun naraz hona aur mujhpe haq jatana pasand hai mujhe (while bowing his head) aur aapka har ek hukum sar aankhon pe madam

Uske baad wo wapas dining table par jate hain, jahan naina rajveer ko uska breakfast serve karti hai jisme veg mayonnaise sandwich, omelette and juice hote hain... yeh dekhkar rajveer apni breakfast plate se juice ka glass side rakhkar, coffee cup lene ki koshish karta hai ki tabhi naina uske saamne se wo cup utha leti hai

Married to you ❤️حيث تعيش القصص. اكتشف الآن