Chp 6

17 3 7
                                    

Pov

Siyah two piece mein malbos siyah coat zaib e tan ( pehne) kiye sheshay ke samne khara apni shirt ka collar darust krte hue

Husn ki misaal lg rha tha wo kisi shairah ( poestess ) ka shair lg rha tha

" Mein januni hun apni januniat pe naaz rkhta hun

Bohat sey itar hein yun tou mehfil e fani mein , jis se ho mehfil mutasir wo itar e khas rkhta hun

Kisi ki ab tammnah nahi hoti , tammna ko ab mein darkar hota hun

Karun Jo tou sachi karun , mohabbat khaas hoti hai mera libaas hoti hai

Kabhi Jo mile dil ka baghi , tou usse pouchun libaas e dag ki kiya qimat chukai tumne

Meri narmion ko kiya smjh baithe wo ,

na ai unhe samjh ke, iss januni ko libaas mein kabhi shikanay ( silwatein) na ai pasaand "

Cufflinks lagate hue ussne aik nazar utha kr khud ko dekha

Or wo har bar tarah mehsurkun lag rha tha or aj phir kisi ko apne seher mein jakarne ka irada rkhta tha

" I think we should probably be get going now,"

Wo awaz ka peecha krte hue mura or Sebastian ko darwaze pe khara paya

Or uska maza khirkara ho gaya

" Yeah, get the cars ready," daniyal ne jawab dia

" they already are " shatanai muskurahat ke sath jawab aya

" By the way, who is tammna? , some new chick "

Sebastian ki baat sun kr daniyal ka khoon kholne laga ke aya iss Sebastian ne uske keemti alfaaz sun liye thay

Khud ko compose krta wo mura or us tak pohancha

" Your sister " do lafzi jawab deta wo bhar ki taraf chal dia

Sebastian ko urdu smjh puri magar bolni adhi adhuri ati thi

Dil mein daniyal ko kosta wo khud bhi bahir ki janib bhar gya

.....................

"Uff o haya mein keh rhi hu meri baat mano ye lipstick ka shade bohat over lag rha hai"

zimal ne ghabrate hue haya ko 125 wein dafa toka tha

"Larki chup chap baithi raho arey tumhein kia pata fashion ka itna Inn shade hai ye lip colours mein "

Haya ne apna fashion knowledge jharte hue kaha

" haya mein cartoon lag rhi hun "

Make up complete hone ke baad khud ko ainey mein dekhte hue zimal ne kaha

" lagna ka tou pata nahi magar waise no doubt cartoon hi ho tum qasmay "

Haya ne thak kr bed par baithte hue kaha

" haya agr wo mjhy reject kr gae tou ?? "

" hein hein aise hi reject kr jaein ge kia koi baat ho reject krne wali tou banda darey bhi itni khubsurat si dost hai meri "

Haya ne zimal ka hath thamte hue kaha

" sachi ? " masoomiyat bhara sawal

" muchi " haya ne hanste hue kaha

Tabhi darwaze pe dastak hui or wo janti thien ke bahir kon hai

Na chahte hue bhi zimal ki ankhein bhar gaein

" mashallah mera bacha tou itna piyara lag rha hai " ziyad ne uske sar par bosa datey hue kaha

" waise bhai Sara credit tou haya ko jata hai bachi ne itni mehnat Jo ki hai "

    JanaanDonde viven las historias. Descúbrelo ahora