Chp 3

29 5 12
                                    

Pov

Wo apne ghar ke chote magar hawadar lounge mein baithi TV remote hath mein liye channels badalne mein masroof thi

Ye aik 32 inch lcd TV tha Jo usne farmaish kr ke ziyad se mangwaya tha

Shuru shuru mein usko dramon mein bohat dilchaspi thi magar ab wo bas aik drama dekha krti wo bhi agr bohat bor ho rhi ho

Wo channel badalne mein masroof thi jab ziyad jali wala darwaza kholta andar dakhil hua

Ajj Sunday tha iss liye wo kuch dair pehly hi kisi kaam se bahir gaya tha or ab wapis lot rha tha

"Assalam o alikum bhai" zimal ne foran salaam kia

" Walaikum assalam " ziyad ne muskan barkarar rkhte hue jawab dia

" Beta mein zra narmeen khala ki taraf ja rha hu kuch batein krni hein unho ne mere se abhi moiz ne bataya mujhe"

" konsi batein bhai?" Zimal ne sawaliya ankho se ziyad ko dekha

" ab ye tou ja kr hi pata Chale ga" usne kaha

" G, chalein phir ma bhi apke saath chlti hu haya ki tou phopo ai hui hein uske ghar unko Jane mein bhi kuch time lage ga tab tak tou mein bor ho jaoun gi" usne apna plan bataya

Ziyad ne asbaat ( approval) mein sar hila dia

Narmeen khala na sirf peechay wali gali mein rehti thein balkay zimal ki ammi ki bohat achi dost bhi thein

Unho ne ziyad ka bohat sath dia tha zimal ko sambhalne mein

usko kahana bana bhi narmeen khala ne sikhaya tha

Jab wo job ki talash mein Sara sara din ghar se bahir hota tou khala hi zimal ko sambhalti thein

Jab Job lagne mein dair ho rhi thi or zimal ko pilane ke liye doodh tak ziyad afford nahi kr skta tha tou uska dil chahta tha ke apne app ko khatam kr le

Magar iss nazuk mokay par narmeen khala ne unki maali ( financially) or ikhlaqi ( mannered) dono tarah se madad ki thi

Wo unka bohat ehtram krta tha bilkul apni sagi khala ki tarah

Khair apno ne tou unko umer ke iss hissay mein akela chora tha jab Rishton ki or apno ki unko sab se ziada zarurat thi

Jab madad mangne wala rishtedar gareeb ho tou har rishta apne uhday ( position) se estifaa ( resignation) de deta hai

Ziyad or narmeen khala ab kamre mein baithe kuch eham batein discuss kr rhe thay or zimal ko bahir rukne ka kaha gya tha

Uska dil chaha darwaza se kaan laga kar sab sun le magar zameer ne ain time pe entry mari or usko malamat krne baith gaya ke aise batein sunne gi tou gunah mile ga usse

Haar mante hue wo bahir ke darwze ke pas a kr khari ho gae

Darwaze se bahir gali mein cricket khelte larke usko saaf dekhai de rhe thay unmein narmeen khala ka sab se chota beta moiz bhi tha

Wo zimal se 4 saal chota tha yani 14 saal ka tha

Dekhne mein dobla or daraz kaad ka tha ( lambe kaad ka )

Zimal ne souha ke ab usse khala ke ghar aye bhi kafi time ho chuka hai ab tak tou haya ki phopo ghar chali gaein hogi

Tou moiz ko keh kr haya ko bhi yahi bulwa le

Yahi souchte hue usne kadam unki taraf barha diye

Moiz is waqt bat sambhale hue bating kr rha tha

Zimal abhi kuch hi rassta te kr ke pass ai thi ke aik dum kuch dur se ata ball uske bazoo ko chuh kr guzra

    JanaanTempat cerita menjadi hidup. Temukan sekarang