2

659 114 60
                                    

"Yeh kya baat huyi koi namaz parna kaise bhul sakta hai.Hume duniya mein bhejne ka Allah ka wahid maksad to unke ibadat karna hai.Hume fani duniya mein itna bhi masruf nahi hona chahiye ke hum apni rab ke samne khara hona hi bhul jai.Beta chahe tum Zindegi mein kitne bhi qamiyab kyun na ho jau yeh baat humesha yaad rakhna ek din hum sab ko Allah ke samne khara hona hai aur us din hume apni karname ka hisab dena hoga unhe.Bas itna dua karna jab hum Allah ke samne khare ho to ruswa na ho."

Meerab's paternal grandfather paused for a moment and said;

"Thik hai Allah hafiz."

He cut the call and Meerab bring breakfast for him and said;

"Phir se apne pote ko nasihat kar rahe the aap?"

He sighed and said;

"Nasihat ke ilawa mein aur kar bhi kya sakta hu.Mera farz hai nasihat karna.Deen mein zabardasti ki gunjaish nahi hoti.Aur beta hidayat ki ikhtiyar sirf Allah ko hai.Humara kam sirf nasihat karna hai dilo mein tabdili Allah lata hai.Lekin hume nasihat karna chahiye kyun ki hume nahi pata konsa woh lafz hoga jo sunke kisi ko hidayet mil jai."

Meerab attentively listening his words and said;

"Allah hume humesha siratul mustakim ka rasta dekhai aur bhatke huye raste mein kabhi tanha na chore."

"Ameen."

Her paternal grandfather taking the breakfast and Meerab said;

"Nanajaan mujhe aaj university jana hoga.Shym tak aa jaungi."

__________________________________

"What a pleasant surprise baby!"

Murtsim looked at his girlfriend Anisha and hugged her tightly.

Anisha sitting on the chair and said;

"Mujhe tumse kuch baat karni hai Murtasim."

He looks at her face and says;

"Bolo sun raha hu."

"Actually my parents wants to meet with you.They wanted to know you and your family before our marriage."

Murtasim's face coloured getting changed to hear the word of marriage and he asked;

"What do you mean by our marriage?"

"Aise react kyun kar rahe ho.We are in relationship and obviously we'll get married today or tomorrow."

Murtasim tightened his jaw and said;

"Maine tumhe kabhi bhi yeh mention kiya hai mein tumse shadi karunga.Infact yeh bhi bataya mein kisi se shadi karunga."

Anisha can't understands his words and said;

"Yeh baat kehne ki kya baat hai hum dono ek dusre se pyar karte hai.Shadi to karenge na."

"I don't want to get married.Mujhe shadi hi nahi karni.We're in relationship but we'll not get married,understand?"

Anisha gets angered by his clarification and says;

"So you want to keep me as a kept not as your wife,right?"

Murtasim softly holds her face and said;

"Yeh shadi ek bohot hi backdated concept hai aur west mein to log shadi karna chor hi diye hai.Let's forget about it.I love you and we're happy with each other,right baby?"

𝙍𝘼𝘼𝙃 𝙀 𝙄𝙎𝙃𝙌:𝘼 𝙎𝙋𝙄𝙍𝙄𝙏𝙐𝘼𝙇 𝙅𝙊𝙐𝙍𝙉𝙀𝙔Where stories live. Discover now