shopping

51 3 19
                                    

Faiza sirat ko leke waha pohochti hai

Per yeh chiz Junaid ne dekhli thi

Tabhi wo waha per Yasir ko bula leta hai

Yasir-kya hai be idher kyu laya

Junaid-yasir bhai dekho na waha Faiza golgappe stall per khadi hai

Yasir-to?

Junaid-please ap uski behen sambhal lo

Yasir-*maring tip*pagal hai kya muje pata tha ki tu piddi hai but yeh nahi pata tha ki piddi logo ki bhi akal ghutne mai hoti hai, ek min tu Faiza ko stalk ker rahe ho?

Junaid-abey chalo na yaar *ghasiting Yasir*

Junaid to bhayya- bhaiya do plate lagana.

Faiza aur sirat Junaid aur Yasir ko notice kerte hai

Faiza ki shakal ban jati hai

Faiza-bhaiya tikha lagana bohot zyada wala.

Junaid-are faiza ji ap maine gor hi nahi kiya

Faiza-ab kerliya.

Junaid-bhaiya muje bhi tikha dena *side eye to Faiza* muje tikhi chize bohot pasand hai

Yasir fusfusaying- Abey tujhe tikha control nahi hota

Junaid-are mujse sab sehen ho jata hai

Yasir-haan jo tu kal toilet mai hagega na usse pata chal jayega ki kitna sehen hota hai

Junaid-are ap jane

Fir bhayya dono ko golgappe dete hai tikhe wale

Faiza to gap gap kha leti hai but Junaid to gayo

Faiza aur sirat buri halat dekh ker shock ho jate hai

Sirat fusfusaying- Faiza muje to bada ajib lag raha ek kaam yaha se nikalte hai

Faiza-haan sahi keh rahi ho appi nikalte

Fir Faiza paise deke sirat leke bhag jati

Yasir Junaid ki halat dekhta hai

Yasir-bada aya hero banne aya tha, piddi.

Itna kehke Junaid ko chodker chala jata

Zaira jewellery shop mai jewellery kharid rahi thi tabhi galti usse jhumka gir jata jisse wo uthane ke liye jhukti hai aur utne mai Zain waha a jata

Fir zaira apne balo ko jhatkate hue khadi hoti jisse uske baal Zain ke muh per padte hai

Zain-ahhh chudail

Zaira-chudail kisko bola bey

Zain-tujko bola bey

Zaira-kaise bola bey

Zain-muh se bola bey

Zaira-aayeee..

Zain-aayee

Zaira-haaan

Zain-Haan

Zaira -kyu bey mera picha ker rahe ho stalk ker rahe ho

Zain-huh tumhara picha to mai sapno Mai bhi na karu badi ayi

Itna kehke wo waha se chala jata

Next day

Grrrr,,prrrrr aggghhg

Are ap daro nahi yeh awaz bathroom se a Rahi hai

Rashid-yeh washroom se itni ashleel awaze kyu a rahi hai

Yasir-junaid gya hai

Saad-usko kya hua

Yasir-kal Faiza ke samne hero ban Raha tha,mana kiya tha ise tikha na kha ab ander hag raha hai.

Tahir-fir to Faiza appi inki shakal dekh ker fiker mai a gyi hongi ladkiyon ko aise koi tadpe acha nahi lagat na

Yasir-huh! Dekh ker bhag gyi thi,is piddi ke fikr mai hum log nahi ate wo kya khaak ayegi.

Time skip

Village

To khureshi femily apne gher ke ander abhi abhi pohche hai

Jaise hi khureshi arshad mama bhagte hue pohoch jate hai

Tasleem-ate hi mood kharab ho gya hai

Arshad-jijaji kaise ho Ane mai koi takleef

Mrs khureshi-are nahi nahi

Mr khureshi- ammi kaha hai

??-are mai yaha hu

Dadi ji mr khureshi-ek gale lagti hai ladkiyon ko dekh ker bolti hai

Dadi-are wah tumri ladkiya to ghani badi ho gyi hai,tumko pata akhri dafa kab mulakat karayi thi

Mr khureshi-are Haan jab Rida paida hui thi

Dadi maring tip to mr khureshi-are khoteya itne baras se nahi mile nahi hum ladkiyon se

Dadi tasleem Faiza aur zaira ko dekh ker bolti hai

Dadi-yeh teeno kon hai?

Mr khureshi-are yeh meri teeno betiya hai.

Dadi-acha teen aur aulaad paida kerke baithe ho humse to mulakat na kerwayi khoteya.

Mr khureshi-are yeh Faiza Rida ke baad wali,

Dadi-faiza? Yo kaise naam hai are farheen rakh lete.

Mr khureshi-are ammi yeh naam saisha ne rakha hai. Aur yeh tasleem

Dadi-hmm tasleem acha naam hai kya kerti hai

Zaira-murmured* awara gardi *looking to sky*

Mr khureshi-abhi to kuch nahi kerti, aur yeh zaira sabse choti wali college ka last semester hai

Dadi-zaira? Are zehra rakh lete sacchi mai tumlog ko naam rakhna nahi ata bas sirat aur tasleem ka naam hi acha hai

Mr khureshi-sirat ka naam to apne rakha tha

Dadi-tabhi to acha hai,saisha ka naam Sadia rakhna chahiye tha,Rida ka naam Rabia rakhna chahiye tha.aur koi to paida nahi kya na

Hania-are mai bhi hu muje to bhul gye

Dadi-are ha iska naam bhi hania nahi Huma rakhna chahiye tha hmph

Mr khureshi-are yaar ap Aram ab jo ho gya so ho gya

.
.
.
.
.
.
.


.
.
.
.
.
.

To aj ke liye itna hi kafi milte hai apse next part mai tab tak ke liye bye bye💜



jab they metWhere stories live. Discover now