Chp 7

23 3 0
                                    

Pov

Raat ki tareeqion mein jahan sab sakoon se khuwabon ki wadiyon mein gum thay wahin kuch dil toote hue

Kuch dimag uljhue hue bhi thay
Chaand ne dekha hai aik saath aik urte hue dil ko

Aik tutey hue dil ko , koi souchta hai ke chaand bhi khushi ke marey chamke ja rha hai bilkul uske ehsasat ki tarah

Koi souchta hai ke chaand bhi bain dalta hai kabhi toot kr , badlon mein chup kr

Or kabhi roshnani ban kr uske zakhmi dil pe Marham rkhta hai

Inhi uljhe dilon mein aik uljha dimag bhi hai,  Daniyal Khan

Tareek kamre mein khirki se ati madham roshni bed pe betarteeb pare admi ka aqs sa bana rhi thi

Tangein bed se neechay zameen ko chuhti hui baal bikhare hue or...

Or ankhien laal , khun ke ansu rone ko be taab , hathon mein pakri cigarette

Jo bhari hui Ash tray ki  zeenat banne ja rhi thi

Aik akhri kash ... aik naya khiyal or dur jata hua daniyal un mein kho rha tha, unka hissa ban rha tha

" Hahahahah, agh hahha oh agh ha , ah hahaha da...hahaha daniii... bass karoo ma gir jaoun giiii hahaha "

" Dani mera poun.. mein thak gae hun"

" Tou rok jao naa kiun bhag rhi ho "

Safeed shalwar kameez mein halka sitaron wala safeed dupatta liye khule bhure lambe balon wali larki

Bhagti hue lawn se ghar mein dakhil hue , uska dupatta kandhe se sirakta hua zameen se ja mila

Uske peechay ate larke ne dupatta utha kr apne hath pe bhand lia jaise , koi zakhmi apne hath par pati bhandhta hai shifa ke liye

Wo larka ussko kab ka pakar chuka hota agr wo koshish krta ... agr wo koshish krta

Larki bhagti hui lounge mein TV table ke dusre par khari ho gae

Ab uske poun bhag bhag kr or uska pait hans hans kr uska saath dene se inkari ho rhe thay

" Bhagu gi nae tou tum pakar lo ge na or phir meri shiqayat karo ge baba or ammi se "

" Ye tou bilkul theek baat keh rhi ho bilkul shikayat karun ga tumhari , tum krti hi shikayat krwane wale kaam ho "

" Dani " chehre par dunya jahan ki masoomiyat liye kaha gaya

Yhin to uska dani harta tha hamesha

" ye koi harkat tou nae hota na krne wali Jo tumne ki hai "

" Aisa bhi kia kr dia mene " sharir sa andaz

" aisa bhi kia kr dia mene? Madam apne ne meri majburi ka blky isko yun kahun mein ke meri qudrati kamzori ka

Faida uthate hue mere se bagair chashme ke apne report card par sign krwaein hein apne "

"Han tou "

"Han tou? Han tou ki bachi ruku tum abhi theek krta hun tumhein "

Usko apne taraf ata dekh kr jldi se seedhiyan phalang ti wo apne kamre ki janib bhar gae

"HALA"

"Hala wapis aou , hala ki bachi "

Hala..hal...ha

Awazein madham hoti gaein , seedhiyan charte qadam bhari hote gae

Daniyal ki Ankh se aik anso riha hua jaise phla qaidi or phir aik ke baad dusra or teesra or na jane kitne

    JanaanWhere stories live. Discover now