8

551 102 39
                                    

Meerab comes to her university and comes out to library to collect some books.Some of juniors girls are surrounding her and said;

"Baji aaj humara class cancel ho gaya hai.Kya aap please humare sath thora sa waqt spend karni hai.Hume aap se kuch puchna hai."

Meerab looks at her watch and says thinks she have time to give them and agree with them to spend some time.

At class.

Meerab stands middle of the bench.A girl asks;

"Baji mein hijab karti hu lekin kabhi kabhi logo ki bad words mujhe demotivated kar deti hai.Like hijab ki aaj kaal ladkiyan fashion ke liye hi pehente hai.Yeh sab sun ke mujhe bilkul accha nahi lagta."

Meerab smiles and says;

"Logo ka kam hai kehna to unhe kehna do kehne do.Humara kam pata hai kya hai us jaat ko razi karna jo humare malik bhi hai aur khalik bhi.Dil ka haal Allah janta hai aur unhe malum hum kis niyat se kya karte hai.Humare liye log kya kehte hai iska opinion bilkul matter nahi karna chahiye.Hume humesha yeh fiqar karni chahiye Allah ke bare mein.Humesha yaad karna at the end hume humare sare karmo ka hisab Allah ko dena hai logo ko nahi."

Then a girl said;

"Baji aap ne kaise yeh hijab shuru kiya tha.I want to know your hijab story."

Meerab clear her throat and start with her hijab story.

"Mein us waqt 9 ki class mein thi jab maine hijab shuru kiya.Ek din magrib ke namaz ke baad mein quran par rahi thi.Mein humesha quran translation ke sath hi parti hu.Because we're not completely familiar with arabic language.Mein quran aise nahi parti jo parke mujhe kuch samaj na aye.Allah ne humare hidayet ke liye hi to quran ko bheja hai agar hume pata hi na ho isme likha kiya hai to hume hidayet kaise milega.Khair mein us din Surah Ahzab par rahi thi.Parte parte I was stuck in one Ayat.Ayat number 59 tha-Yaaa Aaiyuhan Nabiyyu Qul li Azwaajika Wa Banaatika Wa Nisaaa'il Mu'mineena Yudneena 'alaihinna Min Jalaabee Bihinn; Zaalika Adnaaa Ai Yu'rafna Falaa Yu'zain; Wa Kaanal Laahu Ghafoorar Raheemaa-O Prophet, tell your wives and your daughters and the women of the believers to bring down part of cloth over themselves of their outer garments. That is more suitable that they will be known and not be abused. And ever is Allah Forgiving and Merciful."

Meerab takes a water from bottle and says;

"Us ayat se hi start hua tha meri hijab ki journey.Mein jab yeh ayat pari thi to yeh ek command tha Allah ki taraf se ke hum apne upar ek kapre ka tukra rakh de taki hum pehchane jai.Aur Allah ke is hukm ko kaise taal sakti thi.Aur jab mein yeh hijab parti hu to mujhe aisa lagta hai mein ek ambassador hu islam ki.Us waqt mujhe jakar kisi ko kehna nahi parta hai mein ek muslim hu balki log mere is getup se pechan leta hai.Is regarding ek interesting story sunati hu last year mein kuch kam ke silsile mein apni nanajaan ke sath canada gayi thi.Mein ek supermarket mein shopping kar rahi thi.Main kuch liya to ek aurat ne mujhe kaha jo waha ki thi ma'am there is gelatine which is made of pork.And I know you are muslim and it's forbidden for you.Mein turand ingredients check kiya aur dekha she was right.Aab batao usne mujhe kaise pehchana,maine use kaha tha kya muslim hu na hi na.Just because of my hijab,she recognised me as Muslim."

Another girl asked;

"To baji aap ki hijab ki story 9 standard mein start hua tha.Mujhe laga aap shayed bachpan mein hi aisi thi."

Meerab said;

"Nahi mein bachpan se aisi bilkul nahi thi.Mere parents ke death ke baad mein apni nanajaan ke sath aake rehne lag gayi.Mein bhi bilkul waisi thi jo aur teenage ladkiyan thi aspas.Mere nails bare bare the usme mein paint karti thi.Naye naye hair style karne ka bara shok tha mujhe.Nanajaan mujhe nasihat karte the lekin hidayet ki ikhtiyar to Allah ke pas hai.Mujhe bhi mila jab unhone chaha.Bachpan se hi mujhe parne ka bohot shok hai.I'm a bookworm.To aise hi ek din apni nanajaan ki kitabe dekh rahi thi.Achanak meri nazar ek kitab pe para woh afterlife ke related tha.Maut ke baad humare zindegi kaise hogi.Kaise kabr mein hisab liya jayega everything.To be honest yeh parke mein ghabra bhi gayi aur dar bhi gaya.Then slowly slowly I realised Allah ne hume duniya mein kyun bheja.Humare yaha aane ka maksad kiya hai.Humare zindegi ka maksad kiya.Allah ne hume duniya mein unki ibadat ke liye bheja.And for us duniya imtehan dene ki jaga hai.Yaha pe pas kar jao to inam humara jannat hai."

𝙍𝘼𝘼𝙃 𝙀 𝙄𝙎𝙃𝙌:𝘼 𝙎𝙋𝙄𝙍𝙄𝙏𝙐𝘼𝙇 𝙅𝙊𝙐𝙍𝙉𝙀𝙔Where stories live. Discover now