Dukh...

104 12 11
                                    

"Yaar Sakshi, kaise rahungi mai Hostel mein?? Mujhe toh Maggi ke alawa kuchh banane nahi aata..." Chahat muh phula kar apni Best-friend se puchhati hai jo usi ke sath form bharati hai lekin list ke hishaab se uska kamara alag hota hai aur dur bhi.

"Koi baat nahi, kya hii kar sakte hai ab hum dono...Chal mood thik kar mai tujhe milkshake pilati hun, okay?" Sakshi chahat ke baal pyaar se sehlate hue usko batati hai.

"Thik hai chal, lekin Butterscotch flavor hii" Isi ke sath dono AIIMS building se bahar nikalti hai aur haste-baate karte hue cafe ki taraf jaati hain.

Usi waqt voh dono ladkiyan ek book stall dekhati hai jo sadak kinare tha...Waha par ek bachha Mahabharat ki choti si book bech raha hota hai, Chahat ka dhyan uss kitab ki aur aakarshit ho jata hai aur voh Mahabharat aur unki gathao mein ghum ho jati hai...vah sochati hai ki kya ho agar iitihaash hii badal jaaye? kya ho agar voh jaye-ye ho jaye? Aur uske mann mein yah baate ghumein bhi kyu na, uske pita ek Katha-vachak yani ek Maharaj ji hai, jo Shiv-Mahapurana, Ramayana aur Bhaagwat katha sunaate hai... Besakk vah vigyan ki chhatra rahi aur ab doctor ki padhai kar rahi hai parantu vah abhi bhi apne Sanatan sanskriti se juri hui hai aur inn par vishwas bhi karti hai... Yahi udher bunn mein vah Sakshi ke sath sadak paar kar rahi hoti...

Lekin usi waqt...

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

Uska ek Truck ke sath accident ho jata hai aur vah khoon se lath-path behoshi ki haalat mein sadak par dur jaake girti hai aur truck itni tej raftaar se aa rahi thi jiski wajah se takkar itna jor ka tha ki Chahat cheh (6) feet dur jake giri, Ye sab itni jaldi ho gaya ki Sakshi vahi be-sudh ho kar Chahat ke paas ja baithi aur kuchh der tak yuhi use nihaarati rahi aur achanak se boli ki 

"Chahat, dekh tera ab bhot ho gaya hai... jaldi uth-uthja jaldi nahi toh abhi sandle se maarungi" Voh kuchh der baad phir bolati hai use uthane ke liye lekin naa toh Chahat ko ab uthna tha aur naa hii vah uthi. Ab tak unke aas-paas kafi bheed jamaa ho gayi thi aur Chahat ko utha kar hospital le jaane lagi thi...

"Hello, Is this Chahat's parent? I am Sweta from City-Faith Hospital" Ek awaaj uske pita se boli...

"Yes, I am her father, May I know how can I help you?" uske pita ne uss awaaj se puchha.

"I am sorry sir, Your daughter met with an accident and her friend-Sakshi, told us to inform you that she is in ICU Coma-special ward, Please come to hospital as soon as possible, Thank you"


Yah ek awaaj jisne Chahat ke mata-pita ki zindagi mein ulat-pher kar diya...


------------------------------------------------------


"Vasudev? aap aaj udaas kyu hain? kuchh samay pachhaat toh muskurah rahe the..." Dhanush dharan kiya ek vyakati ne Giridhar se puchha.

"Parth! Mujhe kisi bhi baat ka koi dukh nahi, parantu ek sakhi, ek behen aur mata-pita ka dukh mujhse dekha nahi jaa raha, Gaandiva dhaari, mujhse nahi dekhi jaa rahi unki vyakulta, unki duvidha aur unki peeda... ek santaan ke liye mata apna pura jeevan nyochhavar kar deti hai, ek pita jo bade parishram se dhan ikatha kar apne santaan ke jeevan ko araam-deh banata hai, ek behen jo apni sari duvidha aur mano-bhaav apni badi behen se batlaati hai... unka dukh, unke parijan se bichharane ki unki vah atayanat vedana, mujhe aaj jhan-jhor kar rahi hai...meri antraatmaa peeda se sihar rahi hai..."

Krishana ki baate sunn Arjun ke netro mein ashru bhar aaye...

Aur ashru aaye bhi kyu na, Jab Jagat ke dukh Harta vedana mein hai toh pure sansaar ki chetna  toh santaap karegi hii...

------------------------------------------------------

Radhey-Radhey~

🌷

Shattering the Barrier of Time.Where stories live. Discover now