ch - 8

530 48 93
                                    

Rajveer greets his family members by touching elder's feet & by hugging the younger ones

Rajveer (takes little Ayaan from his sister's arms) : kaisa hai mamu ka champion ?

Akshita : yeh janab toh ek dum jhakas hain, bas inhe sambhalte hue hamari halat tight ho jati hai

Vihaan : rehne dein di, aap toh mere masum bhanje pe aise hi ilzaam laga rahi hain.... yeh bechara toh sara din shanti se sota rehta hai, aur aap hain ki mere bhanje ko badnaam kar rahi hain

Akshita : haan, main toh jaise isse be matlab badnaam kar rahi hoon... aur yeh mahshay jo pura din sote hain, aur raat ko hamari neend haram karte hain uska kya... aur agar tum dono ko yeh itna hi pyara aur masum lagta hai, toh tum log hi sambhalo isse... mujhe bhi thoda aaram milega

Vihaan : haan toh sambhal lenge, isme kaunsi badi baat hai... haina bhai ?

Sanjana : bas karo aap dono , kahin bhi shuru ho jate hain... kabhi toh surroundings ka dhyan kar liya karo

Both : sorry mom

Sanjana : it's ok

Uske baad wo naina ki family se milte hain, aur dono ek dusre ko greet karte hain

Vihaan : waise bhai, I was wondering ki aaj aap itni jaldi kaise aa gaye.... mujhe toh laga tha, aaj bhi aap last ke 15 - 20 minutes mein hi aaoge

Rahul (comes there) : arey aise - kaise jaldi nahi aate vihu... aaj toh sir ka rishta pakka hona tha, toh yeh der se kaise aa sakte the... aur waise bhi yeh bhabhi se milne keliye hamesha excited rehte hain

Rajveer (glaring him) : rahul, tum yahan kya kar rahe ho maine toh tumhe yahan nahi bulaya tha

Rahul (gulped seeing his glare) : wo sir aapne hi toh mujhe bhabhi ki car ko yahan deliver karne ka kaam diya tha... aap bhul gaye

Rajveer : nahi, main kuch nahi bhula... lekin ab aapka kaam ho gaya na, toh jaiye apni holiday enjoy kijiye..... waise bhi chuti kam hi milti hai aapko

Vihaan (dramatically) : aap mere sath aisa kaise kar sakte hain bhai... arey main apne best friend se kitne dino baad mila hoon, aur aap hain ki usse yahan se bhaga rahe hain... agar wo yahan nahi reh sakta, toh main bhi yahan nahi rahunga

Rajveer : yeh toh aur bhi acha hai, waise bhi yahan tumari koi zarurat nahi hai toh tum dono ja sakte ho... enjoy your day out guys

Vihaan : how mean bhai... hum yahan apni bhabhi se milne aaye hain, aur aap hai ki hame darwaze se hi rafa dafa kar rahe hain... lekin humne bhi thaan li hai ki hum kahin nahi jayenge, aur aapke kehne se toh bilkul bhi nahi... right rahul ?

Rahul : absolutely (asks naina's father) uncle, hum dono andar aa sakte hain na, agar aapko koi problem na ho toh?

Naren : haan beta zarur, mujhe bhala aap dono se kya dikkat hogi

Vihaan : you see bhai, uncle ko bhi hamare aane se koi problem nahi hai toh ab aap hame yahan se nahi nikal sakte... hum andar ja rahe hain, come on rahul... follow me

Naveen (un dono ke andar jane ke baad) : what's the matter rajveer... tum in dono ko andar aane se kyun rok rahe the ?

Vikramajit : wo isliye kyunki yeh dono jab bhi ikathe hote hain, inka main motive rajveer ko pareshan karne ka hi hota hai

Rajveer : uncle don't mind par aapko in dono ko ghar ke andar nahi aane dena chahiye tha, kyuki ghar main ab santi ka namo nishan nahi milega... balki kuch der baad aapko lagega ki aapne ghar mein 2 tufaano ko entry de di

Married to you ❤️Where stories live. Discover now