pariksha

303 49 4
                                    

Aaj ka ye part yukiis_ishvi_928 ji ke liye likhi gayi hai.

So Let's start

Now a few days pass like this, Shiveena lives with Krish.
And Krish tries hard to get a divorce from Shivani but he is not successful in it.

One night

On the dinning table

After dinner

Pj to ks: lalla tumne police aur wakil sab karke dekh liye. Jaisa ki SHIVANI khud bhi wakil hai aur tum POLICE iss samasya ko koi samadhan nikala nahi na shaadi samajik utsav hai isme kanun ka jitna dakhal hai utna hi humari manyataon ka bhi hai isliye Aaj kya faisla hoga wo hum batayenge.
Shaadi ke saath phero ke saath saath saat kasme bhi li jaati hai.
Aur Shiveena ne dono kiye hai isliye in dono ko inka palan bhi karna hoga aur ye Jo kar payega wahi Tumhari biwi hogi.

Everyone gets shocked after hearing this and then Shiveena says.

Shiveena: hume manjur hai.

Ks: nhi amma mujhe manjur nahi hai.
Nahi hai mujhe manjur bilkul bhi nhi.
Ye kya kah rahi hai aap amma aapko dikh...dikh nhi Raha aapko mere andar jhakiye apne lalla ke dil mein...dil se behtar jhakiye meri aakhon mein dekhiye kya nazar aa raha hai aapko?
Aapko sirf ek hi chehara nazar aayega wo bhi sirf Haseena ji ka.
Aur aap aisi baate kar rahi hai ye pariksha wariksha kya hai ye?
Amma meri jindagi Mera pyaar hai main apni patni banne ka haq sirf HASEENA ji ko de skta hu sirf aur sirf HASEENA ji ko amma. Ye to nhi dekh sakte.
(pointing to Shiveena) lekin aap toh dekh sakti hain na mere andar.
Aur ye ladki (pointing to sp) ye ladki...ye ladki aap...aap chahti Hain main ise apni biwi maanu.
Ye ladki apni aag mein jalke, apni akad mein aake, apni ego mein aake, apni ego mein badle ki bhavna mein jalke na sirf HASEENA ji ki jindagi kharab Kiya balki Mera bhi jindagi kharab Kiya iss ladki ne aur aap kah rahi hai.....
Amma ye Jo faisla liya hai na bohot galt faisla liya hai matlab dhoka de ye chhal kare ye aur Safar kare meri HASEENA ji.
Na meri haseena ji Safar nhi karengi koi pariksha nhi dengi meri Haseena ji koi pariksha nhi dengi matlab nhi dengi.
Aur ye Mera faisla hai KRISH SINGH ka faisla hai iss Ghar mein bas final.
(In loud voice)

Then Krish holds both his ears and says to pj.

Ks: I'm sorry.

And saying this, Krish goes to his room. And seeing him going in such anger, Hasina also follows him.

In room

HASEENA entered in room and Krish looks at her and said.

Ks: kahe hasi ha kahe kaha aapne?
Main janta hu aap amma ki bohot izzat karti hain bohot samman karti hai unka par ek baat batau main aapse bohot pyaar karta hu ye aap janti hai aap mujhse bohot pyaar karti hain ye main janta hu aur humare PYAAR ko faisle Tak pahuchne ki jarurat hai kya? Iski koi jarurat hi nhi thi.

Hm: krish shivani ne hume bhadkane ke liye ye sab kiya hai ab aap dekhna hum use kaise jawab denge wo bhi apne lahze mein.

Just then Shivani comes and sees Kareena standing a little close and says.

Sp: are are are ek minute ye kya ho Raha hai lagta hai aap dono ne thik se suna nahin hai abhi sirf faisla karne ki tarkib nikli hai faisla nhi hua hai.
Chaliye duri banaiye chalo banao duri banao.

And she pushes Krish and HASEENA
away a little and says.

Sp to ks: dekhiye ek baar main iss imtehan mein iss jazbaton wali Bai ko Hara du phir....

