Chp 4

25 4 9
                                    

Pov

Music se uth ta hua teez shor , bohat se rang ki lights kuch kuch seconds baad apna rang badalti huien

Nachte shor krte log , larke larkian apne app se be khabar

Aik konay mein drinks deta hua Barista

Or sab se bekhabar apne khiyalon mein dooba hua cigarette ke kash bharta hua larka baal mathe par bikhare hue

Ankhein kisi bhi jazbaat se ari kali ankhien apne andar koi toofan liye ankhein , apne andar sab barbaad kr dene ka junoon liye ankhein

Fancy couch pe leyta hua cigarette ke kash pe kash bharta hua aik barbadi apne andar utarta hua or usi se apne andar ki barbadi bahir nikalta hua

Kisi ke bolaney pe uski taraf dekha music ke shor mein awaz bohat dur se ati mehsus ho rhi thi

Wo Angelina thi , bhuray baal neeli ankhein safeed rangat

Angelina uski secretary wo uski apne taraf chahat se bakhubi waqif tha

Wo usko apne sath dance stage pe bula rhi thi usko nazar andaz krta wo uth ke baith gaya

bhare se lounge mein iss wqt har taraf laal rang tha

Usne apne samne baithe Sebastian ko dekha Jo aik haath mein wine liye baitha usi ko dekh rha tha

Jante hue ke har bar ki tarah uska jawab kia hogi phir bhi Sebastian ne usko wine offer ki

Aik kash bharte hue daniyal ne sar nafi ( no ) mein hila dia

" Daniel, how about the deal ? Is it done? " Sebastian ne kuch pareshaan ho kr poucha

" look buddy I'm being so patient with you , but you have to take some actions. Know , listen, we know that you've been gone through some things, but this our way of earning

do something dude " usne chirte hue daniyal ko bola

Daniyal se aik nazar uski taraf dali or couch se taik lagata sar peechay ki taraf kr lia

" I'm the boss. You don't have to overburden your little brain , I know what I'm doing , what I'm gonna do and what I have done , so don't interfere, Sebastian " usne akhari lafz ko zor dete hue kaha

Ye keh kr usne apne kamre ki taraf kadam barha diye ahista magar aik ajeeb aqtidar ( authority) wali chaal chlta wo apne kamre mein band ho gaya

Sebastian usse jata dekhta rha yaqeenan issse koi dimagi masla hai agr baat is aram o asaish ki na hoti tou wo kabhi abhi Pakistan ke shehar lahore mein iske ghar hargiz na hota

America mein as a cashier job krne waley ko jab aisi zindagi mile gi tou wo kisi bhi daniyal ke liye kaam krne mein paish paish hoga ( agay agay )

Pardoon ke peechay se ati hui roshnani ne uski neend mein khalal dala tha usne side badalna chahi magar sar dard se phat rha tha

Kuch himmat krte hue wo uth baitha dard me sath sath sar chakra bhi rha tha

Comforter khud se utarta hua wo bed se poun neechay latka kr baith gaya

Kuch seconds baad side table drawer kholte hue kuch medicines nikalien or side per pari water bottle utha kr medicine lene ke baad shower lene chala gaya

Bahir a kr time dekha tou shaam ka 1 baj rha tha ye uski after party routine thi har weekends per wo isi time utha krta tha ya is bhi late

Black jeans pe white nafees cotton shirt pehnay jisse upri doo buttons khulae thay or sar ke kale baal bikahre hue thay

Wo aik pur kashsih personality rkhatta tha

    JanaanWhere stories live. Discover now