PROLOGUE

79 4 2
                                    

Par abba aap samajh kyu nhi rahe mujhe abhi shaadi nahi karni

Beta accha ladka hai ek baar dekh to lo

Abba jab mujhe abhi shaadi karni hi nahi to kya karungi dekh ke

Ek baar mere liye

Abba...

Acha theek hai sirf aapke liye lekin mai manungi nhi

Theek hai meri jaan

Kal hum unke Ghar chal rahe
.
.
.
.
.
.
.
30 ke hogaye ho ab kab shaadi karoge.

Ammi meri meeting hai kal baat karte hai

Jab kaho iske paas sirf yahi ek bahana hai apne saath ke ladko ko dekho sabki families bhi hai.

Aap hai to meri family ammi.

Beta ek baar to mil lo mujhe bhi apni poti pote ka chehra dekhna hai, Bahu aayegi mera khayal to rakhegi

Ammi aap bhai ko rehne de meri shaadi Kara de mai nahi dekh sakta aapko is haal mai

Aagaya aapka nautanki

Aaj college kyu nhi gaye the

Bhai Mera bohot important match tha

Do you know I scored a century today that too in just 74 balls.

Beta agli dafa match ke liye college bunk Kiya na mujhse bura koi nahi hoga

Khair wo sab hataiye
aap shaadi kab kar rahe?

Chal bhaag yaha se.

Na karna shaadi,
tum dono aadmiyo ke saath reh rehkar mai bhool bhi gayi hoon ki ladkiya kaisi hoti hai na la ke dena mujhe bahu

Accha meri maa kab milna hai

Matlab tum Maan Gaye
Kal wo log aa rahe hai

What will happen in their first meeting any guesses?
.
Hello everyone this is my first story on Wattpad don't forget to like and comment.

THE DESTINED CONFLUENCE Where stories live. Discover now