Then Krish quiet Shivani and sp said.

Ks: ssshhhh.....

Sp: are Dharm patni hu main aapki.

Ks: nhi koi imtehaan nhi hoga aur meri haseena ji koi imtehaan nhi dengi.

Sp: kyon aapki jazbaton wali Bai dari huyi hai. Acchha use apne pyaar par bharosa nhi hai isliye abhi se maidan (field) chhodkar bhagna chahati hai.
Samjh gayi main phir toh koi problem hi nhi hai thik hai. (Tauntly) Ek minute......

And Shivani gives blanket and pillow to Haseena and says to hm.

Sp: le ye le apna boriya bistra good night.
Main samjh gayi hu ki Krish mana kyon kar rahe hain kyonki krish samjh Gaye hai ki jitungi main hi isliye. (With smile)

And Hasina puts that blanket and pillow on the bed and says.

Hm: tazurba kahta hai humara itna ghamand accha nhi hai.

Sp: ghamand...Ghamand.
(says while looking at ks)

Hm: kya lagta hai tumhe tumhara ye ganda khel, tumhare ye gande taane ye humare hausle gira denge bilkul bhi nhi.
Imtehaan hoga.
(To ks) krish hum bilkul bhi nhi chahte the ye sab bilkul bhi nahi magar ab iss imtehaan mein jab shivani haregi tab use ahsaas hoga ki usne kulhadi humare pair par nhi balki apne pair par maari hai.

Sp: wah re wah meri sherni SHO SAHIBA KYA DAILOG MAARI HAI.

Saying with Tap her shoulder after that she looks at ks face and said.

Sp TO KS: ab aap kyon ghabraye huye Hain ye kya hai kabhi ye darti hai (pointing to hm) ye janab gharbarate hai mujhe nhi khelna. (In irritated tone)

Hm: SHIVANI ye ladai tumhari aur humari hai isliye acchha hoga ki tum krish ko iss beech mein mat Lao.
Kyonki iss imtehan mein na tum haarogi.
Aur tab hum tumhe apni zindagi se bahar nikal phekenge Samjhi tum.

Sp: koshish karke dekh le.
Krish abhi mere hai aur iss khel ke baad bhi mere hi rahenge.

Ks: ha Shivani lekin bas filhal ke liye bas filhal lekin main Aaj aur hamesha sirf apni haseena ji ke saath rahunga. Hasi ke saath rahunga aur sirf filhal nhi hamesha. (To hm) aur hasi pahle mujhe ye faisla manjur nhi tha lekin ab majbur hai. (To sp) aur tum chhota sa BAAT hai yaad rakhna ummid hai bhulogi nahi.

Sp nodded in no and ks continued.

KS: jis din tum ye imtehaan haarogi uss din, uss waqt, aakhir pal hoga iss Ghar mein yaad rakhna. (In serious tone)

Sp (smile): ye huyi na baat main yahi sunna chahti thi.
Ab aayega maza bohot maza aayega.
Aapke aakhon ke samne jazbaton wali Bai ko harane mein..... challenge.

Hm: accepted.

Ks: kbhi ye mat sochna na hi iss dhoke mein rahna ki ye challenge aap dono ke beech mein hai.
Ye challenge hai jindagi ka challenge hai lekin sirf sacche pyaar, aur ek jhuth ke beech mein.

Sp: mujhe koi phark nhi padta hai main jaa rahi hu sone good night patidev.
(to hm) tujhe bhi.

And Shivani goes to sleep then Haseena is also about to leave but Krish holds Haseena's hand and says.

Ks: hasi hum dono hi ye challenge jitenge aur main dono isliye kah raha hu kyonki main har pal, har waqt aapke saath hu.

Then Shivani gives Kareena the sign of best of luck out of all the worst and then Krish says to hm.

Ks: so jaiye.

Hm: aap bhi.

And then Hasina goes to sleep on the couch and Krish sleeps on the bed.

Upcoming - 1st challenge

Good night.

Unexpected Journey Of KarEena Where stories live. Discover now