Pratiyogita-1.

45 8 4
                                    


"Kon hai ye stree?...Aap kis rajya se aayi hai devi?" Dushyala ne pehle khud se puchha phir Chahat se prashan kiya

"Mai...umm...-"

"Bhavishya se aayi hai yeh" Bhrata Duryodhan se apni pyaari si chhoti behan ko bataya...sath hii saari kahani bhi bata di...kuch der soch vichaar kar Dushyala ne dekha kii Chahat mahal mein jaa rahi thi...use jo karya diya gaya tha vah toh kar hii tha...karya, jo Krishna ne diya tha...

"Suno! Ha tum nayi kanya!! Chahat!! Suno!!" Dushyala chilla kar kehti hai...sabhi ka dhyan uss par tha...

"Ji, aapne humein bulaya, raajkumari Dushyala?" Chahat ne puchha

"Ji haa...umm-umm ha! tum yun bheeter kese jaa rahi ho...?" Dushyala ka yah prashan sunn sab hairan ho gaye, Bheemsena ne Dushyala se puchha ki 

"Kya hua, behan? kya baat hai tum ise bheeter kyu nahi jaane de rahi ho?"

"Bhrata shree, aapko kaise pata ki yeh yaha rehne ke liye uchit hai ya nahi?" Prashan mein dam tha

"Toh aap kya chahti hai raajkumari?" Chahat ne unnse puchha

"kuchh nahi bs 3 pratiyogita chahte hai hum" Dushyala ne yah baat bade asaani se keh di Chahat samjh gayi thi ki raajkumari koi aisi-waisi pratiyogita nahi karne wali aakhir unke rakta mein Kauravo ka kuchh ansh toh hai hii...Itni der mein Nakul puchhate hai 

"Kaise pratiyogita Dushyala...?"

"1. Ek stree ko swam ki raksha karni aani chahiye...isiliye pehle shastra vidhya, 2. Ek stree ko nritya bhi aana chahiye joki ek tarah ke kalaa hai aur 3. Swamlambi hone ke liye paak-kalaa toh aniwarya hai na...? toh yeh hai teen pratiyogitaye..."

"Parntu-" Duhsashan aage kuchh bol pate ki Chahat bol padi

"Mujhe challenge accept hai!" 

"Kya?!...tumhe kya hai 'chal-chal-nge ac-pet' kya?" Duhsashan ne puchha kyuki kisi ko kya hii pata ki kya hii bar-bara gayi ye chhokri

"Arey, mera tatparya yah hai ki...mujhe chunauti swikaar hai, Toh pehle kisse suru kare?" 

"Yudh!!"

-----------------------------------------------------

Conversation between Dushyala and Chahat unless described~

"Bhrata Arjun aap ek tir humein de aur kripya ek Chahat ko de...dekhe toh sahi ki inhone kabhi ise dekha ya chhua hai bhi ya nahi...kyu haina Chahat?" 

"Hmmm"

"Lo! pehle se hii itna rukha-sukha uttar? lagta hai aaj hum bina kisi parishram ke hii jeet jayenge"

"Raaj-kumari, aap apne shastra se bole aur dikhaye ki yeh Dhanush-baan kaise chalte hai..."

"Sevako! le aao!" Isi ke sath chaar sevak do-do shishe ke bade diwaal jaise tukare le aaye aur chale gaye...

"Yeh rahi rekha aur voh raha shisha, sishe ko teer maar kar todna hai...parantu ek hii baar mein, thik hai?"

"Ji"

Pehle Dushyala ki baari hai, aur chadhaya dhanush par pratanycha...apni tarjani {Index} ungali se dor ko khich kar picche laakar, dusari aur teesri ungali se baan parkar kar ek dum se...

apni tarjani {Index} ungali se dor ko khich kar picche laakar, dusari aur teesri ungali se baan parkar kar ek dum se

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

{Whoosh!!}

Teer sidhe shishe ke bicho-bich... Sabhi ne uski bahut prashansa ki ...Kahna ne bhi... ab baari thi Chahat ki... Arjun ke diye gaye dhanush ko jab raajkumari ne Chahat ko dena chaha toh usne samman purvak use mana kar diya aur ek aakh band kar sahi nishane lagane ke liye ek hath se sirf baan pakra aur ek hath ko pet ki uchai tak hawaa mein jaake ke baan ko bohot jor se pheka aur...

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

.

{Shatter}

Pura shisha chakna chur ho gaya...sabhi shishe ko girta dekh ash-manjash mein par gaye ki bina kisi sharirik sahayta aur dhanush ke yeh shisha toota toh kaise toota?!

"Yeh kaise hua!!! bina kisi sharirik sahayta aur dhanush ke yeh... kaise sambhav hai?!"

"Sambhav hai Raaj-kumari... Sambhav hai, jaha aapne Dhanush ki sahayta li, wahi mene vayu ki gati aur apni buddhi ka prayog kiya..."

"Parantu kaise...?"

"Dekhiye, jab aapne dhanush ki sahayta li tab aapne vayu ki gati ke virudh karya toh kiya parantu vah teer itni tej gati ka tha ki bich mein shesh adhiktar saare pawan ke ansh ko chirataa hua gaya jisse shishe mein bahut chhota chhed hua aur kyuki teer nukile hote hai toh yah aur bhi patla ched kar gaya...wahi mene, haatho se teer ko pheka jisse usne vayu ke viroudh karya toh kiya hii sath mein bich mein kisi bhi vayu ke ansh ko bheda nahi jisse mere baan ko shisha todane mein asaani hui...ab samjh aaya Raaj-kumari Dushyala?"

"Haa, parantu tumhe yeh shiksha kisne di?...Bhrata Arjun!"

"Nahi mene nahi Dusha..." Arjuna satya bolte hue bagal rahe dhanush ko uthane lage...idhar Vasudev ne Dushyala ko kaha ki Chahat mahal mein jaa rahi hai...

"Kaha jaa rahi ho, Chahat?"

"Chhamaa karein raajkumari, parantu bhooke pet toh bhajan bhi nahi hota...yeh toh phir bhi pratiyogita hai do sakhiyon ke madhya..."

Aur isi ke sath vah hasste hue mahal mein chali jaati hai...aur koi use dekh muskuraane lagta hai...{any guess}

---------------------------------------------------

Above explaination of Chahat's words...are not rather than 11th class's Phyics Topic of Velocity...

.

.

.

.

Radhe-Radhe🌸🐚⏳🌸

Shattering the Barrier of Time.Where stories live. Discover now