Sundar?

67 12 4
                                    


Kuchh samay paschhat~

"Aaiye devi, mai aapke vastra layi hoon...lijiye yah pahan le, kisi bhi vastu ki avaskta ho toh humein bulae" Isi ke sath vah daasi waha se chali gayi Chahat ko uss kamare mein akela chhor kar.

"Hey bhagwaan! kya ho raha hai ye...pehle accident phir yaha; iss samay mein pahunch jana phir bhagwaan ko bhagwaan na manna aur apne all time favorite warriors se jaban ladana...sab ek hii din mein! abhi toh adha din bacha hai! upar wale meri laaj rakhna...ek minute!! kya pata kahna ji sab sun rahe ho, itna bhagwaan ko yaad kar rahi hoon kahi sach mein na sunn le..." aisa kehte-kehte Chahat kapde utha kar pahnne lagti hai...

Wahi dusri taraf Pandav abhi ek dusre ko taak rahe hote hai aur alag-alag anumaan lagate hai...koi kuchh anumaan lagaata hai toh koi kuchh...annt mein sab phir chup ho jate hai...

Idhar Chahat bhi taiyaar ho uddhiyaan mein wapas aa rahi hoti hai aur Krishna ji bhi murli bajana band kar dete hai aur kehte hai 

"Aao sakhi, tum toh badi sundar lag rahi ho... bilkul kisi pushp ke bhaati prateet hoti ho...jo samuche baag mein anand ki mehak tairaati hai"

"Achha..Thank you- Mera matlab hai ki...dhanyawaad...hehe" Chahat sudh hindi sabd khojane mein jor deti hai...

"Aap sabhi se mein maafi-tch chhama chahti hoon, mujhe aap sabhi se aise baat nahi karni chahiye thi..." 

Chahat ko apne kiye par pachhtava hota hai ki usne kaise buri tarah se unn logo se baat ki jinhe vah apna adarsh manti hai...phir achaanak use yaad aata hai ki vah Mahabharat ke annt ko bhi jannti hai aur turant Madhav ko dekhti hai...parantu usi waqt sab kuchh bhul jaati hai aur wapas yaad karti hai ki vah kya soch rahi thi lekin use kuchh yaad nahi aata... tabhi ek tej hawaa ka jhoka aata hai aur Chahat ki chunari ko uda le jata hai... usi samay sabhi Pandava usko dekh pate hai...aur jaan pate hai ki kyu Giridhar ne Chahat ki sundarta ki prashan-sha ki thi... Sabhi ek dusre ko dekh gala saaf karte hai...aur yaha Kahna ji unn sabhi dasha bhaap jaate hai...

aur yaha Kahna ji unn sabhi dasha bhaap jaate hai

¡Ay! Esta imagen no sigue nuestras pautas de contenido. Para continuar la publicación, intente quitarla o subir otra.

"Sundar-" Unmein se ek ne dheere swar mein kaha... lekin Chahat ne sun liya...kisiko bura nah lage isliye usne naa sunne ka dhong kiya aur kah

"Kya? Kya kaha aapne Pandu putra?" Usne aaram se puchha jiska uttar use Krishna se mila...parantu vah koi uttar nahi tha...vah toh ek aur prashan tha..

"Shayad, Parth aapke saundarya ko sahan nahi kar paya...kyu thik kaha na Arjun?" Kahna ji ne Arjuna ko utshukta se puchha

"Nahi, aisa nahi hai Madhav-"

"Iska tat-pairya yah hai ki Hum achhe nahi lag rahe...kyu haina?" Chahat ab jaan-bhuj kar kahna ki taraf dekh kar Arjuna se baat ki...

"Arey, maine aisa kab kaha, aisa kuchh bhi nahi hai...aap sun-"

"Parantu abhi toh aap hii ne kaha ki 'Nahi aisa nahi hai Madhav' kyu?" Kahna ji ne uchak kar puchha aur iss baar Gaandiva dhaari ko Nir-Uttar kar diya... Arjuna ne tab baaki Pandav ko dekha aur phir Chahat ko aur Phir Kahna ji ko...unhe apni hassi rokte dekh Arjuna samjh gaye ki vah sab unke sath masti kar rahe hai...

"Aap bhi jesth!! Aap bhi kahna, sab mill kar mere uphaas kar rahe rahe hai?!" Arjun kuchh muh-fulae se bole...aur sabhi ek dam se jor se hass pade...

------------------------------------------------

¡Ay! Esta imagen no sigue nuestras pautas de contenido. Para continuar la publicación, intente quitarla o subir otra.

------------------------------------------------

Kahna ji~

शांत मन में, ध्यान की गहराइयों में, आत्मा स्वयं को प्रकट करती है। 

स्वयं के माध्यम से स्वयं को देखकर, एक आकांक्षी पूर्ण पूर्णता के आनंद और शांति को जानता है।

--------------------------------

Aap sabhi se ek anurodh hai, kripya roj diye gaye Krishna ji ke gyan ko padhe va use jivan mein utaare...sath hi mein ise padhte samay apne anukool hii spotify aaplication par Krishna flute ko sune...

Ek baat aur, mere kakchha-adhiyapak ne kaha hai ki, aaj se 22 January 2014 tak yani Ayodhya, Pran-prathistha tak roj ek Ramayan ka shlok padhe aur ho sake toh apne Whatsaap application par status jaroor lagaye....

Jai Ram ji ki!

Radhey-Radhey(ノ◕ヮ◕)ノ*:・゚✧

Shattering the Barrier of Time.Donde viven las historias. Descúbrelo ahora