ANGRY ZAVIYAAR

67 4 7
                                    

"Assalamualaikum" entered Haider in Zavi's study

"Walekumassalam, aaiye baithiye janab" Zavi teased him

"Yaar tum itni izzat se baat mat Kiya Karo hazam nahi hoti" Haider replied irritated

Zaviyaar: "Kaise aana hua batao, kya nayi shikayat laye ho"

Haider: "Matlab mai aise nahi aa sakta, ek hafte se mile nahi ho, baat nahi Kari hai kaha gayab the"

Zaviyaar: "Yaar wo overseas client ke baare mai bataya tha na, unka kaam khatam hi nahi ho raha kisi ek property pe tikte hi nahi, ek to unki timings itni odd hai nahi to Akram hi deal kar leta khair wo sab hatao apne haal chaal batao"

Haider: Mai bas badhiya, naye tournament ki tayyari kar raha. Ammi kaha hai.

Haider's parents died when he was 8 since then he lived with his grandparents. His grandfather was a middle school maths teacher both the boys were taught by him and thus they became great friends. Nagma considered Haider as her own son.

Zaviyaar: Ammi... namaz padh rahi hongi

Nagma begum entered Zavi's study.

Ammi: Arey Haider beta bade dino baad aaye

Haider: Kuch nahi ammi wo academy ka kuch paperwork phasa tha usi mai busy tha. Arey haan, bade din hogaye aapke haath ki biryani khaye.

Ammi: Sahi din aaye ho aaj biryani hi banayi hai tum dono ke liye khana bhjiwati hoon

Zaviyaar: Ammi Shaheer dikhe to please bhej dijiyega.

Ammi: Arey haan ye Shaheer tabse chupa chupa kyu hai. Kya kiya tum dono ne mere bacche ke saath.

"Abhi kiya kaha hai kuch" Haider chuckled

Ammi: Tum teeno bhai meri samajh ke pare ho, bhejti hoon usse dikhta hai to
.
.
.
.
Haider: Kya baat hai Zavi bade pareshan dikh rahe ho

Zavi: Aaj kuch log Ghar aaye the

"Hmmm... kisliye?" Haider asked

Zavi: Shaadi ke liye, aur ammi mera jawab maang rahi

Haider: Aur tum humesha ki tarah is baar bhi commitment se dar rahe ho

Zavi: You know Haider mujhe commitment se kyu dar lagta hai

Haider: Par kabhi na kabhi to settle hoge na. Give it a try

Zavi: Shaadi bohut badi cheez hoti hai Haider. I can't give it just a try kisi ki poori zindagi ka sawaal hota hai its not for me to experiment with.

There was a knock at the door
"Come in" Zaviyaar said in his authoritative voice

Shaheer peeped in like a student summoned by his principal, "Aap ne bulaya bhai?"

"Aaiye Janab" Zaviyaar said in a mocking tone

Shaheer entered reluctantly, seeing Haider there he wanted the ground to split open

"Assalamualaikum Haider Bhai" Shaheer murmured

"Walekumassalam beta, kaha the aap, aapka deedar hue to bade din ho gaye,
aaj academy kyu nahi aaye" Haider asked

Zaviyaar: bataya to abhi ki kuch log aaye the to ammi ka shehzada unke saath tayyariya karwa Raha tha

Haider: Arey Mashallah, hai to bohut hi nek baccha, bataya nahi shahzade ne aapko us din match jeetne ke baad kya badhiya kaam Kiya tha.

"Haider bhai rehne de na" Shaheer pleaded

Zaviyaar: Ab kya kiya tumne Shaheer?

Haider: Arey Shehzade aap baithiye mai aagaya hoon na ab mai bata dunga aap pareshaan na hoye.
Mashallah match jeetne ke baad celebration bohut accha Kiya aapke bacche ne. Doosri team ko mock karna, maar peet karna, tod phod karna ye sab acche Ghar ke ladko ke hi to kaam hai. Sahi ja raha aapka Shehzada.

"Bhai shuruwat unlogo ne Kari thi I swear"

Zaviyaar was trying very hard to control his anger and one sentence of Shaheer infuriated him beyond measure

Zaviyaar: Shuruwat kisi ne bhi Kari ho Shaheer i don't care mera bhai is tarah gundo ki tarah maar peet kare I'll not tolerate this. And you were so cool about it Kya socha tha tumne mujhe pata nahi chalega. Kaha se seekh rahe tum ye sab gundagardi? 22 ke hogaye ho lekin na tameez aa rahi na sharam

Zaviyaar raised his voice, shaheer flinched

"Sorry bhai" Shaheer tried to apologise

"No you are not Shaheer, Haider Ghar na aata to you didn't even care agar tum sorry hote to Haider ke batane se pehle mere pass aate yu is tarah ghar bhar mai chupte na phir rahe hote"  Zaviyaar scolded Shaheer

Shaheer didn't dare to utter a word. He stood there with his head hung low

"Ab aise muh latka ke mat khade ho maine abhi daatna shuru bhi nahi kiya"

"Sorry bhai ho gayi galti mujhse, agli dafa dhyaan rakhunga i promise. Sorry Haider bhai" Shaheer apologized to both Zaviyaar and Haider

"Abhi apne bhai se maamla sort karlo mujhe to tumhe theek karna aata hai" Haider said while stretching his arms

Shaheer tried making eye contact with his  brother but seeing the anger in his eyes he quickly averted his gaze

"Sorry bhai aap jo bolenge mai wohi karunga, please gussa mat hoiye" Shaheer apologized with tears in his eyes

Zaviyaar was no doubt very strict but he couldn't stand the site of his baby brother crying

"Achaa Rona band karo"

"Itna daatne ke baad rone bhi nahi de rahe" Shaheer complained

Haider tried very hard to suppress his laugh

"Shabbash beta, now hand me your phone" Zaviyaar said while extending his hand

"Bhai mai 22 ka hogaya ho, accha lagta hai is Umar pe aapko Mera phone cheente hue"

"Beta sharafat se phone dedo, nahi to aur tareeqe hai mere pass" Zaviyaar whacked him

"Kab wapas karenge" Shaheer asked while handing his phone

"Jab tum insaan ban jaoge, chalo ab dafa ho jao yaha se" Zaviyaar signaled his brother to get lost

"Allah hafiz Shaheer, see you at the field tomorrow morning 5 am" Haider ordered his student

"Par training to 8 baje shuru hoti hai na" Shaheer asked innocently

Haider: wo baaki sabke liye

Shaheer: par Haider bhai

Haider: theek hai 4:30

"Nahi 5 baje theek hai" Shaheer said accepting his fate

"Chalo dafa hojao darwaza us taraf hai" Haider said while pointing towards the door
.
.
.
.
.
.
.
.
How was the update guys? How was Haider?
Any favourite scene?

THE DESTINED CONFLUENCE Where stories live. Discover now