planning plotting

53 5 8
                                    


Next day

Zaira ka mood off sa lag raha tha to wo gher ke bahar walk ker rahi thi

Tabhi Zain bhi waha a jata hai

Zain-oye chudail!

Zaira-kya hai bey Zain mera dimaag mat kharab Karo

Zain-haw aj to Suraj kahi aur se nikla hai chudail ne aj muje khargosh nahi bulaya*baithing zaira ke bagal Mai

Zaira-kya hai yaar pareshaan na karo mera ladne ka man nahi hai.

Zain-to mai bhi tumse ladne nahi aya kal suna tha jo bhi sirat appi ke sath hua

Zaira-muje bhi pata hai,ussi ke baare mai soch soch ke to mera 2 kilo wazan kam ho gya hai

Zain-ab kaisi hai wo

Zaira-kaha thik hai tausif Bhai se bach rahi hai unse bhag rahi hai aur wo tausif Bhai bhi unka picha nahi chod rahe pata nahi kis zamane ka badla le rahe hai.

Zain-us tausif ko izzat Dene ki zarurat nahi hai waise saisha appi ne koi strategy banai?

Zaira-abhi to nahi but soch rahi hai

Zain-mai kya soch raha tha ager hum dono dost ban jaye to

Zaira-itna nek dil kabse ho gya Tera

Zain-bus aise hi to friends*giving hand for handshake*

Zaira- ok friends*hand shake*

Zain-chal ab baad Mai milte hai miss chudail.

Zaira-ok mister khargosh.

Time skip

Saisha market mai sabzi le rahi thi tabhi waha saad bhi sabzi khridne Ajata hai

Saisha-aj kya hua? Sabzi lene tum aye ho

Saad-haan wo Zain Sade hue sabzi Lata hai is liye mai a gya

Saisha-waise kal ki recording ke baad kaisa feel ho Raha hai sabko

Saad-sab log soch ami Dubey hai ki kaise kuch aisa kare ki hamara kaam bhi ho jaye aur koi bawaal bhi khada na ho

Saisha-sabki kya condition hai

Saad-rashid koi Idea soch raha hai apna pura iq nikal raha hai,Yasir to sirf sirat ke bare mai soch raha hai kehta hai ki use ek baar sirat se milna hai, huzaif bhi dua ker raha hai,Junaid tahir aur Zain ko bhi bohot bada shock mila hai

Saisha-aur tum?

Saad-meri to wo behen jaisi hai hum sabko bas sirat ko bachana hai,aur wo hasi dekhni hai jiske bare mai tum baat ker rahi thi kyuki humne usse kabhi zyada khush nahi dekha

Saisha-haan wo hasi to 6 saal se coma mai hai aur us hasi ko hum coma se bahar nikale lenge

Saad- waise isse koi bhi inkar nahi ker sakta ki wo hamesha sehmi rehti hai aur ghabra bhi jati hai

Saisha-haan aur pehle wo aisi nahi thi aisa nahi hai ki humne usse kabhi notice nahi Kiya but humne isse bas war of hormones samjh ke taal Diya.

Saad- jab humne yeh sab suna to hum log sachme speechless the ki sirat jaisi ladki ke sath jisne kisi ka bura nahi chaha uske sath yeh sab

Saisha-yasir ko sirat se mil a tha na.

Saad-haan

Saisha-waise Yasir sirat ki bohot care kerta hai dono sath mai ache lagte hai

Saad-haan sirat uske sath comfortable bhi lagti hai

Saisha-haan Aisa lagta hai ki dono ki future mai khub banegi

Saad-haan waise ban hamari bhi sakti hai

Saisha-kaise

Saad-dekho hum dono chef hai,aur gher mai sabse bade,aur sabko control kerna bhi to ata hai hume to ban kyu nahi sakti

Saisha-point hai

Saad- 😎😎

Saisha-chalo mai chalti hu Verna dadi bole gi"kaha reh gyi thi chokri"

Saad-thik hai

Saisha waha se chali jati hai aur saad uska disappearing figure dekhta hai

Saad-pata nahi kyu tumhare sath bhi kabhi kabhi koi raabta lagta hai

Leave after giving cute se smile

Time skip hania siddique mansion pohochti hai

Huzaif angan mai hi baitha tha

Huzaif-are ap yaha

Hania-haan wo dadi ne halwa bheja hai kal manjha hai na is liye ap logo ko invite Kiya hai

De rahi aur girane hi wali thi ki huzaif ne bacha liya

Hania-thanku Verna kaand hone wala tha

Huzaif-are koi baat nahi ab mai hu na ab  sab sambhal lunga.

Hania- kabhi kabhi to apki bate sir ke uper se jata hai but sunne mai acha lagta hai.

Huzaif-hania ji shabdo pe nahi bhavnao  pe jaye,waise gher mai sab thik

Hania-ab apko to sab pata ho ga hi chalo mai chalti hu Verna dadi bolegi  *dore daalne gyi thi kya padosiyo ke sath

Fir wo waha se chali jati hai

Huzaif-mai to chahta hi hu ki muj per dore Dale

Time skip

To khureshi sister siddique mansion mai apna dimaag laga rahe hai ki kya kare

Rida-yaar mere to dimaag ka bhaji paala ho ho gya hai ,oye 148 iq wale teacher kuch aya dimaag Mai

Rashid-ager mere dimaag Mai kuch ata to mai bata deta

Rida-haww matlab ap ka dimaag Khali hai tab kaha ke samjhdar

Hania-chup ker bail buddhi.

Faiza-kou to rasta ho ga hi hamesha to mil jata hai

Junaid-per is case mai time lagega kyuki yeh bohot sensetive hai isme sabke emotions hai

Tasleem-uhm mera to dil ker raha hai ki jis khai mai shifa appi giri thi usi mai tausif mai dhakka dedu

Tahir-haan!

Saad-*maring tip to tahir*kya haan aur bakiyon ko kya bolega

Huzaif-aur dusra bechari Inayat ki shaadi postpone hogi wo alag

Zaira- ek min muje baki ka to pat nahi but ek plan aya hai

Saisha-kya

Zaira-jis chote se room mai sirat appi ko leke gye the usme cctv camera to hoga hi na

Zain-are but hum wo footage kaha se layege

Rashid-uske liye to kisi ko Lucknow Jana padega

Huzaif-nahi mera ek dost hai jo police officer hai hum usko keh dete hai ki wo us room ki footage batade with date and time

Hania-haan chalo ek masla hal hua aur yeh to sabse bada sabood hai

Saisha -aur zaira ke pas to recording bhi hai to wo hum sabko suna denge

Sirat- but hum tausif ko kaise punishment denge?

Faiza-are appi don't u worry itna sab kaand dekh ke to sab usko dhakke maarke bahar phek denge aur hum police ko bhi bula denge

Yasir-aur yeh sab hum Inayat ko rukhsat karake bata denge kyuki us waqt zyada log bhi nahi honge aur hamara kaam bhi ho jayega

Sirat-pata nahi yeh sab janne ke baad sabka kya reaction hoga

Saisha- chalo yeh sabki tayaari kerna start kerdo

.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
To ek aur chapter pesh kerti hai mai
💜💜



jab they metWhere stories live. Discover now